SHAWORDS

gham-e-firaaq mein chehra niDhaal aisaa thaa — Arshad Nazar

HomeArshad NazarGhazal
"gham-e-firaaq mein chehra niDhaal aisaa thaa kuchh us ke saamne dil kaa savaal aisaa thaa javaab dene se qaasir the aaine saare vo ek chehra yahaan be-misaal aisaa thaa lahu ki aag mein itnaa tapaa ki TuuT gayaa mire badan mein bhi kuchh ishtiaal aisaa thaa hamaari subh yahaan kitni shab-gazida thi tulu-e-mehr kaa har-pal zavaal aisaa thaa ik intishaar kaa mausam hai saari basti mein lahu mein Duubaa huaa ab ke saal aisaa thaa koi na baat bani us ki anjuman mein 'nazar' faqih-e-shahr kaa jaah-o-jalaal aisaa thaa"
Urdu

غم فراق میں چہرہ نڈھال ایسا تھا کچھ اس کے سامنے دل کا سوال ایسا تھا جواب دینے سے قاصر تھے آئنے سارے وہ ایک چہرہ یہاں بے مثال ایسا تھا لہو کی آگ میں اتنا تپا کہ ٹوٹ گیا مرے بدن میں بھی کچھ اشتعال ایسا تھا ہماری صبح یہاں کتنی شب گزیدہ تھی طلوع مہر کا ہر پل زوال ایسا تھا اک انتشار کا موسم ٔہے ساری بستی میں لہو میں ڈوبا ہوا اب کے سال ایسا تھا کوئی نہ بات بنی اس کی انجمن میں نظرؔ فقیہ شہر کا جاہ و جلال ایسا تھا

Hindi

ग़म-ए-फ़िराक़ में चेहरा निढाल ऐसा था कुछ उस के सामने दिल का सवाल ऐसा था जवाब देने से क़ासिर थे आइने सारे वो एक चेहरा यहाँ बे-मिसाल ऐसा था लहू की आग में इतना तपा कि टूट गया मिरे बदन में भी कुछ इश्तिआ'ल ऐसा था हमारी सुब्ह यहाँ कितनी शब-गज़ीदा थी तुलू-ए-मेहर का हर-पल ज़वाल ऐसा था इक इंतिशार का मौसम है सारी बस्ती में लहू में डूबा हुआ अब के साल ऐसा था कोई न बात बनी उस की अंजुमन में 'नज़र' फ़क़ीह-ए-शहर का जाह-ओ-जलाल ऐसा था

ġham-e-firāq meñ chehra niDhāl aisā thā
Arshad Nazar
Arshad Nazar
Arshad Nazar
poet24 quotes

More by Arshad Nazar

View all →
Quote
"dhuup samundar sahraa main thaa apni zaat mein kyaa kyaa main thaa sho'le mein thi phuul ki khushbu phuul ke andar sho'la main thaa jaagti aankhein bhaagte manzar jaane kis kaa sapnaa main thaa buDhaa maanjhi TuuTi kashti apne safar mein tanhaa main thaa mere lahu se chaand thaa raushan tujh bin jaltaa saveraa main thaa baahar baahar thi khaamoshi andar andar chikhaa main thaa biich samundar sairaabi thi saahil saahil pyaasaa main thaa peD se uljhaa peD se lipTaa jaise havaa kaa jhonkaa main thaa ruup dhaar ke jogi jaisaa jangal jangal bhaTkaa main thaa manzil kab thi mere safar ki phir bhi safar mein rahtaa main thaa mere lab pe hansi thi lekin dard mein Duubaa naghma main thaa mujh ko dekho meri ghazal mein aap hi apnaa lahja main thaa"
Arshad NazarArshad Nazar
Quote
"be-dili se hi sahi naaz uThaao saahib kuchh na kuchh rasm-e-mohabbat to nibhaao saahib kab se bechain hai ye pyaas samundar ke liye jism ke sahraa ki aatish ko bujhaao saahib jins-e-baazaar mein qaanun bhi hai qaatil bhi bikne vaale hain sabhi daam lagaao saahib apne qad se jo main niklun to bikhar jaaungaa aaina-ghar kaa pata mujh ko bataao saahib dil ki basti kaa musaafir huun guzar jaane do tikhi nazron ke yuun pahre na lagaao saahib Thokarein khaa ke yunhi jaati hain sar-kash maujein zinda qaumon ki ye pahchaan bataao saahib dil ke jazbon se munavvar hain manaazir har su raakh ke Dher pe naghme na sunaao saahib ham ujaale hain andheron se guzar jaate hain tirgi raah ki kuchh aur baDhaao saahib koi chehra nahin sadiyon se tasavvur mein 'nazar' phir koi sham' in aankhon mein jalaao saahib"
Arshad NazarArshad Nazar
Quote
"koi na puchhe 'nazar' vajh-e-sarkashi ham se zamaane-bhar ne bahut ki hai dil-lagi ham se ayaan hai dard samandar kaa unchi lahron se chhupaa na paaeinge ashkon ko vo kabhi ham se kiran koi miri raaton mein aa gai hogi kuchh aur baDh gai suraj ki be-rukhi ham se jahaan ruki thi kabhi raah-e-zindagi aa kar vahin se paaegi ik moD zindagi ham se gae the abr-e-karam ban ke jaanib-e-sahraa kuchh aur baDh gai sahraa ki tishnagi ham se jo kal talak hamein taarik-tar samajhte the vo aaj aae hain lene ko raushni ham se"
Arshad NazarArshad Nazar
Quote
"khud-aagahi ke liye bahr-e-bekaraan mein utar shanaavari kaa hunar hai to jism-o-jaan mein utar har ek baat mujhe be-yaqin si lagti hai yaqin ban ke miri zaat-e-be-gumaan mein utar main dhuup dhuup ghani pyaas pi chukaa huun bahut kabhi to abr-e-ravaan dasht-e-be-karaan mein utar har ek lamha gurezaan saa lag rahaa hai mujhe kabhi to shoala-e-khanjar ghubaar-e-jaan mein utar nikal ke yaas ki in sard sard lahron se ai zindagi tu har ik shoala-e-javaan mein utar chamak uTheinge andheron mein anginat suraj tu barq ban ke mire qalb-e-naa-tavaan mein utar tujhe bhi karb ke dariyaa mein main Dubo dungaa jo ho sake to miri chashm-e-khun-fishaan mein utar har ek lamha hai tegh-e-sitam to kyaa gham hai daraaz-dasti-e-qaatil ke imtihaan mein utar faqih-e-shahr se qat-e-nazar kabhi to 'nazar' tu mere ashk ki be-harf daastaan mein utar"
Arshad NazarArshad Nazar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil