SHAWORDS

ye varaa-e-makaan mulaaqaatein — Farah Rizwi

HomeFarah RizwiGhazal
"ye varaa-e-makaan mulaaqaatein hijr ke darmiyaan mulaaqaatein saa'at-e-ranj-e-mustaqil ki khalish haae vo mehrbaan mulaaqaatein aashnaai ke but giraati hui chand naa-mehrbaan mulaaqaatein yaad kiije kabhi-kabhaar magar qarya-e-raftagaan mulaaqaatein haan isi shahr mein hain dost sabhi haan magar ab kahaan mulaaqaatein"
Urdu

یہ ورائے مکاں ملاقاتیں ہجر کے درمیاں ملاقاتیں ساعت رنج مستقل کی خلش ہائے وہ مہرباں ملاقاتیں آشنائی کے بت گراتی ہوئی چند نا مہرباں ملاقاتیں یاد کیجے کبھی کبھار مگر قریۂ رفتگاں ملاقاتیں ہاں اسی شہر میں ہیں دوست سبھی ہاں مگر اب کہاں ملاقاتیں

Hindi

ये वरा-ए-मकाँ मुलाक़ातें हिज्र के दरमियाँ मुलाक़ातें सा'अत-ए-रंज-ए-मुस्तक़िल की ख़लिश हाए वो मेहरबाँ मुलाक़ातें आश्नाई के बुत गिराती हुई चंद ना-मेहर-बाँ मुलाक़ातें याद कीजे कभी-कभार मगर क़र्या-ए-रफ़्तगाँ मुलाक़ातें हाँ इसी शहर में हैं दोस्त सभी हाँ मगर अब कहाँ मुलाक़ातें

ye varā-e-makāñ mulāqāteñ
Farah Rizwi
Farah Rizwi
Farah Rizwi
poet14 quotes

More by Farah Rizwi

View all →
Quote
"chalo sabil karein us ko jaa manaane se khushi ko giit mayassar nahin zamaane se sukut aisaa samar-baar to kabhi na huaa gul-e-malaal jhaDaa ab ke shaakhsaane se tumhaaraa qurb hatheli pe ret jaisaa hai havaa ke saath bikhartaa hai ik bahaane se ham apne bas mein jabinon ke bal nahin jaate hamein charaagh bulaate hain aastaane se vo dil ke saath ulajhti hui kamaan-e-talab vo ek tiir uchaTtaa huaa nishaane se hamaare zakhm tamaashaa nahin hain hairat hain so is liye bhi chhupaate hain ik zamaane se"
Farah RizwiFarah Rizwi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer