SHAWORDS

dil ne khulne ki raah le li hai — Ayush Charag

HomeAyush CharagGhazal
"dil ne khulne ki raah le li hai baadalon mein panaah le li hai muskuraa kar tumhaari chaahat ne mujh se jiine ki chaah le li hai mere khvaabon ne dil ke sahraa mein aaj ik qabr-gaah le li hai utni shiddat kaa gham nahin tum ko tum ne jitni salaah le li hai"
Urdu

دل نے کھلنے کی راہ لے لی ہے بادلوں میں پناہ لے لی ہے مسکرا کر تمہاری چاہت نے مجھ سے جینے کی چاہ لے لی ہے میرے خوابوں نے دل کے صحرا میں آج اک قبر گاہ لے لی ہے اتنی شدت کا غم نہیں تم کو تم نے جتنی صلاح لے لی ہے

Hindi

दिल ने खुलने की राह ले ली है बादलों में पनाह ले ली है मुस्कुरा कर तुम्हारी चाहत ने मुझ से जीने की चाह ले ली है मेरे ख़्वाबों ने दिल के सहरा में आज इक क़ब्र-गाह ले ली है उतनी शिद्दत का ग़म नहीं तुम को तुम ने जितनी सलाह ले ली है

dil ne khulne kī raah le lī hai
Ayush Charag
Ayush Charag
Ayush Charag
poet10 quotes

More by Ayush Charag

View all →
Quote
"ridaa-e-vaqt mein bas maah-o-saal bunte hue ik umr kaaT di teraa khayaal bunte hue ye rang us kaa pasandida rang thaa maahi main aaj rone lagaa ek shaal bunte hue usi zamin ko tartib se banaanaa hai nadi ke dhaagon se shahron ki khaal bunte hue mujhe taDapti uDaanon ki yaad aati hai tumhein bhi yaad kuchh aataa hai jaal bunte hue zaraa saa azm thaa poshaak khud banaaungaa guzar gae hain magar kitne saal bunte hue vo kokh bhi na bachi vahshiyon ke haathon se safed uun huaa laal laal bunte hue"
Ayush CharagAyush Charag
Quote
"ibaaratein chamak rahi hain dil mein tere pyaar ki diye ki lau mein jal rahi hai raat intizaar ki bhaTak rahi hai aasmaan mein aarzu ki faakhta zamin pe zindagi paDi hai aag mein bukhaar ki miri vo manzilein na thiin jo manzilein mujhe milin miri nahin thi raah vo jo main ne ikhtiyaar ki jhulas gae nigaah ke tamaam khvaab aanch se ye daastaan hai nazar pe raushni ke vaar ki sulaa rahi hai beach raah mein thakan hamein 'charaagh' jagaa rahi hai justuju magar tire dayaar ki"
Ayush CharagAyush Charag
Quote
"jahaan jahaan par qadam rakhoge tumhein milegi vahin udaasi ye raaz kuchh is tarah samajh lo makaan miraa hai makin udaasi samay ki aankhon se dekhiye to har ek khanDar mein chhupe mileinge kahin pe bachpan kahin javaani kahin buDhaapaa kahin udaasi mire shabistaan ke paas koi buri tarah kal sisak rahaa thaa main us ke siine se lag ke bolaa nahin udaasi nahin udaasi badhaai chahkin duaaein gunji tamaam chehre khushi se jhume qubul hai tiin baar boli ek parda-nashin udaasi"
Ayush CharagAyush Charag

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri