Quote
"jazire ki tarah meri nishaani kis liye hai mire chaaron taraf paani hi paani kis liye hai main aksar sochtaa huun dil ki gahraai mein jaa kar zamin par ek chaadar aasmaani kis liye hai ba-zaahir pur-sukun aur dil ki har ik rag salaamat to zer-e-sath-e-dariyaa ik ravaani kis liye hai main TuuTaa huun to apni kirchiyaan bhi joD lungaa pa chehre par mire ye shaadmaani kis liye hai ye dil be-hausla dil mere kahne mein nahin jab to apne dil ki main ne baat maani kis liye hai karein lahje badal kar guftugu ik dusre se hamaare darmiyaan ye be-zabaani kis liye hai sabhi kirdaar apnaa kaam puuraa kar chuke hain to aakhir naa-mukammal ye kahaani kis liye hai"
