SHAWORDS

buri aur bhali sab guzar jaaegi — Altaf Hussain Hali

"buri aur bhali sab guzar jaaegi ye kashti yunhi paar utar jaaegi milegaa na gulchin ko gul kaa pataa har ik pankhuDi yuun bikhar jaaegi raheinge na mallaah ye din sadaa koi din mein gangaa utar jaaegi idhar ek ham aur zamaana udhar ye baazi to so bisve har jaaegi banaavaT ki shekhi nahin rahti shaikh ye 'izzat to jaaegi par jaaegi na puuri hui hain umidein na hon yunhi 'umr saari guzar jaaegi suneinge na 'haali' ki kab tak sadaa yahi ek din kaam kar jaaegi"
Urdu

بری اور بھلی سب گزر جائے گی یہ کشتی یوں ہی پار اتر جائے گی ملے گا نہ گلچیں کو گل کا پتا ہر اک پنکھڑی یوں بکھر جائے گی رہیں گے نہ ملاح یہ دن سدا کوئی دن میں گنگا اتر جائے گی ادھر ایک ہم اور زمانہ ادھر یہ بازی تو سو بسوے ہر جائے گی بناوٹ کی شیخی نہیں رہتی شیخ یہ عزت تو جائے گی پر جائے گی نہ پوری ہوئی ہیں امیدیں نہ ہوں یوں ہی عمر ساری گزر جائے گی سنیں گے نہ حالیؔ کی کب تک صدا یہی ایک دن کام کر جائے گی

Hindi

बुरी और भली सब गुज़र जाएगी ये कश्ती यूँही पार उतर जाएगी मिलेगा न गुलचीं को गुल का पता हर इक पंखुड़ी यूँ बिखर जाएगी रहेंगे न मल्लाह ये दिन सदा कोई दिन में गंगा उतर जाएगी इधर एक हम और ज़माना उधर ये बाज़ी तो सो बिसवे हर जाएगी बनावट की शेख़ी नहीं रहती शैख़ ये 'इज़्ज़त तो जाएगी पर जाएगी न पूरी हुई हैं उमीदें न हों यूँही 'उम्र सारी गुज़र जाएगी सुनेंगे न 'हाली' की कब तक सदा यही एक दिन काम कर जाएगी

burī aur bhalī sab guzar jā.egī
Altaf Hussain Hali
Altaf Hussain Hali
Altaf Hussain Hali
poet80 quotes

More by Altaf Hussain Hali

View all →
Quote
"khubiyaan apne mein go be-intihaa paate hain ham par har ik khubi mein daagh ik aib kaa paate hain ham khauf kaa koi nishaan zaahir nahin afaaal mein go ki dil mein muttasil khauf-e-khudaa paate hain ham karte hain taaat to kuchh khvaahaan numaaish ke nahin par gunah chhup chhup ke karne mein mazaa paate hain ham diida o dil ko khayaanat se nahin rakh sakte baaz garche dast-o-paa ko aksar be-khataa paate hain ham dil mein dard-e-ishq ne muddat se kar rakkhaa hai ghar par use aaluda-e-hirs-o-havaa paate hain ham ho ke naadim jurm se phir jurm karte hain vahi jurm se go aap ko naadim sadaa paate hain ham hain fidaa un doston par jin mein ho sidq o safaa par bahut kam aap mein sidq o safaa paate hain ham go kisi ko aap se hone nahin dete khafaa ik jahaan se aap ko lekin khafaa paate hain ham jaante apne sivaa sab ko hain be-mehr o vafaa apne mein gar shamma-e-mehr-o-vafaa paate hain ham bukhl se mansub karte hain zamaane ko sadaa gar kabhi taufiq-e-isaar o ataa paate hain ham ho agar maqsad mein naakaami to kar sakte hain sabr dard-e-khud-kaami ko lekin be-davaa paate hain ham Thaharte jaate hain jitne chashm-e-aalam mein bhale haal nafs-e-dun kaa utnaa hi buraa paate hain ham jis qadar jhuk jhuk ke milte hain buzurg o khurd se kibr o naaz utnaa hi apne mein sivaa paate hain ham go bhalaai karke ham-jinson se khush hotaa hai ji tah-nashin us mein magar durd-e-riyaa paate hain ham hai ridaa-e-nek-naami dosh par apne magar daagh rusvaai ke kuchh zer-e-ridaa paate hain ham raah ke taalib hain par be-raah paDte hain qadam dekhiye kyaa DhunDhte hain aur kyaa paate hain ham nuur ke ham ne gale dekhe hain ai 'haali' magar rang kuchh teri alaapon mein nayaa paate hain ham"
Altaf Hussain HaliAltaf Hussain Hali
Quote
"kabk o qumri mein hai jhagDaa ki chaman kis kaa hai kal bataa degi khizaan ye ki vatan kis kaa hai faisla gardish-e-dauraan ne kiyaa hai sau baar marv kis kaa hai badakhshaan o khutan kis kaa hai dam se yusuf ke jab aabaad thaa yaaqub kaa ghar charkh kahtaa thaa ki ye bait-e-huzan kis kaa hai mutmain is se musalmaan na masihi na yahud dost kyaa jaaniye ye charkh-e-kuhan kis kaa hai vaaiz ik aib se tu paak hai yaa zaat-e-khudaa varna be-aib zamaane mein chalan kis kaa hai aaj kuchh aur dinon se hai sivaa istighraaq azm-e-taskhir phir ai shekh-e-zaman kis kaa hai aankh paDti hai har ik ahl-e-nazar ki tum par tum mein ruup ai gul o nasrin o saman kis kaa hai ishq udhar aql idhar dhun mein chale hain teri rasta ab dekhiye donon mein kaThin kis kaa hai shaan dekhi nahin gar tu ne chaman mein us ki valvala tujh mein ye ai murgh-e-chaman kis kaa hai hain fasaahat mein masal vaaiz o 'haali' donon dekhnaa ye hai ki be-laag sukhan kis kaa hai"
Altaf Hussain HaliAltaf Hussain Hali
Quote
"kah do koi saaqi se ki ham marte hain pyaase gar mai nahin de zahr hi kaa jaam balaa se jo kuchh hai so hai us ke taghaaful ki shikaayat qaasid se hai takraar na jhagDaa hai sabaa se dallaala ne ummid dilaai to hai lekin dete nahin kuchh dil ko tasalli ye dilaase hai vasl to taqdir ke haath ai shah-e-khubaan yaan hain to faqat teri mohabbat ke hain pyaase pyaase tire sar-gashta hain jo raah-e-talab mein honTon ko vo karte nahin tar aab-e-baqaa se dar guzre davaa se to bharose pe duaa ke dar guzrein duaa se bhi duaa hai ye khudaa se ik dard ho bas aaTh pahar dil mein ki jis ko takhfif davaa se ho na taskin duaa se 'haali' dil-e-insaan mein hai gum daulat-e-kaunain sharminda hon kyuun ghair ke ehsaan-o-ataa se jab vaqt paDe dijiye dastak dar-e-dil par jhukiye fuqaraa se na jhamkiye umraa se"
