SHAWORDS

dil hai apnaa to gham paraae hain — Dil Ayubi

HomeDil AyubiGhazal
"dil hai apnaa to gham paraae hain haae kyaa kyaa fareb khaae hain taar ashkon kaa kis tarah TuuTe ham bhi ik baar muskuraae hain takiya thaa zaad-e-raah par apnaa raahzan kitne kaam aae hain main ye samjhaa thaa ham-safar honge aah kitne muhib saae hain bhuul baiThe huun vo kahin ai dil aaj kyuun itne yaad aae hain"
Urdu

دل ہے اپنا تو غم پرائے ہیں ہائے کیا کیا فریب کھائے ہیں تار اشکوں کا کس طرح ٹوٹے ہم بھی اک بار مسکرائے ہیں تکیہ تھا زاد راہ پر اپنا راہزن کتنے کام آئے ہیں میں یہ سمجھا تھا ہم سفر ہوں گے آہ کتنے مہیب سائے ہیں بھول بیٹھے ہوں وہ کہیں اے دل آج کیوں اتنے یاد آئے ہیں

Hindi

दिल है अपना तो ग़म पराए हैं हाए क्या क्या फ़रेब खाए हैं तार अश्कों का किस तरह टूटे हम भी इक बार मुस्कुराए हैं तकिया था ज़ाद-ए-राह पर अपना राहज़न कितने काम आए हैं मैं ये समझा था हम-सफ़र होंगे आह कितने मुहीब साए हैं भूल बैठे हूँ वो कहीं ऐ दिल आज क्यूँ इतने याद आए हैं

dil hai apnā to ġham parā.e haiñ
Dil Ayubi
Dil Ayubi
Dil Ayubi
poet34 quotes

More by Dil Ayubi

View all →
Quote
"naqd-e-dil hai ki garebaan ke har taar mein hai hausla ab bhi bahut tere kharidaar mein hai yaan koi shoala-ba-jaan aur bhi Thahraa hogaa kis qayaamat ki tapish saaya-e-divaar mein hai kitnaa miltaa hai mire qalb ki kaifiyyat se ye jo hangaama tire kucha-o-baazaar mein hai zakhm ehsaas ko jo zahr haraa hi rakkhe tegh-e-aahan mein nahin baat ki talvaar mein hai saare gulshan ko jalaane ke liye kaafi hai ek shoala jo dil murgh-e-giraftaar mein hai zaamin nashv-o-numaa-e-gul-e-tar hai ai 'dil' dard-mandi ki khalish si jo dil-e-khaar mein hai"
Dil AyubiDil Ayubi
Quote
"saare nuqush jis pe tire aashiyaan ke hain dair-o-haram ghubaar usi kaarvaan ke hain vaadi-e-kohsaar-o-bayaabaan-o-gulsitaan ajzaa-e-rang-rang miri daastaan ke hain har chand ku-e-yaar bahut faasle pe hai badle hue abhi se mizaaj aasmaan ke hain hamdam hansi uDaa na dil-e-daagh-daagh ki tohfe diye hue ye kisi mehrbaan ke hain hon zehn ke dariche agar vaa to dekh le parvarda sab yaqin mire husn-e-gumaan ke hain kyaa dushmanon ki kijiye ai 'dil' shikaayatein maare hue to ham karam-e-dostaan ke hain"
Dil AyubiDil Ayubi
Quote
"phir marhala-e-khvaab-e-bahaaraan se guzar jaa mausam hai suhaanaa to garebaan se guzar jaa shishe ke makaan aur nazar ke mutahammil divaana na ban shahr-e-nigaaraan se guzar jaa sab qatl ke asbaab baham hain sar-e-maqtal aise mein pas-o-pesh na kar jaan se guzar jaa phir deinge vahi mashvara-e-tark-e-mohabbat ahbaab-numaa halqa-e-yaaraan se guzar jaa kuchh duur nahin manzil-e-maqsud-e-tamannaa ik faasla-e-qurb-e-rag-e-jaan se guzar jaa ai 'dil' inhein idraak kahaan namratiyon kaa jo kahte hain pal bhar mein bayaabaan se guzar jaa"
Dil AyubiDil Ayubi
Quote
"'aql hairaan hai vo manzar nazar aataa hai mujhe aaina dil kaa sikandar nazar aataa hai mujhe log kyaa dekh sakeinge vo khuli aankhon se band aankhon pe jo manzar nazar aataa hai mujhe vo bhi 'aalam hai tiri bazm kaa taa-hadd-e-nazar jo tiri bazm se uTh kar nazar aataa hai mujhe ik kashish si jo ye maujud har ik shakl mein hai tu hi kyaa ruup badal kar nazar aataa hai mujhe aalam-e-khvaab ho yaa haalat-e-bedaari ho ek chehra hai jo aksar nazar aataa hai mujhe uns kyunkar na ho ai dil mujhe viraanon se har kharaabe mein miraa ghar nazar aataa hai mujhe"
Dil AyubiDil Ayubi
Quote
"kitne hue hain khuun yahaan ik usuul ke aaeinge ab na shahr-e-tamannaa mein bhuul ke saari musaafirat ki thakan duur ho gai pesh aae kitne pyaar se kaanTe babul ke chehre hue jo gard to aaina ban gae kyaa turfa moajizaat the sahraa ki dhuul ke kitnaa hasin thaa jurm-e-gham-e-dil ki do-jahaan dar pe hain aaj tak mire rang-e-qubul ke naazaan hai zindagi miri ab un ki maut par jo log rah gae tiri baahon mein jhuul ke aane ko thi bas aakhiri hichki mariz ko qurbaan jaaiye tiri shaan-e-nuzul ke ai 'dil' ye haal ishq mein hogaa khabar na thi pachhtaae ham to rog lagaa kar fuzul ke"
Dil AyubiDil Ayubi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb