SHAWORDS

bikhre hue taaron se miri raat bhari hai — Shahzad Ahmad

HomeShahzad AhmadGhazal
"bikhre hue taaron se miri raat bhari hai ye nuur hai yaa nuur ki daryuza-gari hai hai aaj bhi pahlu mein vahi zakhm-e-bahaaraan ab tak miri aankhon mein har ik shaakh hari hai duniyaa mein andheron ke sivaa aur rahaa kyaa ik teri tamannaa so charaagh-e-sahari hai ab saath na de paaeinge TuuTe hue baazu uDte hue lamhon se miri ham-safari hai har lahza badalti hui aankhon pe na jaao dil ke liye ummid-e-fazaa be-khabari hai jalve ki basirat ko samajhti nahin aankhein aaine kaa maqdur pareshaan-nazari hai uDte hue aate hain abhi sang-e-tamannaa aur kaar-gah-e-dil ki vahi shishagari hai chup-chaap darichon ki taraf dekhte phirnaa zinda hain to 'shahzaad' yahi dar-badari hai"
Urdu

بکھرے ہوئے تاروں سے مری رات بھری ہے یہ نور ہے یا نور کی دریوزہ گری ہے ہے آج بھی پہلو میں وہی زخم بہاراں اب تک مری آنکھوں میں ہر اک شاخ ہری ہے دنیا میں اندھیروں کے سوا اور رہا کیا اک تیری تمنا سو چراغ سحری ہے اب ساتھ نہ دے پائیں گے ٹوٹے ہوئے بازو اڑتے ہوئے لمحوں سے مری ہم سفری ہے ہر لحظہ بدلتی ہوئی آنکھوں پہ نہ جاؤ دل کے لیے امید فزا بے خبری ہے جلوے کی بصیرت کو سمجھتی نہیں آنکھیں آئینے کا مقدور پریشاں نظری ہے اڑتے ہوئے آتے ہیں ابھی سنگ تمنا اور کار گہہ دل کی وہی شیشہ گری ہے چپ چاپ دریچوں کی طرف دیکھتے پھرنا زندہ ہیں تو شہزادؔ یہی در بدری ہے

Hindi

बिखरे हुए तारों से मिरी रात भरी है ये नूर है या नूर की दरयूज़ा-गरी है है आज भी पहलू में वही ज़ख़्म-ए-बहाराँ अब तक मिरी आँखों में हर इक शाख़ हरी है दुनिया में अँधेरों के सिवा और रहा क्या इक तेरी तमन्ना सो चराग़-ए-सहरी है अब साथ न दे पाएँगे टूटे हुए बाज़ू उड़ते हुए लम्हों से मिरी हम-सफ़री है हर लहज़ा बदलती हुई आँखों पे न जाओ दिल के लिए उम्मीद-ए-फ़ज़ा बे-ख़बरी है जल्वे की बसीरत को समझती नहीं आँखें आईने का मक़्दूर परेशाँ-नज़री है उड़ते हुए आते हैं अभी संग-ए-तमन्ना और कार-गह-ए-दिल की वही शीशागरी है चुप-चाप दरीचों की तरफ़ देखते फिरना ज़िंदा हैं तो 'शहज़ाद' यही दर-बदरी है

bikhre hue tāroñ se mirī raat bharī hai
Shahzad Ahmad
Shahzad Ahmad
Shahzad Ahmad
poet259 quotes

