"mushkil mein hai jaan bahut jaan hai ab hairaan bahut us patthar-dil insaan par hote rahe qurbaan bahut man-basti mein koi nahin ab to hai sunsaan bahut ab to mujh ko nikalnaa hai nikle hain armaan bahut jo apnon mein hai tanhaa us ki hai pahchaan bahut khud mein rahte rahte hi mujh mein ab hai takaan bahut sab se milte milte mein khud se rahaa anjaan bahut dil se gae kuchh din rah kar kar ke gae be-jaan bahut jiinaa mushkil hai 'irshaad' marnaa hai aasaan bahut"
dil mein bas jaan saa main rahtaa huun — Irshad Aziz
"dil mein bas jaan saa main rahtaa huun khud mein mehmaan saa main rahtaa huun kitne aabaad dil kiye main ne khud mein viraan saa main rahtaa huun dil dukhaate ho tum miraa jab bhi haan pareshaan saa main rahtaa huun ek ujDe makaan mein jaise bikhre saamaan saa main rahtaa huun jang laDtaa huun raat-din khud se dekh sultaan saa main rahtaa huun tum nahin samjhe mujh ko hairat hai kitnaa aasaan saa main rahtaa huun tum gae jab se chhoD kar mujh ko tab se anjaan saa main rahtaa huun"
دل میں بس جان سا میں رہتا ہوں خود میں مہمان سا میں رہتا ہوں کتنے آباد دل کیے میں نے خود میں ویران سا میں رہتا ہوں دل دکھاتے ہو تم مرا جب بھی ہاں پریشان سا میں رہتا ہوں ایک اجڑے مکان میں جیسے بکھرے سامان سا میں رہتا ہوں جنگ لڑتا ہوں رات دن خود سے دیکھ سلطان سا میں رہتا ہوں تم نہیں سمجھے مجھ کو حیرت ہے کتنا آسان سا میں رہتا ہوں تم گئے جب سے چھوڑ کر مجھ کو تب سے انجان سا میں رہتا ہوں
दिल में बस जान सा मैं रहता हूँ ख़ुद में मेहमान सा मैं रहता हूँ कितने आबाद दिल किए मैं ने ख़ुद में वीरान सा मैं रहता हूँ दिल दुखाते हो तुम मिरा जब भी हाँ परेशान सा मैं रहता हूँ एक उजड़े मकान में जैसे बिखरे सामान सा मैं रहता हूँ जंग लड़ता हूँ रात-दिन ख़ुद से देख सुल्तान सा मैं रहता हूँ तुम नहीं समझे मुझ को हैरत है कितना आसान सा मैं रहता हूँ तुम गए जब से छोड़ कर मुझ को तब से अंजान सा मैं रहता हूँ

More by Irshad Aziz
View all →"aae hain saraae mein to ghar jaaeinge kyaa hai ham log kisi roz guzar jaaeinge kyaa hai ham pasta qadon ko to bataa deinge bulandi uDne se agar apne ye par jaaeinge kyaa hai tum ne diye tohfe jo hamein achchhe lage hain ye zakhm-e-dil-e-zaar to bhar jaaeinge kyaa hai phuTeinge kisi roz abhi bharne do in ko ye to hain ghaDe paap ke bhar jaaeinge kyaa hai"
"charaagh ishq ke dil mein jalaae jaate hain baDe hi shauq se sadme uThaae jaate hain unhein sukun mile ik yahi tamanna hai agarche ham ko vo ji-bhar rulaae jaate hain fareb un ki adaa aur adaa fareb lage yaqin-e-ishq vo phir bhi dilaae jaate hain bhulaa diyaa hai hamein khair koi baat nahin vo yaad aa ke magar kyon rulaae jaate hain khushi manaate hain har vaqt dil ke luTne ki to ahl-e-shauq bhalaa kyon sataae jaate hain hain jaan meri vahi hain adu vahi jaan ke vo baatein ghair se kar zulm Dhaae jaate hain"
"us se milaa to dil miraa sarshaar ho gayaa aur phir bichhaD ke khud se hi bezaar ho gayaa kauDi ke bhaav biktaa hai is daur mein zamir insaan kaa vajud hi baazaar ho gayaa rishte havas ki aag mein aise jale ke bas ab to yaqin apnon pe dushvaar ho gayaa hirs-o-havas ki aag thi har-su jali hui lekin zamir meraa madad-gaar ho gayaa patthar ki choT sah gayaa kuchh bhi huaa nahin lafzon kaa tiir dil ke mire paar ho gayaa aankhon se teri yaad kaa saavan baras paDaa sapnaa miri hayaat kaa saakaar ho gayaa"
"ye meraa dil kahaan hai ab tumhaari raajdhaani hai mire dil par tumhaare dard-o-gham ki hukmraani hai suno kuchh to kaho tum kyon bhalaa yuun ruuTh baiThi ho hamesha main ne meri jaan tumhaari baat maani hai mujhe koi nahin samjhaa kisi ne bhi nahin jaanaa suno gar vaqt ho tum ko mire dil ki sunaani hai main sach ko sach hi kahtaa huun khushaamad kar nahin saktaa abhi ki to nahin meri ye aadat khaandaani hai tumhaare gham ko rotaa hai tum is par muskuraate ho samajhte jhuuT ho sach ko tumhaari bad-gumaani hai lagaanaa is se dil kaa kyaa khilaunaa hai ye miTTi kaa ye duniyaa khel bachchon kaa na kuchh aani na jaani hai bataane ki zarurat kyaa samajhtaa huun tumhaaraa gham suno aansu tumhaare dard-o-gham ki tarjumaani hai"
"chaliye mushkil hai agar jiinaa to mar jaate hain bojh ham ruuh pe apni hain utar jaate hain khud ko aaina banaa rakkhaa hai jab se ham ne us taraf dekhne kyaa ahl-e-nazar jaate hain baa-vafaa hon to mire saath vo chal kar dekhein raah-e-isaar se ham kaise guzar jaate hain laazmi dil ke liye dida-e-binaa karnaa tere ehsaas mire dil mein utar jaate hain ham anaa-gir hain khud apni tamannaaon ke kaun puchhe unhein jaaein vo jidhar jaate hain yaar 'irshaad' kahaan chal diye manzil bhi nahin puchh lete hain abhi khud se kidhar jaate hain"
More on Dil
View all →"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"