SHAWORDS

dasht-e-be-kaar se nikal aayaa — Mohammad Mazhar Niyazi

"dasht-e-be-kaar se nikal aayaa aadmi ghaar se nikal aayaa mere andar se chikh kyaa nikli zakhm talvaar se nikal aayaa dushmanon ki kami se lagtaa hai halqa-e-yaar se nikal aayaa khaamushi kaa javaaz bhi ik din dar-o-divaar se nikal aayaa laash junhi miri uThaai gai khauf baazaar se nikal aayaa iinT girne ki der thi 'mazhar' 'ishq divaar se nikal aayaa"
Urdu

دشت بے کار سے نکل آیا آدمی غار سے نکل آیا میرے اندر سے چیخ کیا نکلی زخم تلوار سے نکل آیا دشمنوں کی کمی سے لگتا ہے حلقۂ یار سے نکل آیا خامشی کا جواز بھی اک دن در و دیوار سے نکل آیا لاش جوں ہی مری اٹھائی گئی خوف بازار سے نکل آیا اینٹ گرنے کی دیر تھی مظہرؔ عشق دیوار سے نکل آیا

Hindi

दश्त-ए-बे-कार से निकल आया आदमी ग़ार से निकल आया मेरे अंदर से चीख़ क्या निकली ज़ख़्म तलवार से निकल आया दुश्मनों की कमी से लगता है हल्क़ा-ए-यार से निकल आया ख़ामुशी का जवाज़ भी इक दिन दर-ओ-दीवार से निकल आया लाश जूँही मिरी उठाई गई ख़ौफ़ बाज़ार से निकल आया ईंट गिरने की देर थी 'मज़हर' 'इश्क़ दीवार से निकल आया

dasht-e-be-kār se nikal aayā
Mohammad Mazhar Niyazi
Mohammad Mazhar Niyazi
Mohammad Mazhar Niyazi
poet21 quotes

More by Mohammad Mazhar Niyazi

View all →
Quote
"javaab saare savaaliya kar ke aa rahaa huun main zindagi se mukaalima kar ke aa rahaa huun parind mujh par utarne vaale hain dhire dhire main sabz peDon se raabta kar ke aa rahaa huun tiri haveli mein aanaa aasaan to nahin thaa chaTaan haail thi raasta kar ke aa rahaa huun tamaam dushman to mujh ko taslim kar chuke hain main doston se muqaabla kar ke aa rahaa huun main aise pahunchaa nahin huun 'mazhar' abad se aage main laa-makaan se musaafaha kar ke aa rahaa huun"
Mohammad Mazhar NiyaziMohammad Mazhar Niyazi
Quote
"miTTi ke insaan banaayaa kartaa thaa main apni pahchaan banaayaa kartaa thaa phuul kahaan hote the meri basti mein kaaghaz ke guldaan banaayaa kartaa thaa apne aap ko baandh liyaa kartaa thaa main dhaagon se zindaan banaayaa kartaa thaa log miri aavaaz kahaan sun sakte the divaaron ke kaan banaayaa kartaa thaa sukhe phulon par baarish ki bundon se khushbu ke imkaan banaayaa kartaa thaa maan ko dekhaa kartaa thaa aur pencil se tasvir-e-yazdaan banaayaa kartaa thaa"
Mohammad Mazhar NiyaziMohammad Mazhar Niyazi

More on Ishq

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer
Quote
"vo tijaarat mein kahaan koi ziyaan chhoDtaa hai ruuh le letaa hai aa'saab yahaan chhoDtaa hai hai ye patthar miraa shishe se tire baalaa-tar kam se kam zulm ke maathe pe nishaan chhoDtaa hai bazm-e-anjum mein uThaa laae ho ye kis kaa diyaa nuur to kuchh nahin detaa hai dhuaan chhoDtaa hai ham se khud-sar su-e-maidaan-e-vighaa jaate hue ye nahin sochte hain kaun kahaan chhoDtaa hai 'ishq vo mo'jiza-e-kun hai nishaan jo apne jahaan hoti nahin ummid vahaan chhoDtaa hai qasr-e-fir'aun idhar aur udhar vaadi-e-misr dekhnaa ye hai kidhar aab-e-ravaan chhoDtaa hai ai khirad-baakhta shaddaad iram par tiri tuf itne saste mein koi baagh-e-jinaan chhoDtaa hai vahshatein khinch liye jaati hain sahraa mein 'safar' apni marzi se bhalaa kaun makaan chhoDtaa hai"
Safar NaqviSafar Naqvi
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar