SHAWORDS

ghabraae hue log hain anjaane se Dar se — Basudeo Agarwal Naman

"ghabraae hue log hain anjaane se Dar se har ek bashar khauf-zada duuje bashar se dubhar hai yahaan aaj to baahar hi nikalnaa mahfuz nahin koi zamaane ki nazar se anjaani Dagar lagne lagi ab mujhe aasaan kuchh log abhi lauT ke aae hain safar se bedard piyaa jaisaa tu kyon abr banaa hai kab se hi lagaa aas zamin baiThi tu barse itni to uThaa le o naman apni khudi ko dushman bhi tiraa karne ko yaari tiri tarse"
Urdu

گھبرائے ہوئے لوگ ہیں انجانے سے ڈر سے ہر ایک بشر خوف زدہ دوجے بشر سے دوبھر ہے یہاں آج تو باہر ہی نکلنا محفوظ نہیں کوئی زمانے کی نظر سے انجانی ڈگر لگنے لگی اب مجھے آساں کچھ لوگ ابھی لوٹ کے آئے ہیں سفر سے بے درد پیا جیسا تو کیوں ابر بنا ہے کب سے ہی لگا آس زمیں بیٹھی تو برسے اتنی تو اٹھا لے او نمن اپنی خودی کو دشمن بھی ترا کرنے کو یاری تری ترسے

Hindi

घबराए हुए लोग हैं अनजाने से डर से हर एक बशर ख़ौफ़-ज़दा दूजे बशर से दूभर है यहाँ आज तो बाहर ही निकलना महफ़ूज़ नहीं कोई ज़माने की नज़र से अनजानी डगर लगने लगी अब मुझे आसाँ कुछ लोग अभी लौट के आए हैं सफ़र से बेदर्द पिया जैसा तू क्यों अब्र बना है कब से ही लगा आस ज़मीं बैठी तू बरसे इतनी तो उठा ले ओ नमन अपनी ख़ुदी को दुश्मन भी तिरा करने को यारी तिरी तरसे

ghabrā.e hue log haiñ anjāne se Dar se
Basudeo Agarwal Naman
Basudeo Agarwal Naman
Basudeo Agarwal Naman
poet3 quotes

More by Basudeo Agarwal Naman

View all →
Quote
"DhunDhun bhalaa khudaa ki main rahmat kahaan kahaan ab kyaa bataaun us ki inaayat kahaan kahaan sahraa nadi pahaaD samundar ye dasht sab dikhlaae sab khudaa ki ye vusat kahaan kahaan har samt har tarah ke dikhe us ke moajize jaise khudaa ne likh di ibaarat kahaan kahaan saavan mein sabziyat se hai sairaab ye fazaa bahlaaun main ilaahi tabiat kahaan kahaan koi na jaan paayaa khudaa ki khudaai ko ye gham kahaan kahaan ye masarrat kahaan kahaan andar zaraa to jhaankte apne ko bhuul kar baahar khudaa ki DhunDhte surat kahaan kahaan rutba hai zindagaani-o-niyyat khudaa se tai insaan phir bhi kartaa mashaqqat kahaan kahaan insaaniyat ataa to ki insaan ko khudaa phailaa rahaa vo dekh tu dahshat kahaan kahaan kahtaa naman ki ek khudaa hai jahaan mein jaise bhi phir ho us ki ibaadat kahaan kahaan"
Basudeo Agarwal NamanBasudeo Agarwal Naman
Quote
"gardish mein sitaare hon jis ke duniyaa ko bhalaa kab bhaataa hai vo laakh paTak le sar apnaa par jag se sazaa hi paataa hai muflis kaa bhi jiinaa kyaa jiinaa jo ghunT lahu ke pi jaae jitnaa vo jhuke jag ke aage utni hi vo Thokar khaataa hai ai dard chalaa jaa aur kahin is dil ko bhi thoDi raahat ho kyon uTh ke gharibon ke dar se mujh ko hi sadaa taDpaataa hai itnaa bhi na achchhaa vahshi-pan daulat ke nashe mein paagal sun jo hai na kabhi Tikne vaali us chiiz pe kyon itraataa hai bhejaa thaa banaa jis ko rahbar par pesh vo rahzan saa aayaa ab kaise yaqin us par kar lein jo rang badal phir aataa hai maanaa ki jahaan naayaab khudaa kaarigari hai is mein teri par dil ko manaaein kaise ham rah kar jo yahaan ghabraataa hai ye shauq naman ne paalaa hai dukh dard pirotaa ghazlon mein bedard zamaane par hanstaa mazlum pe aansu laataa hai"
Basudeo Agarwal NamanBasudeo Agarwal Naman

More on Khudi

View all →
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar