SHAWORDS

dil-e-tabaah bhi hai aalam-e-kharaab bhi hai — Mani Nagpuri

HomeMani NagpuriGhazal
"dil-e-tabaah bhi hai aalam-e-kharaab bhi hai nigaah-e-dost yahi vaqt-e-inqalaab bhi hai do-aatisha sar-e-rukhsaar ho gae aansu gulon pe qatra-e-shabnam nahin sharaab bhi hai nigaah-e-shauq larazte hain taar chilman ke talaash kar inhi kirnon mein aaftaab bhi hai kahaan se dekhiye mauj-e-surur uThti hai nigaah-e-naaz bhi hai saaghar-e-sharaab bhi hai khilaaf-e-ahl-e-safina hi naakhudaa se nahin jabin-e-bahr pe larzaan khat-e-itaab bhi hai havaa-e-dahr ne phir daamanon pe Daal diyaa vo gard jis mein nihaan bu-e-inqalaab bhi hai ai jastgaan-e-rah-e-gham chale chalo aage koi maqaam ba-naam-e-bahisht-e-khvaab bhi hai yahi vo 'maani' hai salmaa-e-gonDvaana tiraa jo faiz-e-rukh se tire saahib-e-kitaab bhi hai"
Urdu

دل تباہ بھی ہے عالم خراب بھی ہے نگاہ دوست یہی وقت انقلاب بھی ہے دو آتشہ سر رخسار ہو گئے آنسو گلوں پہ قطرۂ شبنم نہیں شراب بھی ہے نگاہ شوق لرزتے ہیں تار چلمن کے تلاش کر انہی کرنوں میں آفتاب بھی ہے کہاں سے دیکھیے موج سرور اٹھتی ہے نگاہ ناز بھی ہے ساغر شراب بھی ہے خلاف اہل سفینہ ہی ناخدا سے نہیں جبین بحر پہ لرزاں خط عتاب بھی ہے ہوائے دہر نے پھر دامنوں پہ ڈال دیا وہ گرد جس میں نہاں بوئے انقلاب بھی ہے اے جستگان رہ غم چلے چلو آگے کوئی مقام بہ نام بہشت خواب بھی ہے یہی وہ مانیؔ ہے سلمائے گونڈوانہ ترا جو فیض رخ سے ترے صاحب کتاب بھی ہے

Hindi

दिल-ए-तबाह भी है आलम-ए-ख़राब भी है निगाह-ए-दोस्त यही वक़्त-ए-इंक़लाब भी है दो-आतिशा सर-ए-रुख़्सार हो गए आँसू गुलों पे क़तरा-ए-शबनम नहीं शराब भी है निगाह-ए-शौक़ लरज़ते हैं तार चिलमन के तलाश कर इन्ही किरनों में आफ़्ताब भी है कहाँ से देखिए मौज-ए-सुरूर उठती है निगाह-ए-नाज़ भी है साग़र-ए-शराब भी है ख़िलाफ़-ए-अहल-ए-सफ़ीना ही नाख़ुदा से नहीं जबीन-ए-बहर पे लर्ज़ां ख़त-ए-इ'ताब भी है हवा-ए-दहर ने फिर दामनों पे डाल दिया वो गर्द जिस में निहाँ बू-ए-इंक़लाब भी है ऐ जस्तगान-ए-रह-ए-ग़म चले चलो आगे कोई मक़ाम ब-नाम-ए-बहिश्त-ए-ख़्वाब भी है यही वो 'मानी' है सलमा-ए-गोंडवाना तिरा जो फ़ैज़-ए-रुख़ से तिरे साहिब-ए-किताब भी है

dil-e-tabāh bhī hai ālam-e-ḳharāb bhī hai
Mani Nagpuri
Mani Nagpuri
Mani Nagpuri
poet26 quotes

More by Mani Nagpuri

View all →
Quote
"bujhaa detaa havas ki tishnagi vo jaam hai saaqi jahaan main jis se miltaa huun vahi naakaam hai saaqi nasha gahraa kahaan itnaa ki hon chaudah tabaq raushan taraqqi-yaafta mulkon ki baada khaam hai saaqi mire atraaf hai tira-shabi mein nuur kaa halqa ki sham-e-raah maikhaane se ghar tak jaam hai saaqi kitaab-e-sirat-o-akhlaaq de insaan ke haathon mein taraqqi daanish-o-ijaad ki naakaam hai saaqi sunaa iqbaal-e-isyaan khalvaton mein vajh-e-bakhshish hai kalisaaon mein ye tarz-e-ibaadat aam hai saaqi vahi zaalim hain shoala-baar insaanon ki basti par vo israel jin par baarish-e-ikraam hai saaqi amal-pairaa vahi hain khush-khor-o-khush-zi pe sakhti se zabaan pe jin ki faaqa-kash kaa har dam naam hai saaqi kahaan naan-e-javin aur roghan-e-zaitun-o-shaikh-e-din rausaa ke yahaan milaan-e-daavat aam hai saaqi rivaaj-e-madrasa hai dopahar ke vaqt qailula yahaan shab zinda-daari maail-e-aaraam hai saaqi khafaa hai madrasa ik sidq-go-e-naagpuri se tiraa mai-khvaar is maahaul mein badnaam hai saaqi"
Mani NagpuriMani Nagpuri
Quote
"aish-e-rafta kaa yahi hai vo shabistaan ai dost yahin khvaabida thi aaraam-e-dil-o-jaan ai dost be-khabar sone mein vo jism khulaa shaanon tak jaise jannat kaa na ho koi nigahbaan ai dost saaz haathon mein uThaayaa tiri angDaai ne chuDiyaan pahlu badalte hi ghazal-khvaan ai dost pesh-e-aaina masahri pe khule gesu-e-naaz duur baadal mein koi hur-e-pareshaan ai dost mukhtalif vaz' tire husn ko malbus ne di shauq ke main ne taraashe kai 'unvaan ai dost roknaa ghar tujhe jaane se ba-khauf-e-hijraan jaaguzin dil mein tire yaad azizaan ai dost jo umangon ko udaasi ke havaale kar de aah vo tund-mizaaji-e-buzurgaan ai dost naqsh hai vaqt ki peshaani pe ahd-e-rangin ham se go ruk na saki 'umr-e-gurezaan ai dost"
Mani NagpuriMani Nagpuri
Quote
"qaid jab ham pe lagi vusat-e-daamaan ke liye kitni kasrat se khile phuul gulistaan ke liye vo munaajaatein kahaan hain tire ehsaan ke liye kasrat-e-shauq nahin aalam-e-hirmaan ke liye jaise har husn se mumtaaz hai vo husn tamaam ham hain e'zaaz ke qaabil nahin jaanaan ke liye qaarin-e-nigah-e-naaz hi samjhe vo khat surkh Doron mein jo tahrir hai armaan ke liye rind laae mai-o-saaghar ki hasin tashbihein isti'aara nigah-e-husn thi paikaan ke liye khauf kyaa ho rah-e-taarik-e-bayaabaan kaa hamein kam nahin kirmak-e-shab-taab charaaghaan ke liye ashk-e-gham roke rahein faaqa-guzaaron se kaho paani gulkhan se chalaa nuuh ke tufaan ke liye ki na jab ahl-e-siyaasat ne sitam se tauba ham utaare gae is qaum-e-bad-unvaan ke liye dar jahaan-e-gul-e-be-khaar nachidast kase gham na kar 'maani'-e-nashtar-kash-e-dauraan ke liye"
Mani NagpuriMani Nagpuri
Quote
"lutf be-baak mulaaqaat kaa mushkil se uThaa ek parda thaa bil-aakhir jo muqaabil se uThaa husn-e-khalvat-talabi ke liye mahfil se uThaa ghair az ishq jo jazba ho use dil se uThaa kaif-e-viraani-e-khalvat se na mahfil se uThaa zauq-e-dil-bastagi jab tak na tah-e-dil se uThaa ishq jaisi koi shakhsiyyat-e-jaamaa na mili ek bhi harf is afsaane kaa mushkil se uThaa aql se gesu-e-geti nahin suljhe yaarab koi divaana isi aab isi gil se uThaa paa-shikasta gham-e-vaamaandagi-r-raah na kar paas aane ko tire khud koi manzil se uThaa raat guldasta-e-afsurda-dili chhoD gai gul-ba-kaf vaqt-e-sahar jo tiri mahfil se uThaa ham-safar kaun hama-vaqt hai saae ki tarah main uThaa huun to koi saath muqaabil se uThaa chaand taare bhi the mushtaaq ki 'maani' ko sunein subh-dam tak na koi raat ki mahfil se uThaa"
Mani NagpuriMani Nagpuri
Quote
"main kyaa kahun ki tiri chashm-e-iltifaat nahin hayaat-e-shauq pe taari gham-e-hayaat nahin jo dil pe guzrin mohabbat ke khaas lamhon mein hudud-e-sharh-o-bayyan mein vo vaaqiaat nahin gham-e-davaam-e-mohabbat hai tishna-e-maani fanaa ke baad agar manzil-e-hayaat nahin tire baghair bhi ehsaas-e-zist hai lekin taDap mein dard ki vo shorish-e-hayaat nahin maqaam-e-be-khudi ishq ai maaaz-allaah main us jagah huun jahaan mujh ko hosh-e-zaat nahin nigaah-e-dost tiri dil-navaaziyaan maalum khataa muaaf main khvaahaan-e-iltifaat nahin jamaal tak hi na mahdud rakh nazar 'maani' ki aashiqi ki yahi saari kaaenaat nahin"
Mani NagpuriMani Nagpuri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil