"'aaali' ji ab aap chalo tum apne bojh uThaae saath bhi de to aakhir pyaare koi kahaan tak jaae jis suraj ki aas lagi hai shaayad vo bhi aae tum ye kaho khud tum ne ab tak kitne diye jalaae apnaa kaam hai sirf mohabbat baaqi us kaa kaam jab chaahe vo ruThe ham se jab chaahe man jaae kyaa kyaa rog lage hain dil ko kyaa kyaa un ke bhed ham sab ko samjhaane vaale kaun hamein samjhaae ek isi ummid pe hain sab dushman dost qubul kyaa jaane is saada-ravi mein kaun kahaan mil jaae duniyaa vaale sab sachche par jiinaa hai us ko bhi ek gharib akelaa paapi kis kis se sharmaae itnaa bhi majbur na karnaa varna ham kah deinge o 'aaali' par hansne vaale tu 'aali' ban jaae"
bhaTke hue aali se puchho ghar vaapas kab aaegaa — Jameeluddin Aali
"bhaTke hue aali se puchho ghar vaapas kab aaegaa kab ye dar-o-divaar sajeinge kab ye chaman lahraaegaa suukh chale vo ghunche jin se kyaa kyaa phuul ubharne the ab bhi na un ki pyaas bujhi to ghar jangal ho jaaegaa kam kirnein aisi hain jo ab tak raah usi ki takti hain ye andhiyaaraa aur rahaa to phir na ujaalaa aaegaa samjhaa hai apne-aap se chhuT kar saaraa zamaana dekh liyaa dekhnaa! apne-aap mein aa kar ye kyaa kyaa sharmaaegaa aisi gyaan aur dhyaan ki baatein ham jaane-pahchaanon se tu aakhir bhulaa hi kyaa thaa tujh ko kyaa yaad aaegaa kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azizon ke in se hi jivan bantaa hai so jivan ban jaaegaa chaar baras se begaane hain so ham kyaa begaane hain ruThne vaalaa jivan-saathi do din mein man jaaegaa kis kis raag ke kyaa kyaa sur hain kis kis sur ke kyaa kyaa raag sikhe na sikhe gaane vaalaa be-sikhe bhi gaaegaa 'aali'-ji ab aap chalo tum apne bojh uThaae saath bhi de to aakhir pyaare koi kahaan tak jaaegaa"
بھٹکے ہوئے عالی سے پوچھو گھر واپس کب آئے گا کب یہ در و دیوار سجیں گے کب یہ چمن لہرائے گا سوکھ چلے وہ غنچے جن سے کیا کیا پھول ابھرنے تھے اب بھی نہ ان کی پیاس بجھی تو گھر جنگل ہو جائے گا کم کرنیں ایسی ہیں جو اب تک راہ اسی کی تکتی ہیں یہ اندھیارا اور رہا تو پھر نہ اجالا آئے گا سمجھا ہے اپنے آپ سے چھٹ کر سارا زمانہ دیکھ لیا دیکھنا! اپنے آپ میں آ کر یہ کیا کیا شرمائے گا ایسی گیان اور دھیان کی باتیں ہم جانے پہچانوں سے تو آخر بھولا ہی کیا تھا تجھ کو کیا یاد آئے گا کچھ چھوٹے چھوٹے دکھ اپنے کچھ دکھ اپنے عزیزوں کے ان سے ہی جیون بنتا ہے سو جیون بن جائے گا چار برس سے بیگانے ہیں سو ہم کیا بیگانے ہیں روٹھنے والا جیون ساتھی دو دن میں من جائے گا کس کس راگ کے کیا کیا سر ہیں کس کس سر کے کیا کیا راگ سیکھے نہ سیکھے گانے والا بے سیکھے بھی گائے گا عالیؔ جی اب آپ چلو تم اپنے بوجھ اٹھائے ساتھ بھی دے تو آخر پیارے کوئی کہاں تک جائے گا
भटके हुए आली से पूछो घर वापस कब आएगा कब ये दर-ओ-दीवार सजेंगे कब ये चमन लहराएगा सूख चले वो ग़ुंचे जिन से क्या क्या फूल उभरने थे अब भी न उन की प्यास बुझी तो घर जंगल हो जाएगा कम किरनें ऐसी हैं जो अब तक राह उसी की तकती हैं ये अँधियारा और रहा तो फिर न उजाला आएगा समझा है अपने-आप से छुट कर सारा ज़माना देख लिया देखना! अपने-आप में आ कर ये क्या क्या शरमाएगा ऐसी ज्ञान और ध्यान की बातें हम जाने-पहचानों से तू आख़िर भूला ही क्या था तुझ को क्या याद आएगा कुछ छोटे छोटे दुख अपने कुछ दुख अपने अज़ीज़ों के इन से ही जीवन बनता है सो जीवन बन जाएगा चार बरस से बेगाने हैं सो हम क्या बेगाने हैं रूठने वाला जीवन-साथी दो दिन में मन जाएगा किस किस राग के क्या क्या सुर हैं किस किस सुर के क्या क्या राग सीखे न सीखे गाने वाला बे-सीखे भी गाएगा 'आली'-जी अब आप चलो तुम अपने बोझ उठाए साथ भी दे तो आख़िर प्यारे कोई कहाँ तक जाएगा

