SHAWORDS

zakhm ke honT par luaab us kaa — Aqeel Abbas

HomeAqeel AbbasGhazal
"zakhm ke honT par luaab us kaa khush bahut hai mujhe khush-aab us kaa us ne uplon pe degchi rakkhi aur pakne lagaa shabaab us kaa ishq ne phir kisi ko bhejaa hai khair-maqdam kare chanaab us kaa tujh tamannaa mein jo ibaadat ki kyaa tujhe bakhsh duun savaab us kaa qaus par se umuud uThtaa huaa yaani phir jal uThaa hai khvaab us kaa daaera daaere ko chhutaa huaa aur qausain par hijaab us kaa"
Urdu

زخم کے ہونٹ پر لعاب اس کا خوش بہت ہے مجھے خوش آب اس کا اس نے اپلوں پہ دیگچی رکھی اور پکنے لگا شباب اس کا عشق نے پھر کسی کو بھیجا ہے خیر مقدم کرے چناب اس کا تجھ تمنا میں جو عبادت کی کیا تجھے بخش دوں ثواب اس کا قوس پر سے عمود اٹھتا ہوا یعنی پھر جل اٹھا ہے خواب اس کا دائرہ دائرے کو چھوتا ہوا اور قوسین پر حجاب اس کا

Hindi

ज़ख़्म के होंट पर लुआब उस का ख़ुश बहुत है मुझे ख़ुश-आब उस का उस ने उपलों पे देगची रक्खी और पकने लगा शबाब उस का इश्क़ ने फिर किसी को भेजा है ख़ैर-मक़्दम करे चनाब उस का तुझ तमन्ना में जो इबादत की क्या तुझे बख़्श दूँ सवाब उस का क़ौस पर से उमूद उठता हुआ या'नी फिर जल उठा है ख़्वाब उस का दायरा दाएरे को छूता हुआ और क़ौसैन पर हिजाब उस का

zaḳhm ke hoñT par luaab us kā
Aqeel Abbas
Aqeel Abbas
Aqeel Abbas
poet43 quotes

More by Aqeel Abbas

View all →
Quote
"manzar ki ok se baDi ochhi lapak uThi ham jhaD chuke to peD ki Daali lachak uThi paani ki pesh-raft ne sukhaa bhagaa diyaa baarish ke baad ghaas ki TukDi lahak uThi gori ne paanv raah ke patthar pe rakh diyaa yaani kamar ke zor se gaagar chhalak uThi naddi kaa zor ab koi chhaati pe rok le pusta banaa rahe the ki miTTi sarak uThi puure badan se qaafile harakat mein aa gae raanon mein surkh aab ki saazish bidak uThi gardan ke joD par tire bose ki bastagi ik lams aur kaan ki lau tak damak uThi"
Aqeel AbbasAqeel Abbas
Quote
"dhyaan mein kaun darinda hai jo bedaar huaa main kisi bu ki jalan paa ke khabar-daar huaa baagh ki samt se aati hai havaa sahmi hui kaun is habs ke mausam mein sadaakaar huaa us jazire ki taraf soch-samajh kar jaanaa jo tire mauj mein aane se numudaar huaa tum ko lagtaa hai ki aasaan hai duniyaa-daari kaar-e-duniyaa mein paTaa huun to vafaadaar huaa is badan par bhi miraa kaam dikhaai degaa aur vo kaam ki jaise koi shahkaar huaa us ne har soch ki zambil ulaT kar rakh di aur main khvaab dikhaane kaa sazaa-vaar huaa"
Aqeel AbbasAqeel Abbas

More on Khushi

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"pata kaise chale duniyaa ko qasr-e-dil ke jalne kaa dhuein ko raasta miltaa nahin baahar nikalne kaa bataa phulon ki masnad se utar ke tujh pe kyaa guzri miraa kyaa main to aadi ho gayaa kaanTon pe chalne kaa mire ghar se ziyaada duur sahraa bhi nahin lekin udaasi naam hi leti nahin baahar nikalne kaa chaDhegaa zahr khushbu kaa use aahista aahista kabhi bhugtegaa vo khamyaaza phulon ko masalne kaa musalsal jaagne ke baad khvaahish ruuTh jaati hai chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa zar-e-dil le ke pahunchaa thaa mataa-e-jaan bhi kho baiThaa diyaa us ne na mauqaa bhi kaf-e-afsos milne kaa khushi se kaun kartaa hai ghamon ki parvarish 'saajid' kise hai shauq logo dard ke saanche mein Dhalne kaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid