"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
din-ba-din safha-e-hasti se miTaa jaataa huun — Sardar Saleem
"din-ba-din safha-e-hasti se miTaa jaataa huun ek jiine ke liye kitnaa maraa jaataa huun apne pairon pe khaDaa boltaa paikar huun magar aahaTon ki tarah mahsus kiyaa jaataa huun tu bhi jaise miri aankhon mein khinchaa jaataa hai main bhi jaise tiri saanson samaa jaataa huun nuur ki shaakh se TuuTaa huaa pattaa huun main vaqt ki dhuup mein maadum huaa jaataa huun saath chhuTaa to kaDaa vaqt zarur aaegaa aap kahte hain to be-shak main chalaa jaataa huun haadse jitnaa mujhe duur kiye dete hain utnaa manzil se main nazdik huaa jaataa huun dekhne mein to main zarra nazar aataa huun 'salim' dekhte dekhte khurshid pe chhaa jaataa huun"
دن بہ دن صفحۂ ہستی سے مٹا جاتا ہوں ایک جینے کے لیے کتنا مرا جاتا ہوں اپنے پیروں پہ کھڑا بولتا پیکر ہوں مگر آہٹوں کی طرح محسوس کیا جاتا ہوں تو بھی جیسے مری آنکھوں میں کھنچا جاتا ہے میں بھی جیسے تری سانسوں سما جاتا ہوں نور کی شاخ سے ٹوٹا ہوا پتا ہوں میں وقت کی دھوپ میں معدوم ہوا جاتا ہوں ساتھ چھوٹا تو کڑا وقت ضرور آئے گا آپ کہتے ہیں تو بے شک میں چلا جاتا ہوں حادثے جتنا مجھے دور کیے دیتے ہیں اتنا منزل سے میں نزدیک ہوا جاتا ہوں دیکھنے میں تو میں ذرہ نظر آتا ہوں سلیمؔ دیکھتے دیکھتے خورشید پہ چھا جاتا ہوں
दिन-ब-दिन सफ़्हा-ए-हस्ती से मिटा जाता हूँ एक जीने के लिए कितना मरा जाता हूँ अपने पैरों पे खड़ा बोलता पैकर हूँ मगर आहटों की तरह महसूस किया जाता हूँ तू भी जैसे मिरी आँखों में खिंचा जाता है मैं भी जैसे तिरी साँसों समा जाता हूँ नूर की शाख़ से टूटा हुआ पत्ता हूँ मैं वक़्त की धूप में मादूम हुआ जाता हूँ साथ छूटा तो कड़ा वक़्त ज़रूर आएगा आप कहते हैं तो बे-शक मैं चला जाता हूँ हादसे जितना मुझे दूर किए देते हैं उतना मंज़िल से मैं नज़दीक हुआ जाता हूँ देखने में तो मैं ज़र्रा नज़र आता हूँ 'सलीम' देखते देखते ख़ुर्शीद पे छा जाता हूँ

More on Maa
View all →"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"