"phulon se bahaaron mein judaa the to hamin the kaanTon ki chubhan pe bhi fidaa the to hamin the baazaar-e-tamannaa mein to har shakhs magan thaa har moD pe duniyaa se khafaa the to hamin the jis but ko tasavvur mein khudaa maan liyaa thaa us but ki nigaahon mein khudaa the to hamin the ahbaab ko haalaat ki saazish kaa gilaa thaa har haal mein raazi-ba-razaa the to hamin the girti hui divaar kaa saaya thaa tiraa saath phir bhi tiri baahon se judaa the to hamin the aaina-e-ayyaam ki rangin fazaa mein ai 'raaz' giraftaar-e-balaa the to hamin the"
gham ke baadal dil-e-naashaad pe aise chhaae — Athar Raz
"gham ke baadal dil-e-naashaad pe aise chhaae saaya-e-gul mein bhi hamraaz na hansne paae yuun tasavvur mein dabe paanv tiri yaad aai jis tarah shaam ki baanhon mein sitaare aae vaqt ki dhuup mein ham saaya-e-hasrat ban kar do ghaDi ku-e-tamannaa mein na chalne paae zindagi mauj-e-talaatum ki tarah ruk na saki yuun to har moD pe tufaan hazaaron aae is se manzil kaa pata puchh rahi hai duniyaa jis kaa manzil ke tasavvur se bhi ji ghabraae 'raaz' ehsaas ke aangan mein hon tanhaa tanhaa ghup andheraa hai magar saath hain gham ke saae"
غم کے بادل دل ناشاد پہ ایسے چھائے سایۂ گل میں بھی ہم راز نہ ہنسنے پائے یوں تصور میں دبے پاؤں تری یاد آئی جس طرح شام کی بانہوں میں ستارے آئے وقت کی دھوپ میں ہم سایۂ حسرت بن کر دو گھڑی کوئے تمنا میں نہ چلنے پائے زندگی موج تلاطم کی طرح رک نہ سکی یوں تو ہر موڑ پہ طوفان ہزاروں آئے اس سے منزل کا پتہ پوچھ رہی ہے دنیا جس کا منزل کے تصور سے بھی جی گھبرائے رازؔ احساس کے آنگن میں ہوں تنہا تنہا گھپ اندھیرا ہے مگر ساتھ ہیں غم کے سائے
ग़म के बादल दिल-ए-नाशाद पे ऐसे छाए साया-ए-गुल में भी हमराज़ न हँसने पाए यूँ तसव्वुर में दबे पाँव तिरी याद आई जिस तरह शाम की बाँहों में सितारे आए वक़्त की धूप में हम साया-ए-हसरत बन कर दो घड़ी कू-ए-तमन्ना में न चलने पाए ज़िंदगी मौज-ए-तलातुम की तरह रुक न सकी यूँ तो हर मोड़ पे तूफ़ान हज़ारों आए इस से मंज़िल का पता पूछ रही है दुनिया जिस का मंज़िल के तसव्वुर से भी जी घबराए 'राज़' एहसास के आँगन में हों तन्हा तन्हा घुप अंधेरा है मगर साथ हैं ग़म के साए
More by Athar Raz
View all →"jiinaa hai to jiine kaa sahaaraa bhi to hogaa hamdam miri qismat kaa sitaara bhi to hogaa ye soch ke is shahr mein ham aae the shaayad ai jaan-e-talab koi hamaaraa bhi to hogaa ham ishq ki manzil mein khataa-vaar hain lekin pahle tiri jaanib se ishaara bhi to hogaa ham gardish-e-girdaab-e-alam se nahin Darte tufaan hai agar aaj kinaara bhi to hogaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"