"ghar se nikli kahaa saheli kaa phuul hamraah thaa chanbeli kaa baalaa-khaane se chikh uThti thi aur dar band thaa haveli kaa vaqt farmaan-ravaa-e-dilli hai aur main bakht huun bareli kaa us ne dast-e-talab daraaz kiyaa chhed zaahir huaa hatheli kaa vaqt kolhu hai aur ham sab bail munfarid hai nizaam teli kaa"
dhyaan mein kaun darinda hai jo bedaar huaa — Aqeel Abbas
"dhyaan mein kaun darinda hai jo bedaar huaa main kisi bu ki jalan paa ke khabar-daar huaa baagh ki samt se aati hai havaa sahmi hui kaun is habs ke mausam mein sadaakaar huaa us jazire ki taraf soch-samajh kar jaanaa jo tire mauj mein aane se numudaar huaa tum ko lagtaa hai ki aasaan hai duniyaa-daari kaar-e-duniyaa mein paTaa huun to vafaadaar huaa is badan par bhi miraa kaam dikhaai degaa aur vo kaam ki jaise koi shahkaar huaa us ne har soch ki zambil ulaT kar rakh di aur main khvaab dikhaane kaa sazaa-vaar huaa"
دھیان میں کون درندہ ہے جو بیدار ہوا میں کسی بو کی جلن پا کے خبردار ہوا باغ کی سمت سے آتی ہے ہوا سہمی ہوئی کون اس حبس کے موسم میں صداکار ہوا اس جزیرے کی طرف سوچ سمجھ کر جانا جو ترے موج میں آنے سے نمودار ہوا تم کو لگتا ہے کہ آسان ہے دنیا داری کار دنیا میں پٹا ہوں تو وفادار ہوا اس بدن پر بھی مرا کام دکھائی دے گا اور وہ کام کہ جیسے کوئی شہکار ہوا اس نے ہر سوچ کی زنبیل الٹ کر رکھ دی اور میں خواب دکھانے کا سزاوار ہوا
ध्यान में कौन दरिंदा है जो बेदार हुआ मैं किसी बू की जलन पा के ख़बर-दार हुआ बाग़ की सम्त से आती है हवा सहमी हुई कौन इस हब्स के मौसम में सदाकार हुआ उस जज़ीरे की तरफ़ सोच-समझ कर जाना जो तिरे मौज में आने से नुमूदार हुआ तुम को लगता है कि आसान है दुनिया-दारी कार-ए-दुनिया में पटा हूँ तो वफ़ादार हुआ इस बदन पर भी मिरा काम दिखाई देगा और वो काम कि जैसे कोई शहकार हुआ उस ने हर सोच की ज़म्बील उलट कर रख दी और मैं ख़्वाब दिखाने का सज़ा-वार हुआ

More by Aqeel Abbas
View all →"vo ghoDiyon ki tarah shokh aur lachili thi main shahsavaar thaa lekin giraft Dhili thi lagaa huaa hai zamaana baDaai mein jis ki usi ne shahr se pahli lagaan bhi li thi vo jaa chuki to achaanak mujhe khayaal aayaa vo ghaas jis pe main baiThaa thaa kitni giili thi hamaaraa khuun samay kaa sufuf jazb kare hamaari chhaal kisi bad-gumaan ne chhili thi ab us kaa Dhab bhi koi dekhtaa to hogaa hi jise taraash ke qarnon ne zahr pi li thi"
"aam si hai daraaz-qad bhi nahin par mohabbat ki koi had bhi nahin sabzi maail hai aankh kaa adsa aur us par koi adad bhi nahin tu ne puchhaa to kah diyaa jo thaa yaani andar kahin hasad bhi nahin ab dalaael ki poTli kholein ye havaala to mustanad bhi nahin zakhm silne se kyaa talaafi ho daakhliyat ki koi mad bhi nahin"
"zakhm ke honT par luaab us kaa khush bahut hai mujhe khush-aab us kaa us ne uplon pe degchi rakkhi aur pakne lagaa shabaab us kaa ishq ne phir kisi ko bhejaa hai khair-maqdam kare chanaab us kaa tujh tamannaa mein jo ibaadat ki kyaa tujhe bakhsh duun savaab us kaa qaus par se umuud uThtaa huaa yaani phir jal uThaa hai khvaab us kaa daaera daaere ko chhutaa huaa aur qausain par hijaab us kaa"
"saanp ne ghaar mein rihaaish ki aur didaar ki guzaarish ki sabzagi ne ghilaaf kaaDh liyaa aur naalain ki sataaish ki lab pe naat-e-nabi ravaan rahnaa aur siine mein aag khvaahish ki ghaar mein dusraa bhi thaa koi jis ne divaar par nigaarish ki pesh-rau baargaah mein pahunche yaani baar-e-digar sifaarish ki"
"manzar ki ok se baDi ochhi lapak uThi ham jhaD chuke to peD ki Daali lachak uThi paani ki pesh-raft ne sukhaa bhagaa diyaa baarish ke baad ghaas ki TukDi lahak uThi gori ne paanv raah ke patthar pe rakh diyaa yaani kamar ke zor se gaagar chhalak uThi naddi kaa zor ab koi chhaati pe rok le pusta banaa rahe the ki miTTi sarak uThi puure badan se qaafile harakat mein aa gae raanon mein surkh aab ki saazish bidak uThi gardan ke joD par tire bose ki bastagi ik lams aur kaan ki lau tak damak uThi"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"