Quote
"phulon se bahaaron mein judaa the to hamin the kaanTon ki chubhan pe bhi fidaa the to hamin the baazaar-e-tamannaa mein to har shakhs magan thaa har moD pe duniyaa se khafaa the to hamin the jis but ko tasavvur mein khudaa maan liyaa thaa us but ki nigaahon mein khudaa the to hamin the ahbaab ko haalaat ki saazish kaa gilaa thaa har haal mein raazi-ba-razaa the to hamin the girti hui divaar kaa saaya thaa tiraa saath phir bhi tiri baahon se judaa the to hamin the aaina-e-ayyaam ki rangin fazaa mein ai 'raaz' giraftaar-e-balaa the to hamin the"
A
Athar Raz