"lab pe hai fariyaad ashkon ki ravaani ho chuki ik kahaani chhiD rahi hai ik kahaani ho chuki mehr ke parde mein puuri dil-sitaani ho chuki banda-parvar rahm kijiye mehrbaani ho chuki meraa dil taakaa gayaa jaur o jafaa ke vaaste jab ki puure rang par un ki javaani ho chuki jaaiye bhi kyuun mujhe jhuTi tashaffi dijiye aap se aur mere dil ki tarjumaani ho chuki aa gayaa ai sunne vaale ab mujhe paas-e-vafaa ab bayaan rudaad-e-dil meri zabaani ho chuki aakhiri aansu miri chashm-e-alam se gir chukaa sunne vaalo khatm ab meri kahaani ho chuki ham bhi tang aa hi gae aakhir niyaaz o naaz se haan khushaa qismat ki un ki mehrbaani ho chuki sunne vaale surat-e-tasvir baiThe hain tamaam hazrat-e-'bahzaad' bas jaadu-bayaani ho chuki"
chashm-e-hasin mein hai na rukh-e-fitna-gar mein hai — Behzad Lakhnavi
"chashm-e-hasin mein hai na rukh-e-fitna-gar mein hai duniyaa kaa har fareb fareb-e-nazar mein hai ab kyaa khabar ki dil mein hai kyaa kyaa jigar mein hai ab to tiri nazar kaa tamaashaa nazar mein hai imaan rakh ke kyaa karun farsuda chiiz hai masti mujhe qubul ki teri nazar mein hai naasur dard-e-zakhm tapish soz-o-iztiraab saamaan sau tarah kaa dil-e-mukhtasar mein hai haazir hai us ke vaaste jis ko ho aarzu haan ik lahu ki buund miri chashm-e-tar mein hai qismat se mil gai hai ye bedaari-e-hayaat is ishq ke nisaar ki duniyaa nazar mein hai mujh ko na din ko chain na shab ko sukun nasib ik rabt-e-daaimi miri shaam-o-sahar mein hai hairat se dekhiye na mire sajda-haa-e-shauq ye aastaan kuchh aur hi meri nazar mein hai baaqi hain baad-e-tauba bhi rindi ke valvale dil mein khayaal-e-baada hai saaghar nazar mein hai achchhi mili hai mujh ko ye divaangi-e-shauq duniyaa kaa har khayaal dil-e-be-khabar mein hai do qatra-haa-e-khun sar-e-mizhgaan hain muntazir 'bahzaad' do-jahaan kaa tamaashaa nazar mein hai"
چشم حسیں میں ہے نہ رخ فتنہ گر میں ہے دنیا کا ہر فریب فریب نظر میں ہے اب کیا خبر کہ دل میں ہے کیا کیا جگر میں ہے اب تو تری نظر کا تماشا نظر میں ہے ایمان رکھ کے کیا کروں فرسودہ چیز ہے مستی مجھے قبول کہ تیری نظر میں ہے ناسور درد زخم تپش سوز و اضطراب سامان سو طرح کا دل مختصر میں ہے حاضر ہے اس کے واسطے جس کو ہو آرزو ہاں اک لہو کی بوند مری چشم تر میں ہے قسمت سے مل گئی ہے یہ بیدارئ حیات اس عشق کے نثار کہ دنیا نظر میں ہے مجھ کو نہ دن کو چین نہ شب کو سکوں نصیب اک ربط دائمی مری شام و سحر میں ہے حیرت سے دیکھیے نہ مرے سجدہ ہائے شوق یہ آستاں کچھ اور ہی میری نظر میں ہے باقی ہیں بعد توبہ بھی رندی کے ولولے دل میں خیال بادہ ہے ساغر نظر میں ہے اچھی ملی ہے مجھ کو یہ دیوانگئ شوق دنیا کا ہر خیال دل بے خبر میں ہے دو قطرہ ہائے خوں سر مژگاں ہیں منتظر بہزادؔ دو جہاں کا تماشا نظر میں ہے
चश्म-ए-हसीं में है न रुख़-ए-फ़ित्ना-गर में है दुनिया का हर फ़रेब फ़रेब-ए-नज़र में है अब क्या ख़बर कि दिल में है क्या क्या जिगर में है अब तो तिरी नज़र का तमाशा नज़र में है ईमान रख के क्या करूँ फ़र्सूदा चीज़ है मस्ती मुझे क़ुबूल कि तेरी नज़र में है नासूर दर्द-ए-ज़ख़्म तपिश सोज़-ओ-इज़्तिराब सामान सौ तरह का दिल-ए-मुख़्तसर में है हाज़िर है उस के वास्ते जिस को हो आरज़ू हाँ इक लहू की बूँद मिरी चश्म-ए-तर में है क़िस्मत से मिल गई है ये बेदारी-ए-हयात इस इश्क़ के निसार कि दुनिया नज़र में है मुझ को न दिन को चैन न शब को सुकूँ नसीब इक रब्त-ए-दाइमी मिरी शाम-ओ-सहर में है हैरत से देखिए न मिरे सज्दा-हा-ए-शौक़ ये आस्ताँ कुछ और ही मेरी नज़र में है बाक़ी हैं बा'द-ए-तौबा भी रिंदी के वलवले दिल में ख़याल-ए-बादा है साग़र नज़र में है अच्छी मिली है मुझ को ये दीवानगी-ए-शौक़ दुनिया का हर ख़याल दिल-ए-बे-ख़बर में है दो क़तरा-हा-ए-ख़ूँ सर-ए-मिज़्गाँ हैं मुंतज़िर 'बहज़ाद' दो-जहाँ का तमाशा नज़र में है

More by Behzad Lakhnavi
View all →"zinda huun is tarah ki gham-e-zindagi nahin jaltaa huaa diyaa huun magar raushni nahin vo muddatein hui hain kisi se judaa hue lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin aane ko aa chukaa thaa kinaaraa bhi saamne khud us ke paas meri hi nayyaa gai nahin honTon ke paas aae hansi kyaa majaal hai dil kaa muaamla hai koi dil-lagi nahin ye chaand ye havaa ye fazaa sab hain maand maand jo tu nahin to in mein koi dil-kashi nahin"
"ik be-vafaa ko pyaar kiyaa haae kyaa kiyaa khud dil ko be-qaraar kiyaa haae kyaa kiyaa maa'lum thaa ki 'ahd-e-vafaa un kaa jhuuT hai is par bhi e'tibaar kiyaa haae kyaa kiyaa vo dil ki jis pe qimat-e-kaunain thi nisaar nazr-e-nigaah-e-yaar kiyaa haae kyaa kiyaa khud ham ne faash faash kyaa raaz-e-aashiqi daaman ko taar taar kiyaa haae kyaa kiyaa aahein bhi baar baar bharin un ke hijr mein naala bhi baar baar kiyaa haae kyaa kiyaa miTne kaa gham nahin hai bas itnaa malaal hi kyuun teraa intizaar kiyaa haae kyaa kiyaa ham ne to gham ko siine se apne lagaa liyaa gham ne hamein shikaar kiyaa haae kyaa kiyaa sayyaad ki razaa ye ham aansu na pi sake uzr-e-gham-bahaar kiyaa haae kyaa kiyaa qismat ne aah ham ko ye din bhi dikhaa diye qismat pe e'tibaar kiyaa haae kyaa kiyaa rangini-e-khayaal se kuchh bhi na bach sakaa har shai ko pur-bahaar kiyaa haae kyaa kiyaa dil ne bhulaa bhulaa ke tiri bevafaaiyaan phir 'ahd ustuvaar kiyaa haae kyaa kiyaa un ke sitam bhi sah ke na un se kyaa gila kyuun jabr ikhtiyaar kiyaa haae kyaa kiyaa kaafir ki chashm-e-naaz pe kyaa dil-jigar kaa zikr imaan tak nisaar kiyaa haae kyaa kiyaa kaali ghaTaa ke uThte hi tauba na rah saki tauba pe e'tibaar kiyaa haae kyaa kiyaa shaam-e-firaaq qalb ke daaghon ko gin liyaa taaron ko bhi shumaar kiyaa haae kyaa kiyaa 'bahzaad' ki na qadar koi tum ko ho saki tum ne zalil-o-khvaar kiyaa haae kyaa kiyaa"
"tumhaare husn ki taskhir aam hoti hai ki ik nigaah mein duniyaa tamaam hoti hai jahaan pe jalva-e-jaanaan hai anjuman-aaraa vahaan nigaah ki manzil tamaam hoti hai vahi khalish vahi sozish vahi tapish vahi dard hamein sahar bhi ba-andaaz-e-shaam hoti hai nigaah-e-husn mubaarak tujhe dar-andaazi kabhi kabhi miri mahfil bhi aam hoti hai zahe nasib mein qurbaan apni qismat ke tire liye miri duniyaa tamaam hoti hai namaaz-e-ishq kaa hai inhisaar ashkon tak ye be-niyaaz-e-sujud-o-qayaam hoti hai tiri nigaah ke qurbaan tiri nigaah ki Tiis ye naa-tamaam hi rah kar tamaam hoti hai vahaan pe chal mujhe le kar mire samand-e-khayaal jahaan nigaah ki masti haraam hoti hai kisi ke zikr se 'bahzaad' mubtalaa ab tak jigar mein ik khalish-e-naa-tamaam hoti hai"
"apni nai zamin nayaa aasmaan rahe haan is jahaan se duur hi apnaa jahaan rahe ham ne to is chaman se lagaayaa kabhi na dil ham be-niyaaz-e-fikr-e-gham-e-aashiyaan rahe mujh saa chaman-parast chaman ko milaa hai kab is mein agar rahe to miri daastaan rahe har barg-o-gul ko khaar nazar aa rahe hain khaar matlab ye hai ki gul se dam-e-gulsitaan rahe ham tum rahein jahaan-e-tamanna-o-husn mein apne sivaa na aur koi mehmaan rahe hai naam jis kaa 'ishq khushi se hai duur duur ye to jahaan-e-gham hai masarrat kahaan rahe ye bhi khayaal hai ki na ho shikva-e-alam aur ye bhi chaahte ho ki munh mein zabaan rahe kab tak chhuTe na haath se daamaan-e-husn-o-'ishq kab tak dil-e-hazin mein gham-e-do-jahaan rahe Thukraa ke jaa rahe ho jise tum ba-sad-khushi tum hi bataao ab vo tamanna kahaan rahe ab justuju mein bhi na gai apni be-khudi 'bahzaad' ham chale to pas-e-kaarvaan rahe"
"aah asar ho gai to kyaa hogaa be-asar ho gai to kyaa hogaa shaam-e-gham aa chale tasavvur mein ab sahar ho gai to kyaa hogaa vo nazar jis ko hai khabar meri be-khabar ho gai to kyaa hogaa daastaan 'ishq ki tavil to hai mukhtasar ho gai to kyaa hogaa shab na kaaTe kaTi to hogaa kyaa aur basar ho gai to kyaa hogaa aah go dil se ham nahin karte kaargar ho gai to kyaa hogaa ru-baru un ke chup to huun 'bahzaad' aankh tar ho gai to kyaa hogaa"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"