Quote
"chashm ko saunpi gai khidmat-e-khvaab dil pe taari hai ajab haalat-e-khvaab khvaab ab ke na haqiqat ho jaae ab ke aisi hai miri shiddat-e-khvaab main ne paDh li hain tiri bhi aankhein sirf mujh par na lagaa tohmat-e-khvaab tujh ko muzhda ho miri aankh ki ab mujh mein baaqi na rahi himmat-e-khvaab khvaab makhfi hi rahe sab se yahaan kaun kartaa hai bhalaa izzat-e-khvaab meri aankhon mein guhar hain kitne mujh ko haasil hai bahut daulat-e-khvaab tum ki jalvat se gurezaan ho bahut ab to aa jaao ki hai khalvat-e-khvaab us ke pahre hain miri aankhon par us ko maalum hai kyaa quvvat-e-khvaab kitnaa be-khvaab kiyaa hai tu ne chhoD pichhaa miraa ai aafat-e-khvaab bas kaleja hi chabaa jaati hai kitni khunkhaar hai ye vahshat-e-khvaab kaaenaat aur hayaat ai 'khaalid' khvaab mein jaise koi saaat-e-khvaab"
