Quote
"jo zindagi bachi hai use khaar kyaa karein ham bhi tumhaare hote magar yaar kyaa karein hain band sab dukaanein ki baazaar-e-ishq mein miltaa nahin hai ham saa kharidaar kyaa karein laDte rahe havaa se jalaate rahe charaagh ab aur raushni ke talabgaar kyaa karein ahbaab chal diye tire darbaar ki taraf aur ham ki aa gae hain sar-e-daar kyaa karein sidhi si baat ye hai hamein tum se pyaar hai sheron mein is khayaal ki takraar kyaa karein ham jaan de chuke hain kai baar ishq mein ab ye bataao 'shaad' ki is baar kyaa karein"
