Quote
"ab apne dida-o-dil kaa bhi e'tibaar nahin usi ko pyaar kiyaa jis ke dil mein pyaar nahin nahin ki mujh ko tabi'at pe ikhtiyaar nahin har ek jaam se pi luun vo baada-khvaar nahin har ek gaam pe kaanTon ki hain kamin-gaahein shabaab aah shagufon ki rahguzaar nahin bhari hui hai vo kaam-o-dahan mein talkhi-e-zist ki lab pe jaam-e-mohabbat bhi khush-gavaar nahin na mere ashkon se daaman pe tere aaegi aanch ye shoala-ru hain magar fitrat-e-sharaar nahin kahin chhupaae se chhupti bhi hai haqiqat-e-gham vo gham hi kyaa jo masarrat se aashkaar nahin main teri yaad se bahkaa chukaa huun yuun dil ko ki ab mujhe tiri furqat bhi naagavaar nahin mire sukun ke liye kyuun ye koshish-e-paiham qaraar chhinne vaale tujhe qaraar nahin jahaan-e-aql ke nafrat-kadon mein baT jaataa hazaar shukr mohabbat pe ikhtiyaar nahin kisi ki luuT ke raahat khushi nahin milti khizaan ke haath mein sarmaaya-e-bahaar nahin nigaah-e-dost ko is ki bhi hai khabar lekin vo raaz jis kaa abhi dil bhi raazdaar nahin tavajja-e-nigah-e-yaar kaa sabab maa'lum dil-e-girafta-e-'mullaa' abhi shikaar nahin"
