"ab apne dida-o-dil kaa bhi e'tibaar nahin usi ko pyaar kiyaa jis ke dil mein pyaar nahin nahin ki mujh ko tabi'at pe ikhtiyaar nahin har ek jaam se pi luun vo baada-khvaar nahin har ek gaam pe kaanTon ki hain kamin-gaahein shabaab aah shagufon ki rahguzaar nahin bhari hui hai vo kaam-o-dahan mein talkhi-e-zist ki lab pe jaam-e-mohabbat bhi khush-gavaar nahin na mere ashkon se daaman pe tere aaegi aanch ye shoala-ru hain magar fitrat-e-sharaar nahin kahin chhupaae se chhupti bhi hai haqiqat-e-gham vo gham hi kyaa jo masarrat se aashkaar nahin main teri yaad se bahkaa chukaa huun yuun dil ko ki ab mujhe tiri furqat bhi naagavaar nahin mire sukun ke liye kyuun ye koshish-e-paiham qaraar chhinne vaale tujhe qaraar nahin jahaan-e-aql ke nafrat-kadon mein baT jaataa hazaar shukr mohabbat pe ikhtiyaar nahin kisi ki luuT ke raahat khushi nahin milti khizaan ke haath mein sarmaaya-e-bahaar nahin nigaah-e-dost ko is ki bhi hai khabar lekin vo raaz jis kaa abhi dil bhi raazdaar nahin tavajja-e-nigah-e-yaar kaa sabab maa'lum dil-e-girafta-e-'mullaa' abhi shikaar nahin"
zindagi go kushta-e-aalaam hai — Anand Narayan Mulla
"zindagi go kushta-e-aalaam hai phir bhi raahat ki umid-e-khaam hai haan abhi teri mohabbat khaam hai tere dil mein kaavish-e-anjaam hai ishq hai main huun dil-e-naakaam hai is ke aage bas khudaa kaa naam hai aa kahaan hai tu fareb-e-aarzu aaj naakaami se lenaa kaam hai main vahi huun dil vahi armaan vahi ek dhokaa gardish-e-ayyaam hai apne ji mein ye ki duniyaa chhoD dein aur duniyaa ko hamin se kaam hai jal chuke chashm-e-aizzaa mein charaagh so bhi jaa 'mullaa' ki vaqt-e-shaam hai"
زندگی گو کشتۂ آلام ہے پھر بھی راحت کی امید خام ہے ہاں ابھی تیری محبت خام ہے تیرے دل میں کاوش انجام ہے عشق ہے میں ہوں دل ناکام ہے اس کے آگے بس خدا کا نام ہے آ کہاں ہے تو فریب آرزو آج ناکامی سے لینا کام ہے میں وہی ہوں دل وہی ارماں وہی ایک دھوکا گردش ایام ہے اپنے جی میں یہ کہ دنیا چھوڑ دیں اور دنیا کو ہمیں سے کام ہے جل چکے چشم اعزا میں چراغ سو بھی جا ملاؔ کہ وقت شام ہے
ज़िंदगी गो कुश्ता-ए-आलाम है फिर भी राहत की उमीद-ए-ख़ाम है हाँ अभी तेरी मोहब्बत ख़ाम है तेरे दिल में काविश-ए-अंजाम है इश्क़ है मैं हूँ दिल-ए-नाकाम है इस के आगे बस ख़ुदा का नाम है आ कहाँ है तू फ़रेब-ए-आरज़ू आज नाकामी से लेना काम है मैं वही हूँ दिल वही अरमाँ वही एक धोका गर्दिश-ए-अय्याम है अपने जी में ये कि दुनिया छोड़ दें और दुनिया को हमीं से काम है जल चुके चश्म-ए-अइज़्ज़ा में चराग़ सो भी जा 'मुल्ला' कि वक़्त-ए-शाम है

More by Anand Narayan Mulla
View all →"jaan-e-afsaana yahi kuchh bhi ho afsaane kaa naam zindagi hai dil ki dhaDkan tez ho jaane kaa naam qatra qatra zindagi ke zahr kaa piinaa hai gham aur khushi hai do ghaDi pi kar bahak jaane kaa naam aaj tu kal koi aur hogaa sadr-e-bazm-e-mai saaqiyaa tujh se nahin ham se hai mai-khaane kaa naam intizaar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aankhon kaa nuur aur bahaar-e-baagh leti hi nahin aane kaa naam taab-e-naakaami nahin to aarzu kartaa hai kyaa saaqiyaa tujh se nahin ham se hai mai-khaane kaa naam vaaqif-e-'mullaa' na thi bazm-e-khirad ye tai huaa ho na ho ye hai kisi mashhur divaane kaa naam"
"hijr ki shab ghaDi ghaDi dil se yahi savaal hai jis ke khayaal mein huun gum us ko bhi kuchh khayaal hai haae-ri bebasi shauq-e-dil kaa ajiib haal hai us kaa javaab sun chukaa phir bhi vahi savaal hai khvaab-o-fusun nahin to kyaa dil ye junun nahin to kyaa khalvat-e-dost aur tu teraa kahaan khayaal hai main tire dar ko chhoD duun shart-e-vafaa ko toD duun sonch khud apne dil mein tu kyaa ye miri majaal hai sharm si nazar dil ki hai uThti nahin nigaah-e-shauq ishq ki manzilon mein ik manzil-e-infiaal hai chaaheinge gar to dil ki baat aap hi jaan leinge vo munh se kahun to kyaa kahun shakl miri savaal hai baat unhin ki maan li jaise main hi khataa pe thaa un ko kahin ye shak na ho dil mein mire malaal hai ab tiri justuju hui himmat-e-dil ke hasb-e-zauq tu ne ye jab se kah diyaa ye talab muhaal hai sath-e-mazaaq-e-bazm par 'mullaa' utar ke aanaa to auron kaa jo kamaal hai tere liye zavaal hai"