Altaf Hussain HaliAltaf Hussain Hali
Quote
"dil ko dard-aashnaa kiyaa tu ne dard-e-dil ko davaa kiyaa tu ne tab-e-insaan ko di sirisht-e-vafaa khaak ko kimiyaa kiyaa tu ne vasl-e-jaanaan muhaal Thahraayaa qatl-e-aashiq ravaa kiyaa tu ne thaa na juz gham bisaat-e-aashiq mein gham ko raahat-fazaa kiyaa tu ne jaan thi ik vabaal furqat mein shauq ko jaan-guzaa kiyaa tu ne thi mohabbat mein nang minnat-e-ghair jazb-e-dil ko rasaa kiyaa tu ne raah zaahid ko jab kahin na mili dar-e-mai-khaana vaa kiyaa tu ne qata hone hi jab lagaa paivand ghair ko aashnaa kiyaa tu ne thi jahaan kaarvaan ko deni raah ishq ko rahnumaa kiyaa tu ne naav bhar kar jahaan Duboni thi aql ko naakhudaa kiyaa tu ne baDh gai jab pidar ko mehr-e-pisar us ko us se judaa kiyaa tu ne jab huaa mulk o maal rahzan-e-hosh baadshah ko gadaa kiyaa tu ne jab mili kaam-e-jaan ko lazzat-e-dard dard ko be-davaa kiyaa tu ne jab diyaa raah-rau ko zauq-e-talab sai ko naa-rasaa kiyaa tu ne parda-e-chashm the hijaab bahut husn ko khud-numaa kiyaa tu ne ishq ko taab-e-intizaar na thi ghurfa ik dil mein vaa kiyaa tu ne haram aabaad aur dair kharaab jo kiyaa sab bajaa kiyaa tu ne sakht afsurda taba thi ahbaab ham ko jaadu navaa kiyaa tu ne phir jo dekhaa to kuchh na thaa yaa rab kaun puchhe ki kyaa kiyaa tu ne 'haali' uTThaa hilaa ke mahfil ko aakhir apnaa kahaa kiyaa tu ne"
Altaf Hussain HaliAltaf Hussain Hali
Quote
"vaan agar jaaein to le kar jaaein kyaa munh use ham jaa ke ye dikhlaaein kyaa dil mein hai baaqi vahi hirs-e-gunaah phir kiye se apne ham pachhtaaein kyaa aao lein us ko hamin jaa kar manaa us ki be-parvaaiyon par jaaein kyaa dil ko masjid se na mandir se hai uns aise vahshi ko kahin bahlaaein kyaa jaantaa duniyaa ko hai ik khel tu khel qudrat ke tujhe dikhlaaein kyaa umr ki manzil to juun tuun kaT gai marhale ab dekhiye pesh aaein kyaa dil ko sab baaton ki hai naaseh khabar samjhe samjhaae ko bas samjhaaein kyaa maan liije shaikh jo daavaa kare ik buzurg-e-din ko ham jhuTlaaein kyaa ho chuke 'haali' ghazal-khvaani ke din raagni be-vaqt ki ab gaaein kyaa"
Altaf Hussain HaliAltaf Hussain Hali
Quote
"junun kaar-farmaa huaa chaahtaa hai qadam dasht paimaa huaa chaahtaa hai dam-e-girya kis kaa tasavvur hai dil mein ki ashk ashk dariyaa huaa chaahtaa hai khat aane lage shikva-aamez un ke milaap un se goyaa huaa chaahtaa hai bahut kaam lene the jis dil se ham ko vo sarf-e-tamannaa huaa chaahtaa hai abhi lene paae nahin dam jahaan mein ajal kaa taqaazaa huaa chaahtaa hai mujhe kal ke vaade pe karte hain rukhsat koi vaada puuraa huaa chaahtaa hai fuzun tar hai kuchh in dinon zauq-e-isyaan dar-e-rahmat ab vaa huaa chaahtaa hai qalaq gar yahi hai to raaz-e-nihaani koi din mein rusvaa huaa chaahtaa hai vafaa shart-e-ulfat hai lekin kahaan tak dil apnaa bhi tujh saa huaa chaahtaa hai bahut haz uThaataa hai dil tujh se mil kar qalaq dekhiye kyaa huaa chaahtaa hai gham-e-rashk ko talkh samjhe the hamdam so vo bhi gavaaraa huaa chaahtaa hai bahut chain se din guzarte hain 'haali' koi fitna barpaa huaa chaahtaa hai"
Altaf Hussain HaliAltaf Hussain Hali

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari