"divaaron mein dar hotaa to achchhaa thaa apnaa koi ghar hotaa to achchhaa thaa us kaa rangin aanchal oDh ke so jaate aur aisaa aksar hotaa to achchhaa thaa rang aa jaate muTThi mein jugnu ban kar khushbu kaa paikar hotaa to achchhaa thaa baadal parbat jharne peD parinde chup vo bhi saath agar hotaa to achchhaa thaa kyuun aavaara phirte suuni galiyon mein koi agar ghar par hotaa to achchhaa thaa"
gham kaa mausam biit gayaa so ronaa kyaa — Afzaal Firdaus
"gham kaa mausam biit gayaa so ronaa kyaa kal ke gham ko aaj ke din mein bonaa kyaa Thiik hai ham ik-dusre ke mahbub nahin lekin mere dost to ab bhi honaa kyaa aur bahut se kaam paDe hain karne ke ashkon ke sat-range haar pironaa kyaa jis ko meri haalat kaa ehsaas nahin us ko dil kaa haal sunaa kar ronaa kyaa be-shak saari raat kaTi hai aankhon mein ab ujyaaraa phail gayaa to sonaa kyaa tum ne hanste hanste naata toD liyaa lekin sach sach batlaao khush honaa kyaa"
غم کا موسم بیت گیا سو رونا کیا کل کے غم کو آج کے دن میں بونا کیا ٹھیک ہے ہم اک دوسرے کے محبوب نہیں لیکن میرے دوست تو اب بھی ہونا کیا اور بہت سے کام پڑے ہیں کرنے کے اشکوں کے ست رنگے ہار پرونا کیا جس کو میری حالت کا احساس نہیں اس کو دل کا حال سنا کر رونا کیا بے شک ساری رات کٹی ہے آنکھوں میں اب اجیارا پھیل گیا تو سونا کیا تم نے ہنستے ہنستے ناطہ توڑ لیا لیکن سچ سچ بتلاؤ خوش ہونا کیا
ग़म का मौसम बीत गया सो रोना क्या कल के ग़म को आज के दिन में बोना क्या ठीक है हम इक-दूसरे के महबूब नहीं लेकिन मेरे दोस्त तो अब भी होना क्या और बहुत से काम पड़े हैं करने के अश्कों के सत-रंगे हार पिरोना क्या जिस को मेरी हालत का एहसास नहीं उस को दिल का हाल सुना कर रोना क्या बे-शक सारी रात कटी है आँखों में अब उजयारा फैल गया तो सोना क्या तुम ने हँसते हँसते नाता तोड़ लिया लेकिन सच सच बतलाओ ख़ुश होना क्या

More by Afzaal Firdaus
View all →"kar bhi luun agar khvaab ki taabir koi aur siine mein utar jaaegi shamshir koi aur ab ashk tire rok nahin paaeinge mujh ko ab Daal mire paanv mein zanjir koi aur main shab se nahin din ki halaakat se Daraa huun ab mere liye bhejnaa tanvir koi aur ab teri mohabbat se bhi kuchh kaam na hogaa ab DhunD mare vaaste iksir koi aur ai mere musavvir nahin ye main to nahin huun ye tu ne banaa Daali hai tasvir koi aur is baar mujhe ishq kaa aazaar nahin hai is baar mohabbat mein hai dil-gir koi aur"
"dariche mein sitaaraa jaagtaa hai miraa kamra bhi saaraa jaagtaa hai samundar aur maanjhi so gae hain samundar kaa kinaaraa jaagtaa hai shikaari ghaat mein baiThe hue hain saraasima chikaaraa jaagtaa hai ajab bechainiyaan phaili hui hain ki shab bhar shahr saaraa jaagtaa hai tumhein mil jaae to us ko bataanaa koi qismat kaa maaraa jaagtaa hai thake haare musaafir so gae hain faqat qutbi sitaaraa jaagtaa hai"
"Duub gayaa hai ek sitaara aankhon mein Thahar gayaa hai naqsh tumhaaraa aankhon mein pathraai hain aankhein gham ki shiddat se rukaa huaa hai mausam saaraa aankhon mein vo logon ke saath hansi mein shaamil thi phail gayaa lekin maskaaraa aankhon mein main ne us ki aankhon mein chehra dekhaa us ne apnaa ruup sanvaaraa aankhon mein bahut dinon se ham ko niind nahin aai tum ne kaisaa khvaab utaaraa aankhon mein chaaron jaanib paani ki pahnaai hai kahin nahin hai koi kinaaraa aankhon mein liye hue phirtaa huun ek zamaane se tere chehre kaa lashkaaraa aankhon mein"
"main khaak mein mile hue gulaab dekhtaa rahaa aur aane vaale mausamon ke khvaab dekhtaa rahaa kisi ne mujh se kah diyaa thaa zindagi pe ghaur kar main shaakh par khilaa huaa gulaab dekhtaa rahaa khaDaa thaa main samundaron ko ok mein liye hue magar ye shakhs ajiib thaa saraab dekhtaa rahaa vo us kaa mujh ko dekhnaa bhi ik tilism thaa magar main aur ik jahaan pas-e-naqaab dekhtaa rahaa vo gahri niind soi thi main niind se laDaa huaa so raat bhar sahaab o maahtaab dekhtaa rahaa siyaah raat mein rafiq dushmanon se jaa mile main hauslon ki TuTti tanaab dekhtaa rahaa"
"jab apnon se duur paraae des mein rahnaa paDtaa hai saan-gumaan na hon jis kaa vo dukh bhi sahnaa paDtaa hai khud ko maarnaa paDtaa hai is aaTe daal ke chakkar mein do kauDi ke aadmi ko bhi saahab kahnaa paDtaa hai banjar hoti jaati ho jab pal pal yaadon ki vaadi dariyaa ban kar apni hi aaankhon se bahnaa paDtaa hai mahrumi ki chaadar oDhe tanhaa qaidi ki maanind khaalam-khaali divaaron ke andar rahnaa paDtaa hai baatein karni paDti hain divaar pe baiThe kavve se is chiDiyaa se saare din kaa qissa kahnaa paDtaa hai"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"