SHAWORDS

farzi daavedaar hai — Aftab Shakeel

HomeAftab ShakeelGhazal
"farzi daavedaar hai apni jo bhi yaari hai mere vaade par mat jaa ye bilkul sarkaari hai vaqt ko koso ke us ki rag rag mein makkaari hai aur bhalaa kyaa hai jiinaa marne ki tayyaari hai ik bas tu hi hai teraa baaqi duniyaa daari hai aur to kyaa karte tanhaa khud se hi jhak maari hai tum ko paDh kar bhuul gayaa dil bhi kaisaa kaari hai dil ne ishq ki naakaami qismat par de maari hai gham ko amaan denaa 'aafi' sadmon ki fankaari hai"
Urdu

فرضی دعویدار ہے اپنی جو بھی یاری ہے میرے وعدے پر مت جا یہ بالکل سرکاری ہے وقت کو کوسو کے اس کی رگ رگ میں مکاری ہے اور بھلا کیا ہے جینا مرنے کی تیاری ہے اک بس تو ہی ہے تیرا باقی دنیا داری ہے اور تو کیا کرتے تنہا خود سے ہی جھک ماری ہے تم کو پڑھ کر بھول گیا دل بھی کیسا کاری ہے دل نے عشق کی ناکامی قسمت پر دے ماری ہے غم کو اماں دینا آفیؔ صدموں کی فن کاری ہے

Hindi

फ़र्ज़ी दा'वेदार है अपनी जो भी यारी है मेरे वादे पर मत जा ये बिल्कुल सरकारी है वक़्त को कोसो के उस की रग रग में मक्कारी है और भला क्या है जीना मरने की तय्यारी है इक बस तू ही है तेरा बाक़ी दुनिया दारी है और तो क्या करते तन्हा ख़ुद से ही झक मारी है तुम को पढ़ कर भूल गया दिल भी कैसा कारी है दिल ने इश्क़ की नाकामी क़िस्मत पर दे मारी है ग़म को अमाँ देना 'आٖफ़ी' सदमों की फ़नकारी है

farzī da.avedār hai
Aftab Shakeel
Aftab Shakeel
Aftab Shakeel
poet10 quotes

More by Aftab Shakeel

View all →
Quote
"yahaan-vahaan se idhar-udhar se na jaane kaise kahaan se nikle khushi se jiine ki justuju mein hazaar gham ek jaan se nikle ye kamtari bartari ke fitne ye aam-o-aalaa ke sard jhagDe hamin ne naazo se dil mein paale hamaare hi darmiyaan se nikle khulus ki guftugu to chhoDo kisi ko fursat nahin hai khud se miyaan ghanimat samajh lo shikve agar kisi ki zabaan se nikle jo baad muddat milaa kahin vo gile yuun aankhon se us ki ubhre ke jaise patthar sadi puraane kisi shikasta makaan se nikle ye shahr-e-gham ki gali gali mein jo khvaar phirte hain kuchh divaane kabhi hue hain jahaan se rusvaa kabhi tire aastaan se nikle"
Aftab ShakeelAftab Shakeel
Quote
"khush-mizaaji kaa dikhaavaa bhi nahin kar sakte ham vo kaahil hain jo itnaa bhi nahin kar sakte vo sunaate hain rihaai ke farize sab ko jo rihaa ek parinda bhi nahin kar sakte kitne majbur hain ham aam si shaklon vaale khud ko ijaad dobaara bhi nahin kar sakte chaahte hain jise dushman ki navaasi nikli ab to ham ishq adhuraa bhi nahin kar sakte is liye bantaa nahin tanz tamaashe pe mire yaan to kuchh log tamaasha bhi nahin kar sakte jism saanso ki sitamgaar ravaana se miyaan aisaa bikhraa hai ikaTThaa bhi nahin kar sakte"
Aftab ShakeelAftab Shakeel
Quote
"ishq ki umr jab uchhaal ki thi kyuun tamannaa tujhe zavaal ki thi do-Takaa thaa mire javaab kaa mol dhuum har su tire savaal ki thi dil jo TuuTaa to yaad aayaa hamein chiiz ye kitne dekh-bhaal ki thi thaa baDaa hijr kaa malaal magar kyaa karun baat hi malaal ki thi achchhe din vo bhi ab miyaan jaao ye kahaani to pichhle saal ki thi saath le aayaa apne khaamoshi aarzu jis ko bol chaal ki thi manzil-e-marg paa ke khatm hui uf ke dushvaariyaan bhi haal ki thi ham the maghrur naujavaan 'aafi' kuchh akaD un mein bhi jamaal ki thi"
Aftab ShakeelAftab Shakeel
Quote
"ajab maamul hai aavaargi kaa garebaan jhaankti hai har gali kaa na jaane kis tarah kaise khudaa ne bharosa kar liyaa thaa aadmi kaa abhi is vaqt hai jo kuchh hai varna koi lamha nahin maujudgi kaa mujhe tum se bichhaDne ke evaz mein vasila mil gayaa hai shaairi kaa zamin hai raqs mein suraj ki jaanib chhupaa kar jism aadhaa tirgi kaa main ik hi sath par Thahrungaa kaise utartaa chaDhtaa paani huun nadi kaa main miTTi gundh kar ye sochtaa huun mujhe fan aa gayaa kuza-gari kaa khaTak jaaungaa sofe ko tumhaare main banda baiThne vaalaa dari kaa main us manzar mein paayaa hi gayaa kab jahaan bhi zaaviya niklaa khushi kaa samundar jis ki aankhon kaa ho khaali vo kaise khvaab dekhe jal-pari kaa nikaalo kiil ko divaar mein se vagarna Taang lo photo kisi kaa"
Aftab ShakeelAftab Shakeel
Quote
"mausam-e-hijr mein zakhmon se ladaa rahtaa hai dil vo paudhaa ke jo patjhaD mein haraa rahtaa hai bas ye ik baat mujhe laati hai nazdik tire tu bhi to meri tarah khud se khafaa rahtaa hai tabsira itnaa hi kaafi hai mohabbat ke liye mukhtasar saude mein nuqsaan baDaa rahtaa hai ham se behtar hai muqaddar mein siyaah patthar jo ban ke surmaa tiri palkon se lagaa rahtaa hai kyaa qasida tire rukhsaar ke til kaa yuun samajh ik nagina hai anguThi mein jaDaa rahtaa hai dar-o-divaar sisakte hai kami par teri ghar mein khaamoshi kaa ik shor bapaa rahtaa hai us ki aankhein hai yaa aabaad kuein hai 'aafi' aab-e-gham jin mein musalsal hi bharaa rahtaa hai"
Aftab ShakeelAftab Shakeel
Quote
"collage kaa daalaan nahin hai pyaare zaalim duniyaa hai aur yahaan sach bolne vaalaa sach mein sab se jhuTaa hai main tere didaar ki khaatir aa jaataa huun khvaabon tak varna is lazzat ke alaava nindon mein kyaa rakkhaa hai chamkile kapDon se parkhaa mat kar insaani lahje gahre kuuein mein ujlaa paani kharaa bhi ho saktaa hai vaada kar ai dilkash laDki vasl se le kar hijr talak rishta chaahe jaisaa bhi ho kharcha apnaa apnaa hai main tere shikve bhi jaanaan bilkul aise suntaa huun jaise bachpan mein koi bachcha ghaur se qisse suntaa hai mere khafaa hone par us kaa vo ulTaa filmi jumla pyaar se Dar nahin lagtaa saahab thappaD se Dar lagtaa hai jab logo ne saudaai ki laash utaari tab bole ye to zinda mar hi chukaa thaa pankhe se kyuun laTkaa hai main is Dar se coffē piine tere saath nahin jaataa tujh ko to coffē ke bahaane mujh se laDnaa hotaa hai mujh ko bone the dil mein aur kisi ke gham 'aafi' lekin dil ki surkhi zamin par ab tak us kaa qabza hai"
Aftab ShakeelAftab Shakeel

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari