SHAWORDS

dil ko gham-e-habib se bahlaa rahaa huun main — Shivraj Bahar

HomeShivraj BaharGhazal
"dil ko gham-e-habib se bahlaa rahaa huun main har gham se be-niyaaz huaa jaa rahaa huun main maasumiyat to dekhiye aaghaaz-e-shauq ki un ki navaazishon se bhi ghabraa rahaa huun main har ghuncha dil-girafta hai har gul hai sina-chaak shaayad bhari bahaar ko yaad aa rahaa huun main sar-garmi-e-talaash-e-haqiqat na puchhiye manzil se be-niyaaz chalaa jaa rahaa huun main rangini-e-bahaar nazar mein samaae kyaa us anjuman se uTh ke chalaa aa rahaa huun main duniyaa mire khulus kaa degi javaab kyaa dushman ke dard par bhi taDaptaa rahaa huun main saaqi tire karam ki zarurat nahin mujhe dil mein surur-e-tishna-labi paa rahaa huun main vo dil jo mere haal pe royaa hai baarhaa us dil se intiqaam liye jaa rahaa huun main kaaTe hain din qafas mein asiri ke yuun 'bahaar' yaad-e-chaman mein zamzama-aaraa rahaa huun main"
Urdu

دل کو غم حبیب سے بہلا رہا ہوں میں ہر غم سے بے نیاز ہوا جا رہا ہوں میں معصومیت تو دیکھیے آغاز شوق کی ان کی نوازشوں سے بھی گھبرا رہا ہوں میں ہر غنچہ دل گرفتہ ہے ہر گل ہے سینہ چاک شاید بھری بہار کو یاد آ رہا ہوں میں سرگرمیٔ تلاش حقیقت نہ پوچھئے منزل سے بے نیاز چلا جا رہا ہوں میں رنگینیٔ بہار نظر میں سمائے کیا اس انجمن سے اٹھ کے چلا آ رہا ہوں میں دنیا مرے خلوص کا دے گی جواب کیا دشمن کے درد پر بھی تڑپتا رہا ہوں میں ساقی ترے کرم کی ضرورت نہیں مجھے دل میں سرور تشنہ لبی پا رہا ہوں میں وہ دل جو میرے حال پہ رویا ہے بارہا اس دل سے انتقام لیے جا رہا ہوں میں کاٹے ہیں دن قفس میں اسیری کے یوں بہارؔ یاد چمن میں زمزمہ آرا رہا ہوں میں

Hindi

दिल को ग़म-ए-हबीब से बहला रहा हूँ मैं हर ग़म से बे-नियाज़ हुआ जा रहा हूँ मैं मा'सूमियत तो देखिए आग़ाज़-ए-शौक़ की उन की नवाज़िशों से भी घबरा रहा हूँ मैं हर ग़ुंचा दिल-गिरफ़्ता है हर गुल है सीना-चाक शायद भरी बहार को याद आ रहा हूँ मैं सर-गर्मी-ए-तलाश-ए-हक़ीक़त न पूछिए मंज़िल से बे-नियाज़ चला जा रहा हूँ मैं रंगीनी-ए-बहार नज़र में समाए क्या उस अंजुमन से उठ के चला आ रहा हूँ मैं दुनिया मिरे ख़ुलूस का देगी जवाब क्या दुश्मन के दर्द पर भी तड़पता रहा हूँ मैं साक़ी तिरे करम की ज़रूरत नहीं मुझे दिल में सुरूर-ए-तिश्ना-लबी पा रहा हूँ मैं वो दिल जो मेरे हाल पे रोया है बारहा उस दिल से इंतिक़ाम लिए जा रहा हूँ मैं काटे हैं दिन क़फ़स में असीरी के यूँ 'बहार' याद-ए-चमन में ज़मज़मा-आरा रहा हूँ मैं

dil ko ġham-e-habīb se bahlā rahā huuñ maiñ
Shivraj Bahar
Shivraj Bahar
Shivraj Bahar
poet5 quotes

More by Shivraj Bahar

View all →
Quote
"jab kali koi muskuraati hai jaane kyon teri yaad aati hai sar paTakti hain maujein saahil par jab miri naav Dagmagaati hai tu hai yaa teri yaad hai ai dost koi shai dil ko gudgudaati hai un se kyaa kahiye muddaaa dil kaa baat kahne se baat jaati hai mere saaz-e-hayaat par har dam maut miThe suron mein gaati hai jab se bakhshaa hai tum ne gham mujh ko vusat-e-qalb baDhti jaati hai azm-e-mohkam bhi ho agar hamraah khair-maqdam ko manzil aati hai jo khudi ko buland rakhte hain sar pe duniyaa unhein biThaati hai is tavaqqo pe ji rahaa huun 'bahaar' jaise ab aarzu bar aati hai"
Shivraj BaharShivraj Bahar
Quote
"ab to aksar ye sochtaa huun main baa-vafaa huun ki bevafaa huun main chhaa gayaa kaun meri hasti par saare aalam pe chhaa gayaa huun main kyon koi naakhudaa talaash karun khud hi kashti kaa naakhudaa huun main ab mujhe DhunDhnaa nahin aasaan teri yaadon mein kho chukaa huun main zindagi ki main bhiik kyon maangun zindagi se to maavaraa huun main aalam-e-hosh ne qadam chume be-khudi mein jidhar gayaa huun main haadson ne mujhe taraashaa hai varna patthar se khurduraa huun main kyaa gharaz hai mujhe farishton se koi insaan DhunDhtaa huun main is tarah dekhte hain log mujhe jaise teri koi adaa huun main aap zahmat na kijiye ai khizr apni manzil se aashnaa huun main koi kah de ye bijliyon se 'bahaar' phir nasheman banaa rahaa huun main"
Shivraj BaharShivraj Bahar
Quote
"pahunchaa diyaa hai josh-e-talab ne kahaan mujhe lagtaa hai har maqaam tiraa aastaan mujhe aalaam-e-rozgaar mein bhi dilkashi rahe mil jaae aap saa jo koi mehrbaan mujhe main be-niyaaz-e-rahbar-o-rahzan huun ai nadim kyon dekhtaa hai ghaur se har kaarvaan mujhe takhliq-e-kaaenaat kaa baa'is tumhin to ho tum mil gae to mil gae donon jahaan mujhe qaaem khudi ke saath hai rang-e-taayyunaat phir main kahaan agar huaa irfaan-e-jaan mujhe aalaam-e-rahguzaar-e-mohabbat na puchhiye har gaam par mile hain lahu ke nishaan mujhe kuchh aur ai tajalli-e-jaanaan mujhe navaaz himmat abhi nazar nahin aati javaan mujhe ai chaaraagar ‘ilaaj ki zahmat na kijiye raas aa gai amaanat-e-dard-e-nihaan mujhe ye kaun saa maqaam-e-mohabbat hai ai 'bahaar' hone lagaa hai khud pe bhi un kaa gumaan mujhe"
Shivraj BaharShivraj Bahar
Quote
"kaanTon se kyon itni nafrat kaanTe bhi hain baagh ki zinat un kaa gham aur un ki mohabbat ye bhi neamat vo bhi neamat chaand bhi hai taare bhi lekin shaam-e-furqat shaam-e-furqat aankhein hain to paDhte chaliye har zarra hai ek hikaayat kaanTon kaa munh chuum rahaa huun dekh ke fasl-e-gul ki haalat main aur meri tishna-kaami saaqi aur daavaa-e-sakhaavat bejaa hai qismat kaa shikva himmat se banti hai qismat dair-o-haram ke jhagDe chhoDo husn-e-amal hai asl ibaadat rahmat ne daaman phailaayaa dekh ke mere ashk-e-nadaamat kyon na tiraa gham dil mein chhupaa luun teraa gham hai meri daulat maut ki khvaahish karne vaalo bhuul gae kyaa ziist ki azmat main bhi chup huun vo bhi chup hain ye bhi hai andaaz-e-mohabbat kaise 'bahaar' un ko main bhulaa duun un kaa gham hai meri qismat"
Shivraj BaharShivraj Bahar

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari