Quote
"khvaab phir aankh mein sajaa koi zindagi mein mile maza koi baa'd 'arse ke aaina dekhaa shakhs is mein dikhaa nayaa koi aadmi jab gunaah kartaa hai yaad aataa nahin khudaa koi chaand paane ki zid kiyaa kartaa mujh mein rahtaa hai baavraa koi mulk mein sansani si phaile yuun mudda'aa roz ek uThaa koi baat karte to baat ban jaati de gayaa mujh ko mashvara koi"