More by Jameeluddin Aali
View all →"kab tum bhaTke kyuun tum bhaTke kis kis ko samjhaaoge itni duur to aa pahunche ho aur kahaan tak jaaoge is chaalis baras mein tum ne kitne dost banaae hain ab jo umr bachi hai us mein kitne dost banaaoge bachpan ke sab sangi saathi aakhir kyuun tumhein chhoD gae koi yaar nayaa puchhe to is ko kyaa batlaaoge jo bhi tum ne shohrat paai jo bhi tum badnaam hue kyaa yahi tarka apne pyaare bachchon ko de jaaoge ab is josh-e-khud-aagaahi mein aage ki kyaa sochi hai sher kahoge ishq karoge kyaa kyaa Dhong rachaaoge 'aaali' kis ko fursat hogi ek tumhi ko rone ki jaise sab yaad aa jaate hain tum bhi yaad aa jaaoge"
"nahin ki ham ne kabhi haal-e-soz-e-jaan na kahaa magar ba-hila-e-aaraaish-e-bayaan na kahaa koi khataa na hui jis ki ye mile paadaash magar yahi ki zaminon ko aasmaan na kahaa jis anjuman se huaa qissa-e-junun aaghaaz vahin kabhi na kahaa go kahaan kahaan na kahaa ye ehtiraam-e-taalluq ye ehtiyaat to dekh ki zindagi ko kabhi ham ne raaegaan na kahaa tire karam ko karam hi kahaa sitam ko sitam zahe khulus-e-tamannaa ki imtihaan na kahaa hazaar khushk rahaa apni zindagi kaa chaman tiri bahaar ko lekin kabhi khizaan na kahaa hamein bhi nudrat-e-uslub thi aziiz magar unhein jahaan hi pukaaraa gham-e-jahaan na kahaa"
"kyaa kyaa diye fareb har ik e'tibaar ne apnaa banaa diyaa hai tire intizaar ne kyaa jaane kitne ahl-e-tariqat ko aaj tak gumraah kar diyaa hai tire rahguzaar ne kuchh un ki justuju hai na kuchh apni guftugu ye kyaa banaa diyaa sitam-e-rozgaar ne haan ai nigaah-e-garm na kar mukhtasar hayaat ham ko hazaar bojh abhi hain utaarne uljhe hue hain gesu-e-jaanaan mein aaj tak 'aali' chale the kaakul-e-giti sanvaarne"
"ye ishq ki galiyaan jin mein ham kis kis aalam mein aae gae kahti hain ki hazrat ab kaise tum aaj yahaan kyuun paae gae ik shart hai yaan khushbu-e-vafaa yaad aae to karnaa yaad zaraa jab tum pe bharosaa thaa gul kaa kyaa mahke kyaa mahkaae gae hai ye vahi lauh-e-baab-e-junun likkhaa hai na puchho kyaa aur kyuun tum laae kalid-e-jazb-e-darun aur sab manzar dikhlaae gae ik takht-e-ravaan-e-sher aayaa kuchh shaah-e-sukhan na farmaayaa phir taaj-e-tarannum pahnaayaa aur ghazlon mein tulvaae gae ik tab-e-rasaa se kyaa bantaa ye un galiyon kaa sadqa thaa vo lafz aur vo uslub mile aur vo maani sajvaae gae hairat se Thahar jaati thi yahaan ye kahti hui har kaahkashaan jab yuun mil jaanaa mumkin hai to phir ham kyuun phailaae gae duniyaa ke sahi andaaz bahut un galiyon ke bhi hain raaz bahut jo Thahre vo sar-afraaz hue jo nikle vo Thukraae gae"
"kisi ko naaz-e-khirad hai kisi ko fakhr-e-junun main apne dil kaa fasaana kahun to kis se kahun na iztiraab mein lazzat na aarzu-e-sukun koi kahe ki main ab kyaa fareb khaa ke jiyun rahegi phir na ye kaifiyyat-e-talab ai dil chhupe hue hain to hai ishtiyaaq-e-did fuzun hai aaj dil pe gumaan husn-e-naa-shanaasi kaa jalaa chuke jab use jalvaa-haa-e-gunaa-gun ho ab bhi fikr mein mushkil to yaad aate hain vo har adaa mein taghazzul ke saikDon mazmun tum aise kaun khudaa ho ki umr bhar tum se umiid bhi na rakhun naa-umid bhi na rahun"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"