"dariyaa ke dhaDakte siine tak saahil ki du'aa le jaaungaa haalaat ki lahron par ik din main khud ko bahaa le jaaungaa main apne andhere kamre mein parchhaain ugaane ki khaatir suraj ki shu'aa'on ko apni muTThi mein chhupaa le jaaungaa khvaabon ke dar-o-divaar pe bhi chehre ki lakirein phaileingi yaadon ke mahakte saayon ko aankhon mein basaa le jaaungaa ai baad-e-havaadis teri qasam main haar na maanungaa tujh se main apni hatheli mein rakh kar ik aur diyaa le jaaungaa haq-goi agar hai jurm to phir le jaao salibon tak mujh ko suuli ke laTakte phandon tak main apni sadaa le jaaungaa kyaa soch rahe ho ai logo ab pheink ke patthar toD bhi do varna main badan ke shishe ko phir aaj bachaa le jaaungaa 'khaalid' main kisi ke kuche se naakaam umidon ko le kar ik roz badan se lipTaae zakhmon ki ridaa le jaaungaa"
dil mein paivast koi Dar hai miyaan — Khalid Raheem
"dil mein paivast koi Dar hai miyaan raasta vaise be-khatar hai miyaan kyon sadaa de rahe ho suraj ko duur ham se abhi sahar hai miyaan zindagi kyaa hai puchhte kyon ho chand lamhon kaa ye safar hai miyaan darmiyaan hai anaa ki ik divaar faasla varna mukhtasar hai miyaan baat itni si hai ki duniyaa mein aadmi khud se be-khabar hai miyaan tum haqiqat ki baat karte ho ye to khvaabon ki rahguzar hai miyaan aae ho is taraf to saath chalo do qadam par hamaaraa ghar hai miyaan haal kaise bayaan karo 'khaalid' zindagi apni dar-ba-dar hai miyaan"
دل میں پیوست کوئی ڈر ہے میاں راستہ ویسے بے خطر ہے میاں کیوں صدا دے رہے ہو سورج کو دور ہم سے ابھی سحر ہے میاں زندگی کیا ہے پوچھتے کیوں ہو چند لمحوں کا یہ سفر ہے میاں درمیاں ہے انا کی اک دیوار فاصلہ ورنہ مختصر ہے میاں بات اتنی سی ہے کہ دنیا میں آدمی خود سے بے خبر ہے میاں تم حقیقت کی بات کرتے ہو یہ تو خوابوں کی رہ گزر ہے میاں آئے ہو اس طرف تو ساتھ چلو دو قدم پر ہمارا گھر ہے میاں حال کیسے بیاں کرو خالدؔ زندگی اپنی در بہ در ہے میاں
दिल में पैवस्त कोई डर है मियाँ रास्ता वैसे बे-ख़तर है मियाँ क्यों सदा दे रहे हो सूरज को दूर हम से अभी सहर है मियाँ ज़िंदगी क्या है पूछते क्यों हो चंद लम्हों का ये सफ़र है मियाँ दरमियाँ है अना की इक दीवार फ़ासला वर्ना मुख़्तसर है मियाँ बात इतनी सी है कि दुनिया में आदमी ख़ुद से बे-ख़बर है मियाँ तुम हक़ीक़त की बात करते हो ये तो ख़्वाबों की रहगुज़र है मियाँ आए हो इस तरफ़ तो साथ चलो दो क़दम पर हमारा घर है मियाँ हाल कैसे बयाँ करो 'ख़ालिद' ज़िंदगी अपनी दर-ब-दर है मियाँ

More by Khalid Raheem
View all →"abhi raushan hui hain mere ghar ki battiyaan mujh se havaa phir le na jaae chhin kar parchhaaiyaan mujh se karun aankhon se nam miTTi khalaaon phuul raste mein taqaazaa kar rahi hain khvaahishon ki bastiyaan mujh se ye roz-o-shab ke hangaame dar-o-divaar ke andar bataaun kyaa sulajhti hi nahin ab gutthiyaan mujh se kisi se muskuraa kar baat kar letaa huun main jab bhi na jaane kyon khafaa rahti hain teri khiDkiyaan mujh se ye tanhaai kaa mausam bhi dabe paanv guzar jaataa agar yaadein kisi ki baanT letin talkhiyaan mujh se vo barfile badan ke saath milne jab bhi aataa hai churaa letaa hai mere khuun ki sab garmiyaan mujh se parinda ek din uD jaaegaa TuTegi Tahni bhi yahi kahti hain phulon ki bikharti patiyaan mujh se akelaa main jo ghar lauTaa to phir kaise bataaungaa khudaai kaa sabab puchheingi jab tanhaaiyaan mujh se"
"hans hans ke bolne ki fazaa kaun le gayaa aangan se shor-o-ghul ki sadaa kaun le gayaa piine lagi hain zahr-e-tafakkur sharaaratein bachchon se bhole-pan ki adaa kaun le gayaa sach bolne ki saari rivaayat kahaan gai virse mein jo mili thi fazaa kaun le gayaa de ke shajar shajar ko udaasi ki tez dhuup shaakhon se pattiyon ki ridaa kaun le gayaa aasudgi ki khoj mein niklaa huun su-e-dasht shahron ki pur-sukun fazaa kaun le gayaa baarud rakh ke mere darichon ke aas paas sarsabz vaadiyon ki havaa kaun le gayaa mehnat-kashon ko bhuuk hi khairaat mein mili razzaaq ban ke rizq-e-vafaa kaun le gayaa"
"ibtidaa aur intihaa kaa silsila koi na thaa tu hi thaa har ahd mein tere sivaa koi na thaa aasmaan kaa jab zamin se raabta koi na thaa eDiyaan ragDi gai thiin moajiza koi na thaa vaqt aisaa thaa ki apnaa aasraa koi na thaa ye gali apni thi lekin aashnaa koi na thaa khvaahishon ki sar-bulandi le ke jaati bhi kahaan daaera thaa parbaton kaa raasta koi na thaa zehn-o-dil ki duriyaan mahfuz thiin apni jagah aur logon ne ye samjhaa faasla koi na thaa shahr-e-pur-aashob ki tamsil thi apni hayaat dil-shikan is se ziyaada vaaqia koi na thaa apni apni dhun mein the 'khaalid' sabhi mahv-e-safar manzil-e-maqsad ki jaanib qaafila koi na thaa"
"taarik zindagi ko banaane lagaa hai vo suraj se raushni ko churaane lagaa hai vo likh likh ke mere naam aziyyat ke dasht-o-dar jaagir mere gham ki baDhaane lagaa hai vo ehsaas ki salib liye chal rahaa huun main dasht-e-junun mein shor machaane lagaa hai vo mujh se hi le ke mere saliqe ki raushni tahzib ki zabaan sikhaane lagaa hai vo takhliq-e-kaaenaat kaa gar main sabab rahaa phir kyuun miraa vaqaar ghaTaane lagaa hai vo parvardigaar meri shahaadat qubul kar talvaar le ke saamne aane lagaa hai vo 'khaalid' main us ke haath ki tahrir thaa magar harf-e-ghalat samajh ke miTaane lagaa hai vo"
"apni naa-karda-gunaahi kaa sila bhi rakh le dil ke khaane mein zaraa khauf-e-khudaa bhi rakh le tujh ko le jaaegi sannaaTe mein ik roz hayaat apne kaanon ke liye sang-e-sadaa bhi rakh le bujh na jaae kahin ehsaas ke shoalon kaa mizaaj munjamid vaqt hai thoDi si havaa bhi rakh le faasla aur baDhaa degi anaa ki dahliz darmiyaan zina-e-ikhlaas-e-vafaa bhi rakh le zindagi dasht-e-tilismaat ki jaanib hai ravaan kuchh to hamraah buzurgon ki duaa bhi rakh le roz kaa milnaa giraan-baar-e-taalluq na bane be-sabab us se kabhi khud ko judaa bhi rakh le"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"