SHAWORDS

dosti kyaa hai dushmani kyaa hai — Azad Sahiri

HomeAzad SahiriGhazal
"dosti kyaa hai dushmani kyaa hai jo na samjhe vo aadmi kyaa hai aap puchhein to koi baat bane varna vaqat hi baat ki kyaa hai muskuraa kar gulon ne dekh liyaa do ghaDi ki shaguftagi kyaa hai ek muddat se gham-shanaasaa huun main nahin jaantaa khushi kyaa hai saae jalve hain husn-e-jaanaan ke chaand taare ye raushni kyaa hai jurm-e-naa-karda ki sazaa ke liye doston ki yahaan kami kyaa hai sehr-kaari hai lafz-o-maani ki varna 'aazaad' shaaeri kyaa hai"
Urdu

دوستی کیا ہے دشمنی کیا ہے جو نہ سمجھے وہ آدمی کیا ہے آپ پوچھیں تو کوئی بات بنے ورنہ وقعت ہی بات کی کیا ہے مسکرا کر گلوں نے دیکھ لیا دو گھڑی کی شگفتگی کیا ہے ایک مدت سے غم شناسا ہوں میں نہیں جانتا خوشی کیا ہے سائے جلوے ہیں حسن جاناں کے چاند تارے یہ روشنی کیا ہے جرم نا کردہ کی سزا کے لئے دوستوں کی یہاں کمی کیا ہے سحر کاری ہے لفظ و معنی کی ورنہ آزادؔ شاعری کیا ہے

Hindi

दोस्ती क्या है दुश्मनी क्या है जो न समझे वो आदमी क्या है आप पूछें तो कोई बात बने वर्ना वक़अत ही बात की क्या है मुस्कुरा कर गुलों ने देख लिया दो घड़ी की शगुफ़्तगी क्या है एक मुद्दत से ग़म-शनासा हूँ मैं नहीं जानता ख़ुशी क्या है साए जल्वे हैं हुस्न-ए-जानाँ के चाँद तारे ये रौशनी क्या है जुर्म-ए-ना-कर्दा की सज़ा के लिए दोस्तों की यहाँ कमी क्या है सेह्र-कारी है लफ़्ज़-ओ-मा'नी की वर्ना 'आज़ाद' शायरी क्या है

