Quote
"narmi-e-baalish-e-par ham ko nahin bhaati hai dam-e-shamshir pe sar rakkhein to niind aati hai kyaa buri khu hai miri bhi ki ba-in daava-e-aql main bhi jaataa huun vahaan jaan jahaan jaati hai naa-qubul itnaa huun murde ko mire baad-az-marg gor mein rakkhein to miTTi bhi nahin khaati hai husn dekhaa hai magar hind ki tasvirein kaa lailaa baazaar mein shakl apni jo badlaati hai na bachegaa koi hargiz jo hai rukh ki ye safaa na jiyegaa koi mutlaq jo ye khush gaati hai khair-sallaa se nasim-e-sahari ghar jaave kar ke zikr-e-rukh-e-gul kyuun mujhe piTvaati hai sitam-baad-e-khizaan se jo koi gul ki kali shaakh par khushk ho rah jaati hai murjhaati hai be-kasi apni kaa aalam mujhe aa jaae hai yaad ki garebaan mein miraa sar yunhi jhukvaati hai 'mushafi' ki koi ummid to bar laa yaa-rab! muddaton se ye tire dar kaa munaajaati hai"
