"sun ke furqat chup huaa aisaa ki murdaa ho gayaa puchhtaa hai yaar ro ro kar tujhe kyaa ho gayaa dekh kar chashm-e-siyaah-e-maah-ru vahshat hui chaandni mein us hiran kaa rang kaalaa ho gayaa kar diyaa abru ne do TukDe ba-rang-e-zulfiqaar ek hi talvaar mein saari kaa aadhaa ho gayaa kyaa diyaa bosa lab-e-shirin kaa ho kar tursh-ru munh huaa miThaa to kyaa dil apnaa khaTTaa ho gayaa munh jo us yusuf ne pheraa ho gae be-kaar sab dida-e-yaaqub chaah-e-aaina andhaa ho gayaa dil jo taDpaa daagh se raushan jahaan-e-dil huaa barq jab chamki andhere mein ujaalaa ho gayaa 'arsh' us ki sard-mehri taa-dam-e-aakhir rahi dil huaa ThanDaa na saaraa jism ThanDaa ho gayaa"
dil aaina hai jauhar-e-aks ru hai — Meer Kallu Arsh
"dil aaina hai jauhar-e-aks ru hai yuun hi tujh se main huun yuun hi mujh mein tu hai agar gul hai tu jaan-e-bulbul bhi tu hai tu har rang mein rang tu har bu mein bu hai miri khaak ashk-e-nadaamat se tar hai tayammum bhi kariye to hukm-e-vuzu hai bajaa lan-taraani hai khaamosh hain ham jo uTh jaae parda to phir guftugu hai tiri zulf-e-purkham kaa divaana huun main na zanjir-e-paa hai na tauq-e-gulu hai tasavvur mein abru ke jo mar gayaa huun pas-e-marg kaaba mire ru-ba-ru hai garebaan-e-sad-chaak hai daaman-e-gul na paivand ki jaa na kaar-e-rafu hai tire munh ko dekhun tire saath souun ye hi hasrat-e-dil ye hi aarzu hai main dauraan-e-sar se jo sar phoDtaa huun na mai hai na saaqi na jaam-e-subu hai chhuri kyaa hai talvaar bhi maar qaatil qabaa-e-badan ko bhi shauq-e-rafu hai nahaataa hai ghairon ke hamraah qaatil mire aab-e-shamshir hi taa-gulu hai tire jalve se hai dil-e-'arsh' raushan jo vo subh-e-saadiq to khurshid tu hai"
دل آئنہ ہے جوہر عکس رو ہے یوں ہی تجھ سے میں ہوں یوں ہی مجھ میں تو ہے اگر گل ہے تو جان بلبل بھی تو ہے تو ہر رنگ میں رنگ تو ہر بو میں بو ہے مری خاک اشک ندامت سے تر ہے تیمم بھی کریے تو حکم وضو ہے بجا لن ترانی ہے خاموش ہیں ہم جو اٹھ جائے پردہ تو پھر گفتگو ہے تری زلف پر خم کا دیوانہ ہوں میں نہ زنجیر پا ہے نہ طوق گلو ہے تصور میں ابرو کے جو مر گیا ہوں پس مرگ کعبہ مرے روبرو ہے گریبان صد چاک ہے دامن گل نہ پیوند کی جا نہ کار رفو ہے ترے منہ کو دیکھوں ترے ساتھ سوؤں یہ ہی حسرت دل یہ ہی آرزو ہے میں دوران سر سے جو سر پھوڑتا ہوں نہ مے ہے نہ ساقی نہ جام سبو ہے چھری کیا ہے تلوار بھی مار قاتل قبائے بدن کو بھی شوق رفو ہے نہاتا ہے غیروں کے ہم راہ قاتل مرے آب شمشیر ہی تا گلو ہے ترے جلوہ سے ہے دل عرشؔ روشن جو وہ صبح صادق تو خورشید تو ہے