"miri baat kaa jo yaqin nahin mujhe aazmaa ke bhi dekh le tujhe dil to kab kaa main de chukaa use gham banaa ke bhi dekh le ye to Thiik hai ki tiri jafaa bhi ik 'ataa mire vaaste miri hasraton ki qasam tujhe kabhi muskuraa ke bhi dekh le miraa dil alag hai bujhaa saa kuchh tire husn par bhi chamak nahin kabhi ek markaz-e-zist par unhein saath laa ke bhi dekh le mire shauq ki hain vahi zidein abhi lab pe hai vahi iltijaa kabhi is jale hue tuur par mujhe phir bulaa ke bhi dekh le na miTegaa naqsh-e-vafaa kabhi na miTegaa haan na miTegaa ye kisi aur ki to majaal kyaa use khud miTaa ke bhi dekh le kisi gul-fasurda-e-baagh huun mire lab hansi ko bhulaa chuke tujhe ai sabaa jo na ho yaqin mujhe gudgudaa ke bhi dekh le mire dil mein tu hi hai jalva-gar tiraa aaina huun main sar-basar yunhi duur hi se nazar na kar kabhi paas aa ke bhi dekh le mire zarf-e-ishq pe shak na kar mire harf-e-shauq ko bhuul jaa jo yahi hijaab hai darmiyaan ye hijaab uThaa ke bhi dekh le ye jahaan hai ise kyaa paDi hai jo ye sune tiri daastaan tujhe phir bhi 'mullaa' agar hai zid gham-e-dil sunaa ke bhi dekh le"
"bhule se bhi lab par sukhan apnaa nahin aataa haan haan mujhe duniyaa mein panapnaa nahin aataa dil ko sar-e-ulfat bhi hai rusvaai kaa Dar bhi us ko abhi is aanch mein tapnaa nahin aataa ye ashk-e-musalsal hain mahaz ashk-e-musalsal haan naam tumhaaraa mujhe japnaa nahin aataa tum apne kaleje pe zaraa haath to rakkho kyuun ab bhi kahoge ki taDapnaa nahin aataa mai-khaane mein kuchh pi chuke kuchh jaam-ba-kaf hain saaghar nahin aataa hai to apnaa nahin aataa zaahid se khataaon mein to niklungaa na kuchh kam haan mujh ko khataaon pe panapnaa nahin aataa bhule the unhin ke liye duniyaa ko kabhi ham ab yaad jinhein naam bhi apnaa nahin aataa dukh jaataa hai jab dil to ubal paDte hain aansu 'mullaa' ko dikhaane kaa taDapnaa nahin aataa"
"nazar khamosh hui arz-e-naa-tamaam ke baa'd kuchh aur kah na sake ashk-e-be-kalaam ke baa'd ye mughbache tire saaqi abhi hain khira bahut har ek jaam-e-tahi aur salaa-e-aam ke baa'd bas itni baat ke kyaa kyaa hain bazm mein charche vo muskuraa se diye the mire salaam ke baa'd namaaz-e-jaam paDhi shaikh ne nahin lekin 'ajab saa nuur hai rukh par tulu-e-shaam ke baa'd har ik nazaaa kaa hal intiqaam hi hai abhi magar savaal to ye hai ki intiqaam ke baa'd ye lag rahaa hai ki jaise bichhaD rahi hai hayaat palaT palaT ke nigaahein hain gaam gaam ke baa'd kisi mahal kisi vaadi kisi chaman mein nahin vo gul jo dil mein mahaktaa hai nek kaam ke baa'd ghurur-e-tishna-saaqi bhi hai koi shai saaqi taqaazaa ham nahin karne ke jaam jaam ke baa'd ye sach nahin ki mire dil mein aur naam nahin magar ye sach hai ki ye sab hain tere naam ke baa'd hai ziist ziist usi ki ki jis ke baazu ko urush-e-subh bhi DhunDe nigaar-e-shaam ke baa'd badalti qadron mein kuchh huun ki kuchh nahin 'mullaa' savaaliya saa nishaan huun khud apne naam ke baa'd"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"bahut khajil hain ki ham raaegaan bhi zinda rahe jahaan pe tu bhi nahin thaa vahaan bhi zinda rahe ajiib shart hai is be-yaqin mizaaj ki bhi ki tu bhi paas ho teraa gumaan bhi zinda rahe tujhe pe zid hai magar is tarah nahin hotaa ki tu bhi zinda rahe daastaan bhi zinda rahe vo kaun log the jin kaa vajud jism se thaa ye kaun hain jo pas-e-jism-o-jaan bhi zinda rahe jo ye na ho to sukhan kaa koi javaaz nahin zamir zinda rahe to zabaan bhi zinda rahe ye kaaenaat faqat manfaat kaa naam nahin koi yahaan pe baraae ziyaan bhi zinda rahe adam mein jo bhi nahin thaa vo sab vajud mein thaa ye ham hi the jo kahin darmiyaan bhi zinda rahe"