"ai khudaa kaisaa samaan aayaa hai shahr mein har su dhuaan chhaayaa hai luT gai khalq-e-khudaa ki hasrat ahd-e-nau aisaa ziyaan laayaa hai hijr ke dasht mein yaksar main ne gham ke dariyaa ko ravaan paayaa hai sirf mujh ko nahin daulat ki talab sab ko darkaar yahaan maayaa hai baDi mushkil se jahaan ko 'shauqi' meraa andaaz-e-bayaan bhaayaa hai"
Dubte Dubte suraj ne ziyaaein diin hain — Aamir Shauqi
"Dubte Dubte suraj ne ziyaaein diin hain teri yaadon ne bahut dil ko sadaaein diin hain ye adaalat kisi tahrir ki muhtaaj nahin vaqt ne har kas-o-naa-kas ko sazaaein diin hain zindagi tujh ko barahna nahin rakkhaa hai kabhi ham ne har dard ko lafzon ki qabaaein diin hain sirf fayyaazi ke qisse na muarrikh likhnaa bujhte shoalon ko bhi to us ne havaaein diin hain shaaeri yunhi nahin pukhta miri ai 'shauqi' mere ustaad ne kuchh aisi duaaein diin hain"
ڈوبتے ڈوبتے سورج نے ضیائیں دیں ہیں تیری یادوں نے بہت دل کو صدائیں دیں ہیں یہ عدالت کسی تحریر کی محتاج نہیں وقت نے ہر کس و ناکس کو سزائیں دیں ہیں زندگی تجھ کو برہنہ نہیں رکھا ہے کبھی ہم نے ہر درد کو لفظوں کی قبائیں دیں ہیں صرف فیاضی کے قصے نہ مؤرخ لکھنا بجھتے شعلوں کو بھی تو اس نے ہوائیں دیں ہیں شاعری یوں ہی نہیں پختہ مری اے شوقیؔ میرے استاد نے کچھ ایسی دعائیں دیں ہیں
डूबते डूबते सूरज ने ज़ियाएँ दीं हैं तेरी यादों ने बहुत दिल को सदाएँ दीं हैं ये अदालत किसी तहरीर की मुहताज नहीं वक़्त ने हर कस-ओ-ना-कस को सज़ाएँ दीं हैं ज़िंदगी तुझ को बरहना नहीं रक्खा है कभी हम ने हर दर्द को लफ़्ज़ों की क़बाएँ दीं हैं सिर्फ़ फ़य्याज़ी के क़िस्से न मुअर्रिख़ लिखना बुझते शो'लों को भी तो उस ने हवाएँ दीं हैं शायरी यूँही नहीं पुख़्ता मिरी ऐ 'शौकी' मेरे उस्ताद ने कुछ ऐसी दुआएँ दीं हैं

More by Aamir Shauqi
View all →"ai khudaa hasrat-o-jazbaat ke maare hue log ab kahaan jaaein ye haalaat ke maare hue log teri duniyaa ki kahaani bhi ajab hai maulaa dar-ba-dar rahte hain haq baat ke maare hue log subh-e-nau ke liye zambil-e-talab laae hain dasht-e-viraan mein siyah raat ke maare hue log tu bhi aaraam zaraa kar le ghubaar-e-manzil abhi soe hain musaafaat ke maare hue log ho ke maayus pari-khaane se lauTe 'shauqi' jaane kyon shokh ishaaraat ke maare hue log"
"masale aur bhi hain ishq ke aazaar ke saath sirf ik karb nahin umr ki raftaar ke saath haae mahrumi-e-qismat ki tujhe paa na sake ham har ik samt gae hasrat-e-didaar ke saath kaise main aap ki taazim bajaa laaungaa meri banti hi nahin haashiya-bardaar ke saath abhi khush-rang hai taabaani mire aangan ki ranjishein hone lagin kyon dar-o-divaar ke saath dars dete hain bahut log payambar vaale baiThtaa koi nahin muflis-o-naadaar ke saath us ke hisse kaa bhi gham mujh ko ataa kar de magar an-ginat khushiyaan rahin maulaa mire yaar ke saath guftugu kaa bhi saliqa nahin jin ko 'shauqi' aaj phirte hain vahi mansab-o-dastaar ke saath"
"kaun sukh-chain se hai kis ki paziraai hai teri duniyaa mein har ik moD pe rusvaai hai jhiil si aankhein tiri aur gulaabi tire honT meri chaahat ke hi sadqe mein ye raanaai hai main jo chup-chaap saa baiThaa huun tiri mahfil mein ye miraa shauq nahin zarbat-e-tanhaai hai ghar mein ghuT ghuT ke hi mar jaate hain bimaar gharib ab shifaa-khaane mein is auj pe mahngaai hai main samundar to nahin adnaa saa shaair huun magar dariyaa se baDh ke mire sher mein gahraai hai jaan kar bhi nahin pahchaante hain 'shauqi' log teri basti mein ajab tarz-e-shanaasaai hai"
"mausam-e-gul mein bhi gul nazr-e-khizaan hain saare mutmain koi nahin mahv-e-fughaan hain saare hosh-mandi se qadam aage baDhaao logo apni jaanib hi khinche tir-o-kamaan hain saare chahchahaane ki sadaa aai thi kal tak jin se jaane kyon aaj vo khaamosh makaan hain saare sirf divaar ki unchaai nazar aati hai ai mire shahr mire log kahaan hain saare ab khudaa khair kare qaafila vaalon ki mire khoe khoe hue manzil ke nishaan hain saare kitnaa dhundlaa diyaa haalaat ne tum ko 'shauqi' jin ko tum abr samajhte ho dhuaan hain saare"
"sard mausam hai bahut hijr kaa aazaar bhi hai kyaa kahein tujh se ye dil gham mein giraftaar bhi hai kaise kah duun ki tire baa'd mujhe chain paDaa subh ghamgin miri raat dil-aazaar bhi hai zindagi kahti hai Thahro na baDho aur baDho manzilein duur hain aur raasta dushvaar bhi hai nai taamir kaa saudaa hai sar-o-dil mein magar saamne sahn ki girti hui divaar bhi hai meraa maddaah mire fan se nahin shahr kaa shahr khud ki pahchaan mein kirdaar kaa kirdaar bhi hai har kisi se nahin miltaa huun main jhuk kar 'shauqi' darmiyaan apne koi chiiz ye meaar bhi hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"