Quote
"apnon ne ujaaDaa hai chaman jaan gae hain pardon mein chhupaa kaun hai pahchaan gae hain tapti hui saDkon pe safar ham ne kiyaa hai ab barf jo dekhi hai to ausaan gae hain vishvaas ki girti hui divaar ke saae qadmon se kuchalte hue imaan gae hain maanaa ki diyaa us ne hamein rutba-e-aali jannat se nikaale bhi to insaan gae hain ghar apnaa samajh kar jo rahe farsh-e-zamin par rote hue duniyaa se vo mehmaan gae hain jo phuul ki khushbu ko chhupaane mein lage the naakaam mohabbat mein vo insaan gae hain un se to na thi koi hamein bughz-o-adaavat be-kaar si baaton ko buraa maan gae hain"
