Quote
"jis dam khayaal-e-yaar ki be-chehragi gai aaina-e-firaaq se be-raunaqi gai baiThaa ghubaar-e-hasrat-e-taamir ab ki baar shauq-e-safar ki raah mein aavaargi gai vahshat hamaare zabt kaa ujDaa mazaar hai laakhon jatan kiye na saraasimgi gai ham se qabaa-e-dard pe taare na Tank sake kasb-e-hunar ki taak mein vaamaandgi gai hone kaa e'tibaar banaati sahar ke saath kirnon ki be-niyaaz tar-o-taazgi gai"