dostī kyā hai dushmanī kyā hai
Azad Sahiri
Azad Sahiri
Azad Sahiri
poet8 quotes

More by Azad Sahiri

View all →
Quote
"husn khud mein na huaa jalva-numaa mere baad raas kyaa aati zamaane ki havaa mere baad myaan se nikli na shamshir-e-jafaa mere baad raqs-e-bismil kaa tamaasha na huaa mere baad paas-e-dastur na saaqi ko rahaa mere baad dar-e-mai-khaana khulaa chhoD diyaa mere baad ik mire uThne se dil baiTh gayaa rindon kaa jaam uThe aur na shisha hi jhukaa mere baad har qadam duri-e-manzil ki taraf le ke gayaa raasta bhuul gae raah-numaa mere baad baar-e-ehsaan se dab jaae na turbat 'aazaad' chaadar-e-gul se na marqad ko sajaa mere baad"
Azad SahiriAzad Sahiri
Quote
"khun-chakaan qalb-o-jigar chaak-garebaan niklaa jo tiri bazm se niklaa so pareshaan niklaa teri ik ek nazar ne kiyaa sab ko ghaayal jis ko dekhaa vahi minnat-kash-e-paikaan niklaa ghunche bedaar hue jaag uThe laala-o-gul bahr-e-gul-gasht jo vo rashk-e-gulistaan niklaa jis ki guftaar se thaa sab ko farishte kaa gumaan apne kirdaar mein vo saani-e-shaitaan niklaa ham shab-e-taar mein bhi tere makaan tak pahunche apnaa har daagh-e-jigar sham-e-farozaan niklaa shukr hai ashk-e-nadaamat mire kaam aa hi gae marhala hashr kaa mere liye aasaan niklaa baDh ke daaman ko mire khaar-e-mughilaan ne liyaa main jo 'aazaad' kabhi su-e-bayaabaan niklaa"
Azad SahiriAzad Sahiri
Quote
"subu hai aur shisha hai na koi jaam hai saaqi zabaan par rind-mashrab ki khudaa kaa naam hai saaqi shikaayat gardish-e-dauraan ki karte bhi to kyaa karte ajal hi jab ilaaj-e-gardish-e-ayyaam hai saaqi kahaan vo fikr-o-fan kaa mai-kada aabaad thaa jin se na 'ghaalib' hai na 'saudaa' hai na vo 'khayyaam' hai saaqi kashaakash se gham-o-aalaam ki ab mil gai fursat tiri zulfon ke saae mein baDaa aaraam hai saaqi qafas mein hausla parvaaz kaa dam toD detaa hai na khatra baad-o-baaraan kaa na khauf-e-daam hai saaqi gham-o-andoh ki shiddat mein poshida masarrat hai masarrat ek aks-e-shiddat-e-aalaam hai saaqi main vo aazaad huun jo baada-e-irfaan kaa tishna hai pilaa de ok se meraa piyaala khaam hai saaqi"
Azad SahiriAzad Sahiri
Quote
"kisi ki be-rukhi hai aur main huun maaal-e-aashiqi hai aur main huun falak ne phir nae fitne jagaae kamaal-e-dushmani hai aur main huun jigar ke daagh hain sham-e-farozaan har ik su raushni hai aur main huun khushi kaa baab mujh ko DhunDhtaa hai kitaab-e-zindagi hai aur main huun mataa-e-dil luTaae jaa rahaa huun miri dariyaa-dili hai aur main huun thaa kal tak raunaq-e-bazm-e-hasinaan magar ab bebasi hai aur main huun saje 'aazaad' kaise bazm-e-hasti yahi gar zindagi hai aur main huun"
Azad SahiriAzad Sahiri
Quote
"bad-mast nigaahon ke mastaane hazaaron hain haathon mein liye dil ke nazraane hazaaron hain us aariz-e-taabaan ke divaane hazaaron hain ek shama farozaan hai parvaane hazaaron hain kuche se guzar un ke ik roz huaa hogaa us roz se vaabasta afsaane hazaaron hain jaane hue gar apne anjaane hain gham kaisaa jab shahr-e-gulistaan mein anjaane hazaaron hain ye zikr-e-mai-e-athar kyaa pyaas bujhaaegaa piini hai agar vaaiz maikhaane hazaaron hain us but ke taghaaful kaa kyaa khaak asar lete aazar kaa zamaana hai but-khaane hazaaron hain ham ok se pi leinge paimaana haTaa lenaa 'aazaad' yahaan jhuTe paimaane hazaaron hain"
Azad SahiriAzad Sahiri
Quote
"na hote rind gar saaqi to maikhaane kahaan jaate suraahi kis ke ghar jaati ye paimaane kahaan jaate pata manzil kaa miltaa hai to divaanon se miltaa hai na hote gar ye divaane to farzaane kahaan jaate tumhaare aariz-e-taabaan harif-e-shama-e-mahfil hain na aate khich ke parvaane khudaa jaane kahaan jaate mire mamnun hain dasht-o-bayaabaan ek muddat se chaman mein gar bahal jaataa to viraane kahaan jaate tumhaari zulf ke kham halqa-e-zanjir-e-zindaan hain na aate daam-e-gesu mein to divaane kahaan jaate pata dil kaa hamaare aap ko maalum thaa varna nazar ke tiir le kar shauq farmaane kahaan jaate buDhaape mein javaani kaa zamaana yaad aataa hai magar 'aazaad' vo lamhaat phir laane kahaan jaate"
Azad SahiriAzad Sahiri

More on Dosti

View all →
Quote
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
Anjuman Mansury ArzooAnjuman Mansury Arzoo
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba