SHAWORDS

dil ko kar detaa hai taskhir samajhtaa huun main — Adnan Asar

HomeAdnan AsarGhazal
"dil ko kar detaa hai taskhir samajhtaa huun main 'ishq ko paanv ki zanjir samajhtaa huun main ab mire khvaab mein aane ki ijaazat hai tumhein ab to har khvaab ki taa'bir samajhtaa huun main ruuh ab tak hai mo'attar gul-e-taaza ki tarah 'ishq ko mushk-e-abad-gir samajhtaa huun main tu agar mujh ko pukaare to Thahartaa hi nahin ek lamhe ko bhi taakhir samajhtaa huun main"
Urdu

دل کو کر دیتا ہے تسخیر سمجھتا ہوں میں عشق کو پاؤں کی زنجیر سمجھتا ہوں میں اب مرے خواب میں آنے کی اجازت ہے تمہیں اب تو ہر خواب کی تعبیر سمجھتا ہوں میں روح اب تک ہے معطر گل تازہ کی طرح عشق کو مشک ابد گیر سمجھتا ہوں میں تو اگر مجھ کو پکارے تو ٹھہرتا ہی نہیں ایک لمحے کو بھی تاخیر سمجھتا ہوں میں

Hindi

दिल को कर देता है तस्ख़ीर समझता हूँ मैं 'इश्क़ को पाँव की ज़ंजीर समझता हूँ मैं अब मिरे ख़्वाब में आने की इजाज़त है तुम्हें अब तो हर ख़्वाब की ता'बीर समझता हूँ मैं रूह अब तक है मो'अत्तर गुल-ए-ताज़ा की तरह 'इश्क़ को मुश्क-ए-अबद-गीर समझता हूँ मैं तू अगर मुझ को पुकारे तो ठहरता ही नहीं एक लम्हे को भी ताख़ीर समझता हूँ मैं

dil ko kar detā hai tasḳhīr samajhtā huuñ maiñ
Adnan Asar
Adnan Asar
Adnan Asar
poet12 quotes

More by Adnan Asar

View all →
Quote
"ab aa bhi jaao ki shaam-o-sahar khule hue hain tumhaare vaaste aankhon ke dar khule hue hain vo maahtaab abhi tak nahin khulaa ham par abhi to rang bahut mukhtasar khule hue hain khule hue hain jahaanon ke dar usi jaanib tire jamaal ke daftar jidhar khule hue hain tu mere saamne aayaa to aise lagtaa hai hazaaron aaine pesh-e-nazar khule hue hain unhein samajhne mein ye masala bhi hai darpesh vo log mujh pe bahut mukhtasar khule hue hain uThaa rahaa huun main lazzat safar ki har lamha mire vujud pe kitne safar khule hue hain sazaaein sahne se Darte nahin hain ahl-e-junun hamaari jaan pe vahshat ke dar khule hue hain qafas se dekh rahe hain bas aasmaan 'adnaan' parind qaid hain aur baal-o-par khule hue hain vo mere paas bhi hai aur paas hai bhi nahin tazaad kaise ye ‘adnaan-asar' khule hue hain"
Adnan AsarAdnan Asar
Quote
"sau jahaan aur bhi hain vus'at-e-aflaak mein gum aur tu rahtaa hai har vaqt yahaan khaak mein gum Duube rahte hain tiri yaad mein ham bhi aise kuza-gar jaise hama-vaqt rahe chaak mein gum uThne vaalaa hai zamin se kisi mahshar kaa ghubaar hone vaale hain sitaare khas-o-khaashaak mein gum us ko dekhungaa miyaan jab hi thamegaa tufaan hai abhi chaand mire dida-e-namnaak mein gum raqs karte hue darvesh ko maa'lum hai sab kitne advaar hain uDti hui is khaak mein gum masale ziist ko darpesh zamin par hain 'asar' ham hue jaate hain is hairat-e-aflaak mein gum"
Adnan AsarAdnan Asar
Quote
"yuun bhi kamaal kijiye ik ghar banaaiye divaar-o-dar ki qaid se baahar banaaiye ab vo chalaa gayaa hai to din raat baiTh kar us ki misaal kaa koi paikar banaaiye aisaa bhi kuchh to ho ki jo dil ko lubhaa sake aankhein jo chaahti hain vo manzar banaaiye phir haath bhi na aaegi ye mukhtasar hayaat jitnaa bhi ho sake ise behtar banaaiye vo mil nahin rahaa hamein koshish ke baavajud kis tarh khud ko ziist kaa khugar banaaiye jo shai bhi aap se kabhi banti nahin 'asar' khvaab-o-khayaal mein use aksar banaaiye"
Adnan AsarAdnan Asar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil