SHAWORDS

ghonsle raakh ho gae jal ke — Ajeet Singh Hasrat

"ghonsle raakh ho gae jal ke miT gae sab nishaan jangal ke aag barsaa ke uD gayaa baadal par nikal aae muue baadal ke chithDe oDh kar jo sotaa huun khvaab aate hain mujh ko makhmal ke saanp un se lipaT gae aksar ham ne boe the peD sandal ke jis mein insaaniyat nahin rahti ham darinde hain aise jangal ke jo havaa par savaar ho saahab kab vo chaltaa hai saath paidal ke aao bachchon kaa ehtiraam karein ye to vaaris hain saahibo kal ke apnaa haq baDh ke chhin lo yaaro yuun dikhaao na haath mal mal ke kuchh bataataa nahin tiraa 'hasrat' jaane ab dil mein kyaa hai paagal ke"
Urdu

گھونسلے راکھ ہو گئے جل کے مٹ گئے سب نشان جنگل کے آگ برسا کے اڑ گیا بادل پر نکل آئے موئے بادل کے چیتھڑے اوڑھ کر جو سوتا ہوں خواب آتے ہیں مجھ کو مخمل کے سانپ ان سے لپٹ گئے اکثر ہم نے بوئے تھے پیڑ صندل کے جس میں انسانیت نہیں رہتی ہم درندے ہیں ایسے جنگل کے جو ہوا پر سوار ہو صاحب کب وہ چلتا ہے ساتھ پیدل کے آؤ بچوں کا احترام کریں یہ تو وارث ہیں صاحبو کل کے اپنا حق بڑھ کے چھین لو یارو یوں دکھاؤ نہ ہاتھ مل مل کے کچھ بتاتا نہیں ترا حسرتؔ جانے اب دل میں کیا ہے پاگل کے

Hindi

घोंसले राख हो गए जल के मिट गए सब निशान जंगल के आग बरसा के उड़ गया बादल पर निकल आए मूए बादल के चीथड़े ओढ़ कर जो सोता हूँ ख़्वाब आते हैं मुझ को मख़मल के साँप उन से लिपट गए अक्सर हम ने बोए थे पेड़ संदल के जिस में इंसानियत नहीं रहती हम दरिंदे हैं ऐसे जंगल के जो हवा पर सवार हो साहब कब वो चलता है साथ पैदल के आओ बच्चों का एहतिराम करें ये तो वारिस हैं साहिबो कल के अपना हक़ बढ़ के छीन लो यारो यूँ दिखाओ न हाथ मल मल के कुछ बताता नहीं तिरा 'हसरत' जाने अब दिल में क्या है पागल के

ghoñsle raakh ho ga.e jal ke
Ajeet Singh Hasrat
Ajeet Singh Hasrat
Ajeet Singh Hasrat
poet39 quotes

