"har phuul pe maali kaa ijaara nahin hotaa har shaakh pe chiDiyon kaa baseraa nahin hotaa aa jaate the pahle jo madaari nahin aate ab gaanv ki galiyon mein tamaashaa nahin hotaa ab taaza gulaabon se bhi khushbu nahin aati mausam bhi bahaaron kaa suhaanaa nahin hotaa muflis pe amiron ki 'inaayat nahin hoti majlis mein gharibon kaa Thikaanaa nahin hotaa mil baiTh ke huqqe ki rivaayat nahin baaqi ab gaanv mein dukh-dard pe charchaa nahin hotaa har baar mayassar ho suhulat nahin mumkin aasaani se har kaam hamesha nahin hotaa"
chaahat agar hai aap ki ho jaan-nisaar dost — Asrar Danish
"chaahat agar hai aap ki ho jaan-nisaar dost honaa paDegaa aap ko bhi gham-gusaar dost tu bhi fareb-o-makr kaa hogaa shikaar dost varna riyaa kaa jism se cholaa utaar dost milte hain is jahaan mein yuun to hazaar dost hotaa nahin hai sab pe magar e'tibaar dost makr-o-fareb kizb-o-riyaa kaa ye daur hai kaise kisi pe koi kare e'tibaar dost chaahe Dubo de ziist ki kashti yaa paar kar ham ne to de diyaa hai tujhe ikhtiyaar dost is daur-e-pur-fareb mein 'daanish' muhaal hai kar lenaa e'tibaar ke qaabil shumaar dost"
چاہت اگر ہے آپ کی ہو جاں نثار دوست ہونا پڑے گا آپ کو بھی غم گسار دوست تو بھی فریب و مکر کا ہوگا شکار دوست ورنہ ریا کا جسم سے چولا اتار دوست ملتے ہیں اس جہان میں یوں تو ہزار دوست ہوتا نہیں ہے سب پہ مگر اعتبار دوست مکر و فریب کذب و ریا کا یہ دور ہے کیسے کسی پہ کوئی کرے اعتبار دوست چاہے ڈبو دے زیست کی کشتی یا پار کر ہم نے تو دے دیا ہے تجھے اختیار دوست اس دور پر فریب میں دانشؔ محال ہے کر لینا اعتبار کے قابل شمار دوست
चाहत अगर है आप की हो जाँ-निसार दोस्त होना पड़ेगा आप को भी ग़म-गुसार दोस्त तू भी फ़रेब-ओ-मक्र का होगा शिकार दोस्त वर्ना रिया का जिस्म से चोला उतार दोस्त मिलते हैं इस जहान में यूँ तो हज़ार दोस्त होता नहीं है सब पे मगर ए'तिबार दोस्त मक्र-ओ-फ़रेब किज़्ब-ओ-रिया का ये दौर है कैसे किसी पे कोई करे ए'तिबार दोस्त चाहे डुबो दे ज़ीस्त की कश्ती या पार कर हम ने तो दे दिया है तुझे इख़्तियार दोस्त इस दौर-ए-पुर-फ़रेब में 'दानिश' मुहाल है कर लेना ए'तिबार के क़ाबिल शुमार दोस्त

More by Asrar Danish
View all →"us shahr se aisaa koi rishta bhi nahin hai fursat bhi nahin hai mujhe jaanaa bhi nahin hai piinaa hai to ham jaam-e-shahaadat hi piyeinge ab is ke sivaa dusraa chaara bhi nahin hai aainda kabhi baiTh ke kuchh baat kareinge mausam bhi nahin hai abhi mauqa' bhi nahin hai miltaa thaa baDe shauq se pahle vo sar-e-shaam ab dekh ke kaT jaataa hai aataa bhi nahin hai is mulk mein mujrim hai vahi haath mein jis ke hathiyaar baDi chiiz hai tesha bhi nahin hai ye gardish-e-ayyaam ki vahshat hai ki 'daanish' bachcha koi ab shahr mein rotaa bhi nahin hai"
"achaanak raah mein chalte hue patthar nikal aae khayaal-o-khvaab ki duniyaa se ham baahar nikal aae musibat mein rahein ham saabir-o-shaakir to mumkin hai khudaa ke hukm se surat koi behtar nikal aae pas-e-parda bahut se log aise hain zamaane mein agar chhu dein vo miTTi ko to phir gauhar nikal aae bahut muhtaat rahne ki zarurat hai yahaan 'daanish' na jaane kab kahaan kis moD par khanjar nikal aae"
"dil ke aangan mein be-qaraari hai ye sharaarat to bas tumhaari hai tum samajhte ho buzdili lekin dar-haqiqat ye khaaksaari hai ik nazar jab se tum ko dekhaa hai zehn-o-dil par surur taari hai vaqt aaegaa ham bhi dekheinge hijr ki raat kitni bhaari hai daam se us ke bachnaa mushkil hai shahr mein vo baDaa shikaari hai ye ujaalaa to kuchh nahin 'daanish' chaand mein chaandni tumhaari hai"
"'ibaadat kam riyaa-kaari bahut hai zamaane mein adaakaari bahut hai mohabbat mein zaraa chalnaa sanbhal ke pas-e-parda khataa-kaari bahut hai vasaail ki kami hai zindagi mein zarurat ki hinaa-kaari bahut hai vahaan kaa naam hi shahr-e-vafaa hai jahaan 'daanish' jafaakaari bahut hai"
"yuun to iqraar kaa pahlu bhi hai inkaar ke saath phir bhi dhaDkaa saa lagaa rahtaa hai izhaar ke saath ye alag baat ki ham dekh nahin paate hain lag ke baiThaa hai koi aaj bhi divaar ke saath raasta khaana-badoshon kaa koi to nikle baat uljhi hui rahti hai zamin-daar ke saath faisla vaqt kaa jaataa hai kidhar dekheinge jang jaari hai abhi mauj ki patvaar ke saath us ki gardan ki hifaazat ki zamaanat kyaa hai kheltaa hai jo sadaa khanjar-o-talvaar ke saath varna behtar hai abhi khatm kahaani ho jaae zinda rahnaa hai to phir 'azmat-o-kirdaar ke saath"
More on Dosti
View all →"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
"dushmani chalti rahi yaaron ke biich phuul bhi khilte rahe khaaron ke biich ho agar imaan-e-kaamil aaj bhi raqs ho saktaa hai angaaron ke biich dosti ki chhat banaanaa chaahiye ham ko bhi rahnaa hai divaaron ke biich aap ko to chaand kahte the sabhi aap kyon dhundlaa gae taaron ke biich khud-farebi ne sahaaraa de diyaa mil gayaa iqraar inkaaron ke biich khuub hai 'muztar' kaa rang-e-shaairi khuun ki surkhi hai ghazal-paaron ke biich"
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"