Quote
"tapish-e-dil na rahi sozish-e-jaan baaqi hai shoala-e-ishq kahaan sirf dhuaan baaqi hai be-hisi mein bhi ye ehsaas rahaa hai aksar ek nashtar saa qarib rag-e-jaan baaqi hai mai-kasho gardish-e-dauraan se hiraasaan kyuun ho sar-e-mai-khaana abhi abr-e-ravaan baaqi hai zikr aataa hai jafaaon kaa tire naam ke saath dil-e-barbaad kaa itnaa to nishaan baaqi hai muddatein ho gaiin paimaan-e-vafaa ko TuuTe is jafaa ju se magar rabt-e-nihaan baaqi hai zindagi silsila-e-ishrat-e-mauhum sahi gham salaamat hai to aasaaish-e-jaan baaqi hai manzil-e-tark-e-tamannaa hai janaab-e-'aarif' dil mein ab bhi havas-e-laala-rukhaan baaqi hai"
