"dinner pe aaj koi us saa aashnaa bhi na thaa vo is se pahle agarche kahin milaa bhi na thaa usi ne aaj bataayaa mujhe ki kaun huun main vo jis ko aaj se pahle main jaantaa bhi na thaa kahaan huun kyuun huun har ik saans puchhti hai mujhe kabhi main apne savaalon mein yuun ghiraa bhi na thaa kisi ki mez pe hi rah gai na jaane kyuun vo Diary ki abhi jis pe kuchh likhaa bhi na thaa tamaam shahr sadaaon ke ik bhanvar mein hai miraa makaan kabhi aise Doltaa bhi na thaa mujhe na jaane vo siine se kyuun lagaae phiraa main koi gul bhi na thaa mauja-e-havaa bhi na thaa vo jis ki dhun mein ham itvaar ko bhi ghar na rahe milaa to apni taraf 'shaam' dekhtaa bhi na thaa"
bas ek apne hi qadmon ki chaap suntaa huun — Mahmood Shaam
"bas ek apne hi qadmon ki chaap suntaa huun main kaun huun ki bhare shahr mein bhi tanhaa huun jahaan main jism thaa tu ne vahaan to saath diyaa vahaan bhi aa ki jahaan main tamaam saayaa huun vo ek moD bhi is rah pe aaegaa ki jahaan milaa ke haath tu bolegaa main to chaltaa huun tiri judaai kaa gham hai na tere milne kaa main apni aag mein din raat jaltaa rahtaa huun gae vo roz ki tu baais-e-qaraar thi jab tiri jhalak se bhi ab to udaas hotaa huun mire baghair hai mumkin kahaan tiri takmil mujhe pukaar ki main hi tiraa kinaaraa huun kabhi to Duub sahi shaam ke samundar mein ki main sadaa hi javaahar nikaal laayaa huun"
بس ایک اپنے ہی قدموں کی چاپ سنتا ہوں میں کون ہوں کہ بھرے شہر میں بھی تنہا ہوں جہاں میں جسم تھا تو نے وہاں تو ساتھ دیا وہاں بھی آ کہ جہاں میں تمام سایا ہوں وہ ایک موڑ بھی اس رہ پہ آئے گا کہ جہاں ملا کے ہاتھ تو بولے گا میں تو چلتا ہوں تری جدائی کا غم ہے نہ تیرے ملنے کا میں اپنی آگ میں دن رات جلتا رہتا ہوں گئے وہ روز کہ تو باعث قرار تھی جب تری جھلک سے بھی اب تو اداس ہوتا ہوں مرے بغیر ہے ممکن کہاں تری تکمیل مجھے پکار کہ میں ہی ترا کنارا ہوں کبھی تو ڈوب سہی شام کے سمندر میں کہ میں سدا ہی جواہر نکال لایا ہوں
बस एक अपने ही क़दमों की चाप सुनता हूँ मैं कौन हूँ कि भरे शहर में भी तन्हा हूँ जहाँ मैं जिस्म था तू ने वहाँ तो साथ दिया वहाँ भी आ कि जहाँ मैं तमाम साया हूँ वो एक मोड़ भी इस रह पे आएगा कि जहाँ मिला के हाथ तू बोलेगा मैं तो चलता हूँ तिरी जुदाई का ग़म है न तेरे मिलने का मैं अपनी आग में दिन रात जलता रहता हूँ गए वो रोज़ कि तू बाइस-ए-क़रार थी जब तिरी झलक से भी अब तो उदास होता हूँ मिरे बग़ैर है मुमकिन कहाँ तिरी तकमील मुझे पुकार कि मैं ही तिरा किनारा हूँ कभी तो डूब सही शाम के समुंदर में कि मैं सदा ही जवाहर निकाल लाया हूँ

More by Mahmood Shaam
View all →"roz-o-shab ki shaakh se bichhDaa huaa pattaa huun main vaqt bhi ab DhunDhtaa hai jis ko vo lamha huun main dil ke shishe TuuT jaate hain miri aavaaz se ik shikasta saaz se ubhraa huaa naghma huun main ham-nashinon ko kabhi aati nahin hai aanch tak kitni ThanDi aag hai jis mein sadaa jaltaa huun main zindagi ke shor mein simTe rahe zarre mire ik zaraa tanhaa huaa to kis tarah bikhraa huun main rangton kaa sail thaa yaa khushbuon ki lahr thi ab talak us husn mein us jhiil mein Duubaa huun main in chamakti shaah-raahon par kise apnaa kahun shahr hain aabaad apnon se magar tanhaa huun main 'shaam' yuun to ab khalaaon mein hain apni manzilein aur dekhun to usi dharti se be-rishta huun main"
"umr guzri ki tiri dhun mein chalaa thaa dariyaa jaa-ba-jaa ghumtaa hai aaj bhi paglaa dariyaa banti jaati hain guhar kitni hi bholi yaadein ye miraa dil hai ki Thahraa huaa gahraa dariyaa na kisi mauj kaa naghma hai na girdaab kaa raqs jaane kyaa baat hai khaamosh hai saaraa dariyaa thal ke siine pe pighal jaati hai jab chaand ki barf duur tak ret pe bahtaa hai sunahraa dariyaa haae vo rang bhare pyaar ke maskan pattan haae vo naav se rah rah ke lipaTtaa dariyaa 'shaam' aakaash pe jab phailtaa hai din kaa lahu Duub jaataa hai kisi soch mein bahtaa dariyaa"
"zindagi jis se jaagti hai abhi vo kahaani to an-kahi hai abhi raah mein aur bhi main koh-e-giraan ek divaar hi giri hai abhi jumbish-e-lab hi ban gai tufaan sainkaDon harf guftani hai abhi"
"TuuTe hain kaise khvaahishon ke aainon ko dekh palkon ki tah mein bikhri hui kirchiyon ko dekh main huun tiraa hi aks mire rang par na jaa aankhon mein jhaank apni hi tanhaaiyon ko dekh ye aasmaan ke badle hue rang ghaur kar in mausamon ke biphre hue tevaron ko dekh sun to dar-e-khayaal pe fardaa ki dastakein khud kaa hisaar toD ke jaati ruton ko dekh galiyon mein ghumti hain hazaaron kahaaniyaan chehron pe naqsh vaqt ki pahnaaiyon ko dekh ik ik palak pe chhaai hai mahrumiyon ki shaam zabt-e-sukhan ki aag mein jalte labon ko dekh kahti hai 'shaam' kuchh to makaanon ki khaamushi be-muddaaa nahin hain khule rauzanon ko dekh"
"phir ik saathi mujhe akelaa chhor gayaa aap sidhaaraa apnaa saayaa chhoD gayaa us ko kitne peD sadaaein dete the vo to sab ko yunhi bulaataa chhoD gayaa ab tak maidaanon ke jism chamakte hain jaane kaisi miTTi dariyaa chhoD gayaa lipaT lipaT kar ik duuje se rote hain jin patton ko havaa kaa jhonkaa chhoD gayaa chaandni shab tu jis ko DhunDne aai hai ye kamra vo shakhs to kab kaa chhoD gayaa chaal thi kitni tez badalte mausam ki kitne hi lamhon ko sisaktaa chhoD gayaa saari munDerein viraan viraan rahti hain jab se 'shaam' nagar tu apnaa chhoD gayaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"