More by Shahzad Ahmad

View all →
Quote
"raat ki nindein to pahle hi uDaa kar le gayaa rah gai thi aarzu so vo bhi aa kar le gayaa din nikalte hi vo khvaabon ke jazire kyaa hue subh kaa suraj miri aankhein churaa kar le gayaa duur se dekho to ye dariyaa hai paani ki lakir mauj mein aayaa to jangal bhi bahaa kar le gayaa us ne to in motiyon par khaak bhi Daali nahin aankh ki thaali mein dil aansu sajaa kar le gayaa ghaur se dekhaa to dil ki khaak tak baaqi na thi mujh ko daa'vaa thaa ki main sab kuchh bachaa kar le gayaa"
Shahzad AhmadShahzad Ahmad
Quote
"dil bahut masruf thaa kal aaj be-kaaron mein hai saat pardon mein jo rahtaa thaa vo baazaaron mein hai khaak ke putle falak ki sarhadon ko chhu chuke aur jise insaan kahte hain abhi ghaaron mein hai laaj rakh lete hain meri munh pe kuchh kahte nahin dushmani kaa kuchh saliqa to mire pyaaron mein hai sab ko dekhaa aur kisi ko dekh kar TuuTaa nahin aaina shaayad abhi apne parastaaron mein hai dhuup kaisi thi ki mere haath kaale kar gai tirgi kaa rang shaayad nuur ke dhaaron mein hai sab sadaaein lafz hain lafzon ke pichhe kuchh nahin dekhnaa ye hai ki koi sar bhi dastaaron mein hai bar-sar-e-paikaar donon hain natija kuchh nahin josh hai dariyaaon mein aur sabr divaaron mein hai khair o shar ki mishalon ko tu bujhaataa kyuun nahin main to kyaa huun ik farishta bhi gunahgaaron mein hai dekhte kyaa ho ki khud manzar tumhein takne lagaa bechte kyaa ho ki yusuf bhi kharidaaron mein hai koi bhi manzil nahin apni kashish donon taraf paanv miTTi mein gaDe hain aankh sayyaaron mein hai ab haqiqat jaan kar 'shahzaad' kyaa lenaa mujhe vajh-e-ghaaza hi sahi shoala to rukhsaaron mein hai"
Shahzad AhmadShahzad Ahmad
Quote
"sukun kuchh to milaa dil kaa maajraa likh kar lifaafa phaaD diyaa phir tiraa pata likh kar samajh mein ye nahin aataa khitaab kaise karun huruf kaaT diye main ne baar-haa likh kar qalam ne Tokaa bhi dil ki sadaa ne rokaa bhi magar jo us ne kahaa main ne de diyaa likh kar hujum-e-gham mein zabaan saath jab na de paai jo haal dil kaa thaa main ne sunaa diyaa likh kar ab us ki baai hai ab ikhtiyaar us kaa hai kahin kaa main na rahaa us ko bevafaa likh kar bhalaa saa koi bhi ik naam us kaa rakh lenaa par us ke naam ko aankhon se chumnaa likh kar main apni hasrat-e-dil kaa hisaab kaise duun ye Dher main ne lagaayaa zaraa zaraa likh kar mujhe to apne liye raasta taraashnaa hai main kyaa karungaa kisi kaa likhaa huaa likh kar mili hai us ke sabab itni raushni 'shahzaad' bujhaa diye kai suraj use diyaa likh kar"
Shahzad AhmadShahzad Ahmad
Quote
"khile jo phuul to munh chhup gayaa sitaaron kaa misaal-e-abr chalaa kaarvaan bahaaron kaa na mujh se puchh shab-e-hijr dil pe kyaa guzri ye dekh haal hai kyaa mere gham-gusaaron kaa nai bahaar hanse ik nayaa chaman khil jaae samajh sake koi matlab agar ishaaron kaa shab-e-siyaah ke lamhe guzaar lene do ghaDi ghaDi na karo zikr maah-paaron kaa dikhaai deti hai is tarah rup-rang ki baat fazaa mein raqs ho jis tarah abr-paaron kaa huaa na raah mein haail koi shagufa bhi ravaan-davaan hi rahaa qaafila bahaaron kaa mujhe bhi ahl-e-jahaan bhuul jaaeinge 'shahzaad' kise khayaal hai Duube hue sitaaron kaa"
Shahzad AhmadShahzad Ahmad
Quote
"chamak chamak ke sitaaro mujhe fareb na do tum apni raat guzaaro mujhe fareb na do tilism TuuT gayaa hai tumhaari ulfat kaa miri havas ko pukaaro mujhe fareb na do mein jaantaa huun tumhaari haqiqat-e-hasti khizaan-nasib bahaaro mujhe fareb na do lage hue hain yahaan phuul phuul se kaanTe mire chaman ke nazaaro mujhe fareb na do taDap taDap na uTho aaj mere armaanb bhaDak bhaDak ke sharaaro mujhe fareb na do umid-e-vaada-e-fardaa na mujh ko dilvaao main gham-nasib huun yaaro mujhe fareb na do"
Shahzad AhmadShahzad Ahmad
Quote
"kaise guzar sakeinge zamaane bahaar ke chup ho gayaa huun mausam-e-gul ko pukaar ke yaa meri zindagi mein ujaalaa kare koi yaa pheink de kahin ye sitaare utaar ke jholi mein gul to kyaa koi kaanTaa hi Daal do maayus to na ho koi daaman pasaar ke dil par bhi aao ek nazar Daalte chalein shaayad chhupe hue hon yahin din bahaar ke aankhon mein aansuon ki tarah tairne lage bhige hue khayaal lab-e-ju-e-baar ke dahki hui fazaaon mein jaaein kahaan tuyur saae bhi jab ghane na rahein shaakh-saar ke 'shahzaad' kis zamin ko main apnaa vatan kahun aavaargaan-e-ishq hue kis dayaar ke"
Shahzad AhmadShahzad Ahmad

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil