SHAWORDS

charaagh-e-mohabbat jalaane lage hain — Hamza Daim

HomeHamza DaimGhazal
"charaagh-e-mohabbat jalaane lage hain abhi se qadam Dagmagaane lage hain gham-e-zindagi jab sunaane lage hain banaane mein ham ko zamaane lage hain bujhaane mein jis ko zamaane lage hain vahin aag phir se lagaane lage hain zaraa aage baDh ke diyaa ik jalaao andhere bahut ab sataane lage hain natija sharaafat kaa hotaa yahi hai sabhi aaj ungli uThaane lage hain"
Urdu

چراغ محبت جلانے لگے ہیں ابھی سے قدم ڈگمگانے لگے ہیں غم زندگی جب سنانے لگے ہیں بنانے میں ہم کو زمانے لگے ہیں بجھانے میں جس کو زمانے لگے ہیں وہیں آگ پھر سے لگانے لگے ہیں ذرا آگے بڑھ کے دیا اک جلاؤ اندھیرے بہت اب ستانے لگے ہیں نتیجہ شرافت کا ہوتا یہی ہے سبھی آج انگلی اٹھانے لگے ہیں

Hindi

चराग़-ए-मोहब्बत जलाने लगे हैं अभी से क़दम डगमगाने लगे हैं ग़म-ए-ज़िंदगी जब सुनाने लगे हैं बनाने में हम को ज़माने लगे हैं बुझाने में जिस को ज़माने लगे हैं वहीं आग फिर से लगाने लगे हैं ज़रा आगे बढ़ के दिया इक जलाओ अंधेरे बहुत अब सताने लगे हैं नतीजा शराफ़त का होता यही है सभी आज उँगली उठाने लगे हैं

charāġh-e-mohabbat jalāne lage haiñ
Hamza Daim
Hamza Daim
Hamza Daim
poet14 quotes

More by Hamza Daim

View all →
Quote
"yuun to mushkil thaa tire saath guzaaraa karnaa par mire bas mein na thaa tujh se kinaaraa karnaa jaan hatheli pe dhare dauDe chale aaeinge bas hamein subh-e-vatan ek ishaara karnaa ek hi shakhs se kai baar mohabbat ki hai is ko kahte hain miri jaan khasaara karnaa yaad ab tak mujhe aataa hai shab-e-tanhaai vo tiraa mujh ko su-e-dasht pukaaraa karnaa ik nazar mujh pe bhi ho arz-o-samaa ke maalik teri qudrat mein hai patthar ko sitaara karnaa chaand kis baat ki hai tujh mein akaD bol zaraa shaah-e-taiba zaraa ungli kaa ishaara karnaa is ta'alluq ko mire paanv ki beDi na samajh mujh ko aataa hai mire dost kinaaraa karnaa main ki sahraa bhi huun dariyaa bhi huun jangal bhi huun mujh ko jis naam se marzi hai pukaaraa karnaa main mukammal thaa to dhutkaar diyaa thaa tu ne ab adhuraa huun adhure pe guzaaraa karnaa apne haathon pe liye baiThe ho aankhein 'daaem' kis ne bolaa thaa sar-e-tur nazaara karnaa"
Hamza DaimHamza Daim
Quote
"mohabbat ibtidaa mein hai jafaaein naa-munaasib hain tumhaare ruThne ki ye adaaein naa-munaasib hain ye shaayad umr aisi thi mohabbat ho gai mujh ko magar is umr mein itni sazaaein naa-munaasib hain tumhaare shahr se jaanaa muqaddar thaa so jhelaa hai magar is mein raqibon ki duaaein naa-munaasib hain abhi se hijr ki talkhi mein mar jaaungaa jaan-e-jaan abhi mausam vafaa kaa hai jafaaein naa-munaasib hain inhi taarikiyon mein zinda rahne kaa hunar sikho diye ko mat jalaao tum havaaein naa-munaasib hain ye sher-o-shaaeri 'daaem' ye ishq-o-aashiqi 'daaem' miri maano tumhaari ye adaaein naa-munaasib hain"
Hamza DaimHamza Daim

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi