"taalluq apni jagah tujh se barqaraar bhi hai magar ye kyaa ki tire qurb se faraar bhi hai kured aur zamin mausamon ke mutalaashi! yahin kahin miri khoi hui bahaar bhi hai yahi na ho tiri manzil zaraa Thahar ai dil vahi makaan hai diyon ki vahi qataar bhi hai yunhi to ruuh nahin toDti hisaar-e-badan zarur apnaa koi baadalon ke paar bhi hai main pattharon se hi sar ko paTakh ke lauT aayaa chaTaan kahti rahi mujh mein shaahkaar bhi hai ye kyaa ki rok ke baiThaa huaa huun sail-e-havas machaan par bhi huun aur saamne shikaar bhi hai chhupaa huaa bhi huun jiine ki aarzu le ke panaah-gaah miri sher ki kachhaar bhi hai"
faasle aise bhi honge ye kabhi sochaa na thaa — Adeem Hashmi
"faasle aise bhi honge ye kabhi sochaa na thaa saamne baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa vo ki khushbu ki tarah phailaa thaa mere chaar-su main use mahsus kar saktaa thaa chhu saktaa na thaa raat bhar pichhli si aahaT kaan mein aati rahi jhaank kar dekhaa gali mein koi bhi aayaa na thaa main tiri surat liye saare zamaane mein phiraa saari duniyaa mein magar koi tire jaisaa na thaa aaj milne ki khushi mein sirf main jaagaa nahin teri aankhon se bhi lagtaa hai ki tu soyaa na thaa ye sabhi viraaniyaan us ke judaa hone se thiin aankh dhundlaai hui thi shahr dhundlaayaa na thaa sainkaDon tufaan lafzon mein dabe the zer-e-lab ek patthar thaa khamoshi kaa ki jo haTtaa na thaa yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim' bhuul jaane ke sivaa ab koi bhi chaaraa na thaa maslahat ne ajnabi ham ko banaayaa thaa 'adim' varna kab ik dusre ko ham ne pahchaanaa na thaa"
فاصلے ایسے بھی ہوں گے یہ کبھی سوچا نہ تھا سامنے بیٹھا تھا میرے اور وہ میرا نہ تھا وہ کہ خوشبو کی طرح پھیلا تھا میرے چار سو میں اسے محسوس کر سکتا تھا چھو سکتا نہ تھا رات بھر پچھلی سی آہٹ کان میں آتی رہی جھانک کر دیکھا گلی میں کوئی بھی آیا نہ تھا میں تری صورت لیے سارے زمانے میں پھرا ساری دنیا میں مگر کوئی ترے جیسا نہ تھا آج ملنے کی خوشی میں صرف میں جاگا نہیں تیری آنکھوں سے بھی لگتا ہے کہ تو سویا نہ تھا یہ سبھی ویرانیاں اس کے جدا ہونے سے تھیں آنکھ دھندلائی ہوئی تھی شہر دھندلایا نہ تھا سینکڑوں طوفان لفظوں میں دبے تھے زیر لب ایک پتھر تھا خموشی کا کہ جو ہٹتا نہ تھا یاد کر کے اور بھی تکلیف ہوتی تھی عدیمؔ بھول جانے کے سوا اب کوئی بھی چارا نہ تھا مصلحت نے اجنبی ہم کو بنایا تھا عدیمؔ ورنہ کب اک دوسرے کو ہم نے پہچانا نہ تھا
फ़ासले ऐसे भी होंगे ये कभी सोचा न था सामने बैठा था मेरे और वो मेरा न था वो कि ख़ुशबू की तरह फैला था मेरे चार-सू मैं उसे महसूस कर सकता था छू सकता न था रात भर पिछली सी आहट कान में आती रही झाँक कर देखा गली में कोई भी आया न था मैं तिरी सूरत लिए सारे ज़माने में फिरा सारी दुनिया में मगर कोई तिरे जैसा न था आज मिलने की ख़ुशी में सिर्फ़ मैं जागा नहीं तेरी आँखों से भी लगता है कि तू सोया न था ये सभी वीरानियाँ उस के जुदा होने से थीं आँख धुँदलाई हुई थी शहर धुँदलाया न था सैंकड़ों तूफ़ान लफ़्ज़ों में दबे थे ज़ेर-ए-लब एक पत्थर था ख़मोशी का कि जो हटता न था याद कर के और भी तकलीफ़ होती थी 'अदीम' भूल जाने के सिवा अब कोई भी चारा न था मस्लहत ने अजनबी हम को बनाया था 'अदीम' वर्ना कब इक दूसरे को हम ने पहचाना न था

More by Adeem Hashmi
View all →"rakht-e-safar yunhi to na bekaar le chalo rasta hai dhuup kaa koi divaar le chalo taaqat nahin zabaan mein to likh hi lo dil ki baat koi to saath surat-e-izhaar le chalo dekhun to vo badal ke bhalaa kaisaa ho gayaa mujh ko bhi us ke saamne is baar le chalo kab tak nadi ki tah mein utaaroge kashtiyaan ab ke to haath mein koi patvaar le chalo paDti hain dil pe gham ki agar silvaTein to kyaa chehre pe to khushi ke kuchh aasaar le chalo jitne bhanvar kahoge pahan lungaa jism par ik baar to nadi ke mujhe paar le chalo kuchh bhi nahin agar to hatheli pe jaan sahi tohfa koi to us ke liye yaar le chalo"
"gham ke har ik rang se mujh ko shanaasaa kar gayaa vo miraa mohsin mujhe patthar se hiiraa kar gayaa ghurtaa thaa main khalaa mein to saji thiin mahfilein meraa aankhon kaa jhapaknaa mujh ko tanhaa kar gayaa har taraf uDne lagaa taarik saayon kaa ghubaar shaam kaa jhonkaa chamaktaa shahr mailaa kar gayaa chaaT li kirnon ne mere jism ki saari miThaas main samundar thaa vo suraj mujh ko sahraa kar gayaa ek lamhe mein bhare baazaar sone ho gae ek chehra sab puraane zakhm taaza kar gayaa main usi ke raabte mein jis tarah malbus thaa yuun vo daaman khinch kar mujh ko barahna kar gayaa raat bhar ham raushni ki aas mein jaage 'adim' aur din aayaa to aankhon mein andheraa kar gayaa"
"kis havaale se mujhe kis kaa pataa yaad aayaa husn-e-kaafir ko jo dekhaa to khudaa yaad aayaa ek TuuTaa huaa paimaan-e-vafaa yaad aayaa yaad aayaa bhi mujhe aaj to kyaa yaad aayaa shaam ke haath ne jis vaqt lagaa li mehndi mujhe us vaqt tiraa rang-e-hinaa yaad aayaa kahin aankhon ki nami raaz na ifshaa kar de main ne munh pher liyaa tu jo zaraa yaad aayaa saare fankaar uThaa laae the shahkaaron ko aur main thaa mujhe andaaz tiraa yaad aayaa kitni duniyaa thi mire gird tujhe kyaa maalum baDi mushkil se mujhe teraa pataa yaad aayaa tere daaman mein nami itni ziyaada kyuun hai kaun saa phuul tujhe baad-e-sabaa yaad aayaa jab kisi ko koi ummid vafaaon ki na thi mujhe us pal tiraa paimaan-e-vafaa yaad aayaa qadam uThte the kahaan su-e-haram apne 'adim' aaj mushkil nazar aai to khudaa yaad aayaa"
"kyuun mire lab pe vafaaon kaa savaal aa jaae ain mumkin hai use khud hi khayaal aa jaae hijr ki shaam bhi siine se lagaa letaa huun kyaa khabar yunhi kabhi shaam-e-visaal aa jaae ghar isi vaaste jangal mein badal Daalaa hai shaayad aise hi idhar meraa ghazaal aa jaae dhanak ubhre sar-e-aflaak kaDi dhuup mein bhi dasht-e-vahshat mein agar teraa khayaal aa jaae koi to uD ke dahaktaa huaa suraj Dhaanpe gard hi sar pe ghaTaaon ki misaal aa jaae chhoD de vo mujhe taklif mein mumkin to nahin aur agar aisi kabhi surat-e-haal aa jaae us ghaDi puchhungaa tujh se ye jahaan kaisaa hai jab tire husn pe thoDaa saa zavaal aa jaae kuchh nahin hai to bhulaanaa hi use siikh 'adim' zindagi mein tujhe koi to kamaal aa jaae"
"dil ajab gumbad ki jis mein ik kabutar bhi nahin itnaa viraan to mazaaron kaa muqaddar bhi nahin Dubti jaati hain miTTi mein badan ki kashtiyaan dekhne mein ye zamin koi samundar bhi nahin jitne hangaame the sukhi Tahniyon se jhaD gae peD par phal bhi nahin aangan mein patthar bhi nahin khushk Tahni par parinda hai ki pattaa hai 'adim' aashiyaana bhi nahin jis kaa koi par bhi nahin jitni pyaari hain miri dharti ko zanjirein 'adim' utnaa pyaaraa to kisi dulhan ko zevar bhi nahin"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"