"le ke phir zakhmon ki saughaat bahaaro aao chashm-e-pur-nam ke muqaabil to phuhaaro aao chand tinkon kaa jalaanaa to baDi baat nahin azm ko mere jalaao to sharaaro aao gham kaa sailaab ghazab dil ki shikasta kashti mauj ke saath hi yaadon ke kinaaro aao takte rahte ho kise duur se hairaani se dil ke sahraa mein kabhi chaand sitaaro aao aamad-e-yaar ho har samt kanval khulte huun khvaab mein hi kabhi rangin nazaaro aao"
gham ke baadal hain ye Dhal jaaeinge rafta rafta — Ahmad Shahid Khan
"gham ke baadal hain ye Dhal jaaeinge rafta rafta diip har gaam pe jal jaaeinge rafta rafta aabla-paai hi kaafi hai tiraa rakht-e-safar khaar khud gul mein badal jaaeinge rafta rafta tuur par aa ke zaraa aap uThaaein to naqaab sang-e-dil ban ke pighal jaaeinge rafta rafta chashm-e-saaqi se kahaan pi hai ki gir kar na uThein jaam se pi hai sambhal jaaeinge rafta rafta na sahi vasl koi vasl kaa vaada to kare ham to is par hi bahal jaaeinge rafta rafta"
غم کے بادل ہیں یہ ڈھل جائیں گے رفتہ رفتہ دیپ ہر گام پہ جل جائیں گے رفتہ رفتہ آبلہ پائی ہی کافی ہے ترا رخت سفر خار خود گل میں بدل جائیں گے رفتہ رفتہ طور پر آ کے ذرا آپ اٹھائیں تو نقاب سنگ دل بن کے پگھل جائیں گے رفتہ رفتہ چشم ساقی سے کہاں پی ہے کہ گر کر نہ اٹھیں جام سے پی ہے سنبھل جائیں گے رفتہ رفتہ نہ سہی وصل کوئی وصل کا وعدہ تو کرے ہم تو اس پر ہی بہل جائیں گے رفتہ رفتہ
ग़म के बादल हैं ये ढल जाएँगे रफ़्ता रफ़्ता दीप हर गाम पे जल जाएँगे रफ़्ता रफ़्ता आबला-पाई ही काफ़ी है तिरा रख़्त-ए-सफ़र ख़ार ख़ुद गुल में बदल जाएँगे रफ़्ता रफ़्ता तूर पर आ के ज़रा आप उठाएँ तो नक़ाब संग-ए-दिल बन के पिघल जाएँगे रफ़्ता रफ़्ता चश्म-ए-साक़ी से कहाँ पी है कि गिर कर न उठें जाम से पी है सँभल जाएँगे रफ़्ता रफ़्ता न सही वस्ल कोई वस्ल का वा'दा तो करे हम तो इस पर ही बहल जाएँगे रफ़्ता रफ़्ता
More by Ahmad Shahid Khan
View all →"saaraa aalam dhuaan dhuaan kyuun hai har taraf aah aur fughaan kyuun hai band hai aaj kyaa dar-e-rahmat har duaa meri raaegaan kyuun hai pi liyaa kyaa sitam ne aab-e-hayaat khauf se band har zabaan kyuun hai saath chalti hai mere har jaanib is qadar barq mehrbaan kyuun hai aa ke saahil pe kaun Duub gayaa mauj ki har adaa javaan kyuun hai jism hai ruuh mar chuki kab ki marg pe ziist kaa gumaan kyuun hai jab fanaa hi nasib hai sab kaa phir ye hangaama-e-jahaan kyuun hai"
"duniyaa sabhi baatil ki talabgaar lage hai jis ruuh ko dekho vahi bimaar lage hai jab bhuuk se mar jaataa hai doraahe pe koi basti kaa har ik shakhs gunahgaar lage hai shaayad nai tahzib ki mearaaj yahi hai haq-go hi zamaane mein khataa-kaar lage hai vo teri vafaa ki ho ki duniyaa ki jafaa ki mat chheD koi baat ki talvaar lage hai kyaa zarf hai har zulm pe khaamosh hai duniyaa is daur kaa insaan pur-asraar lage hai jis ne kabhi dariyaa kaa talaatum nahin dekhaa saahil bhi use duur se manjhdaar lage hai"
"jab tak ghubaar-e-raah miraa ham-safar rahaa rasta to thaa tavil magar mukhtasar rahaa har chand ho gayaa hai surayyaa se bhi buland lekin shajar jafaa kaa sadaa be samar rahaa ahl-e-junun ne toD diye vo hisaar bhi hosh-o-khirad kaa tesha jahaan be-zarar rahaa ye mai-kada hai jaae ibaadat hai rind ki duniyaa kaa har fareb yahaan be asar rahaa fasl-e-khizaan mein is kaa koi tazkira nahin sadiyon talak bahaar kaa jo raahbar rahaa"
"dil ki khvaahish baDhte baDhte tufaan hoti jaati hai zar ki chaahat ab logon kaa imaan hoti jaati hai pyaar mohabbat hamdardi ke rishte the insaanon mein dil vaalon ko ab ye duniyaa zindaan hoti jaati hai marghaT kaa saa sannaaTaa hai ghar kuche baazaaron mein dil ki basti rafta rafta viraan hoti jaati hai insaanon ke khuun ke pyaase aur nahin khud insaan hain aql bichaari dekh ke duniyaa hairaan hoti jaati hai jhuTe vaade sunte sunte sapne chaknaa-chur hue maayusi be-zaari dil mein mehmaan hoti jaati hai"
"junun ki rasm zamaane mein aam ho na saki havas thi chaah vafaa ki ghulaam ho na saki likhe the daar-o-rasan jis kisi ki qismat mein phir us ki zulf ke saae mein shaam ho na saki miri udaasi kaa baais shab-e-firaaq nahin basar ye raat ba-sad-ehtimaam ho na saki miri nigaah uThi hi rahi su-e-jaanaan tajalliyon mein ghiri ham-kalaam ho na saki ravaa jahaan ko ki majnun ko sangsaar kare qabaa-e-zist junun ki niyaam ho na saki khirad ki baat bhi sunte kahaan mili fursat junun ki baat lahad tak tamaam ho na saki"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"