दिल आइना है जौहर-ए-अक्स रू है यूँ ही तुझ से मैं हूँ यूँ ही मुझ में तू है अगर गुल है तू जान-ए-बुलबुल भी तू है तू हर रंग में रंग तू हर बू में बू है मिरी ख़ाक अश्क-ए-नदामत से तर है तयम्मुम भी करिए तो हुक्म-ए-वुज़ू है बजा लन-तरानी है ख़ामोश हैं हम जो उठ जाए पर्दा तो फिर गुफ़्तुगू है तिरी ज़ुल्फ़-ए-पुरख़म का दीवाना हूँ मैं न ज़ंजीर-ए-पा है न तौक़-ए-गुलू है तसव्वुर में अबरू के जो मर गया हूँ पस-ए-मर्ग काबा मिरे रू-ब-रू है गरेबान-ए-सद-चाक है दामन-ए-गुल न पैवंद की जा न कार-ए-रफ़ू है तिरे मुँह को देखूँ तिरे साथ सोऊँ ये ही हसरत-ए-दिल ये ही आरज़ू है मैं दौरान-ए-सर से जो सर फोड़ता हूँ न मय है न साक़ी न जाम-ए-सुबू है छुरी क्या है तलवार भी मार क़ातिल क़बाए-बदन को भी शौक़-ए-रफ़ू है नहाता है ग़ैरों के हमराह क़ातिल मिरे आब-ए-शमशीर ही ता-गुलू है तिरे जल्वे से है दिल-ए-'अर्श' रौशन जो वो सुब्ह-ए-सादिक़ तो ख़ुर्शीद तू है
More by Meer Kallu Arsh
View all →"mujh ko masnad pe qalamdaan bakhshaa sher-e-qaalin ko niyastaan bakhshaa pir-e-kanaan ko diyaa daagh-e-firaaq ek zan ko mah-e-kanaan bakhshaa maraz-e-ishq mein maut aati hai tu ne har dard ko darmaan bakhshaa qaabil-e-did hai husn-e-hikmat huur ko rauza-e-rizvaan bakhshaa qatra bhi vusat-e-rahmat se hai bahr chashm ko nuuh kaa tufaan bakhshaa dil-e-naalaan ko diye daagh-e-firaaq ek bulbul ko gulistaan bakhshaa dil-e-be-rahm diyaa zaalim ko jis tarah tiir ko paikaan bakhshaa gul ko pur-zar jo garebaan bakhshaa khaar ko dasht kaa daamaan bakhshaa rahm aayaa jo gunahgaaron par gunah-e-gabr-o-musalmaan bakhshaa aa gayaa kuchh jo karimi kaa khayaal huur ko mulk-e-sulaimaan bakhshaa teri tadbir hai ain-e-taqdir maut ko aalam-e-imkaan bakhshaa surkh-ru ahl-e-karam ko rakkhaa bahr ko panja-e-marjaan bakhshaa lab ki jaa bosa-e-rukhsaar diyaa evaz-e-laal badakhshaan bakhshaa mushaf-e-rukh kaa jo dekhaa koi sher ruh-e-'haafiz' ko bhi quraan bakhshaa us se huun taalib-e-imaan ai 'arsh' jis ne kaafir ko bhi imaan bakhshaa"
"kaun aaegaa jo tu be-sar-o-saamaan hogaa varna hogaa tu na andesha-e-darbaan hogaa qatl ke baad bhi ik aish kaa saamaan hogaa mai-e-gul-rang lahu zakhm namak-daan hogaa baankpan bas ki hai manzur mire qaatil ko gul-e-dastaar bhi ab ghuncha-e-paikaan hogaa ik nazar dekh sakegaa na tiri chashm-e-siyaah sabza-e-khat bhi charaagaah-e-ghazaalaan hogaa tu vahaan bhi jo na ho yaar to phir hai andher roz-e-mahshar pe gumaan-e-shab-e-hijraan hogaa dilbaro dil ke na le jaane mein israar karo tum ko kyaa faaeda hogaa miraa nuqsaan hogaa jaate hain sabr o qaraar o khirad o hosh o havaas jaras-e-qaafila apnaa dil-e-naalaan hogaa mere iisaa se mire dard kaa darmaan hogaa sharbat-e-vasl ilaaj-e-tap-e-hijraan hogaa vaaiz ham ko tu na hangaama-e-mahshar se Daraa apne nazdik vo ik majma-e-yaaraan hogaa aaina dida-e-hairaan tujhe dikhlaaegaa shaana-e-zulf miraa haal-e-pareshaan hogaa dil-e-be-ishq se kaunain mein tu hogaa kharaab barhaman dair mein kaabe mein musalmaan hogaa gar ye hain dast-e-junun aur vo hain khaar-e-junun na to daaman hi rahegaa na garebaan hogaa shaakh-e-gul hai qalam-e-fikr to ashaar hain gul 'arsh' divaan miraa rashk-e-gulistaan hogaa"
"kaan mein naala-e-hazaar aaya muzhda-e-mausam-e-bahaar aaya kyaa khayaal-e-sharaab-khvaar aaya barq saa abr be-qaraar aaya baagh-e-aalam mein thaa main nakhl-e-shama jal gayaa gul na barg-o-baar aaya dekh shatranj-e-dahr ki raftaar ki piyaada gayaa savaar aaya mar gae par bhi shauq-e-vasl rahaa khvaab mein bhi khayaal-e-yaar aaya shisha-e-saaat ik ghaDi mein banaa dil mein jis dam zaraa ghubaar aaya yaar jab ghair ke gale se milaa yaad kyaa sadma-e-fishaar aaya paak-tinat vo thaa ki parvaana shama ban kar sar-e-mazaar aaya shab ko ai gul jo ghair se tu hansaa mujh ko ronaa hazaar baar aaya bakhsh de ab to ai khudaa-e-karim dil-e-maayus umid-vaar aaya ik nazar 'arsh' sair-e-hasti kar kaun jaa kar adam se yaar aaya"
"vufur-e-zof se dil yaar par nahin aataa gham-e-firaaq mein jiinaa nazar nahin aataa nigaah-e-dida-e-dil se nazar nahin aataa khayaal-e-yaar bhi do do pahar nahin aataa visaal-e-dost bhi baad-e-visaal hai shaayad ki jo udhar ko gayaa phir idhar nahin aataa ghubaar-e-chashm bhi hai justuju mein sargardaan havaa mein khaak bhi vo raahbar nahin aataa chaDhaae gor-e-gharibaan pe kaun chaadar-e-gul charaagh le ke koi qabr par nahin aataa ye roz shaam se hai subh tak khud-aaraai ki shab ko aaina bhi apne ghar nahin aataa na shama-ru pe bhi duun jaan misl-e-parvaana ki naam-e-ishq ko badnaam kar nahin aataa main shab ko laa ke use 'arsh' khaak huun ham-khvaab vo shokh khaana-kharaab apne ghar nahin aataa"
"na gul na sarv miyaan-e-bahaar hotaa hai hamaari khaak se paidaa chinaar hotaa hai kabhi jo jalva-e-rukhsaar-e-yaar hotaa hai charaagh-e-tur charaagh-e-mazaar hotaa hai uThaa janaaza jo meraa qazaa lagi kahne ki jo piyaada hai aakhir savaar hotaa hai milaa ke khaak mein tan ko gai bahisht mein ruuh kisi kaa kaun zamaane mein yaar hotaa hai bajaa hai takht-e-sulaimaan pe bhi jo maari laat har ek murgh yahaan taajdaar hotaa hai na apne ghar mein mujhe ghair se milaa ai huur bahisht mein ye azaab-e-fishaar hotaa hai 'uruj 'arsh' jo manzur hai jalaa dil ko ki aag lagti hai jab sard anaar hotaa hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"