More by Ajeet Singh Hasrat

View all →
Quote
"jab meraa ghar bahisht si gul-vaadiyon mein thaa us vaqt main ghiraa huaa shahzaadiyon mein thaa vo din havaa hue vo zamaane guzar gae bande kaa jab qayaam pari-zaadiyon mein thaa yak baar jo ujaD gae baste hue nagar lagtaa hai koi bhuut bhi in vaadiyon mein thaa baiThaa thaa jis pe main ne vahi shaakh kaaT di khud meraa haath hi miri barbaadiyon mein thaa sad shukr hai ki mujh pe nigaah-e-karam paDi kab se udaas baiThaa main fariyaadiyon mein thaa apne banaae jaal mein khud phans ke rah gayaa masruf meraa yaar jo ustaadiyon mein thaa 'hasrat' zaraa si bhuul hamein qaid kar gai vo lutf ab kahaan hai jo aazaadiyon mein thaa"
Ajeet Singh HasratAjeet Singh Hasrat
Quote
"dhuaan sifat huun khalaaon kaa hai safar mujh ko uDaa rahi hain havaaein idhar udhar mujh ko main us ki aankh se gir kar vajud kho baiThaa vo DhunDhtaa hai bhalaa kyuun Dagar Dagar mujh ko javaan hon hausle jis ke vo mere saath chale kaDakti dhuup mein sahraa kaa hai safar mujh ko badan ko chhoD ke teri talaash mein niklaa na rok paaeinge raste mein bahr-o-bar mujh ko abhi kuchh aur tiri justuju rulaaegi abhi kuchh aur bhaTaknaa hai dar-ba-dar mujh ko vo shokh shokh si panhaariyaan kidhar ko gaiin udaas kar gai panghaT ki rahguzar mujh ko junun ke adnaa ishaare pe chaunk jaataa huun khirad ki baat kaa hotaa nahin asar mujh ko main aasmaan ki bulandi ko raund aayaa huun zamin vaalon ne samjhaa shikasta-par mujh ko usi ne yaad dilaai hai aaj gautam ki rishi lagaa hai ye sukhaa huaa shajar mujh ko miTaa rahe hain mujhe mere qaari-o-naaqid kisi ne samjhaa kahaan harf-e-mo'tabar mujh ko main apne vaqt kaa mansur bhi nahin 'hasrat' ye log kis liye laae hain daar par mujh ko"
Ajeet Singh HasratAjeet Singh Hasrat
Quote
"guzre jidhar se nuur bikhere chale gae vo ham-safar hue to andhere chale gae ab main huun aur shiddat-e-gham ki hai tez dhuup un gesuon ke saae ghanere chale gae mere tafakkuraat ko Dasti rahi thi jo naagin chali gai vo sapere chale gae ummid ke shajar pe vo halchal nahin rahi chiDiyaan gaiin to rain basere chale gae andhe safar ko ghar se main niklaa thaa dosto aai jab un ki yaad andhere chale gae aatish ne mere ghar ko jalaayaa to kyaa huaa kuchh der ke liye to andhere chale gae 'hasrat' main be-qaraar huun luTne ke vaaste jaane kahaan hasin luTere chale gae"
Ajeet Singh HasratAjeet Singh Hasrat
Quote
"zamaane ho gae tere karam ki aas lagi qarib-e-mai-kada sahraa si mujh ko pyaas lagi lahu rulaate hain mujh ko suhaavne manzar chaTakti chaandni tere binaa udaas lagi na us mein mai hai na paani to pyaas kaise bujhe ye zindagi mujhe TuuTaa huaa gilaas lagi ye garm garm se aansu bataa rahe hain yahi zarur aag kahin dil ke aas-paas lagi yahaan to koi bhi maalik nahin mire saahab tamaam khalq mujhe khvaahishon ki daas lagi jahez naam hi se rang uD gayaa us kaa gharib baap ki beTi jahaan-shanaas lagi kaDakti dhuup mein chal to paDi dulhan 'hasrat' qadam qadam pe use raaste mein pyaas lagi"
Ajeet Singh HasratAjeet Singh Hasrat
Quote
"aakhiri ummid bhi aankhon se chhalkaae hue kaun si jaanib chale hain tere Thukraae hue apni galiyaan apni basti bhuul baiThaa hai vo chaand ek yug guzraa hai us ko nuur barsaae hue justuju vaale tumhaari raah mein mar miT gae ek muddat se tumhein pardes hain bhaae hue ai bahaar-e-zindagi ab der hai kis baat ki baasi phulon ki tarah hain bakht murjhaae hue duur jaa niklaa kahin suraj hamaare shahr kaa raat bhaagi aa rahi hai shaam ke saae hue but banaa baiThaa rahaa 'hasrat' huzur-e-husn mein kah gae apni zabaan mein ashk tharraae hue"
Ajeet Singh HasratAjeet Singh Hasrat
Quote
"ye kis liye hai tu itnaa udaas darvaaze pahan liyaa hai jo kaalaa libaas darvaaze tu shaam-rang huaa jaa rahaa hai subh se kyuun jhalakti hai tiri surat se yaas darvaaze nihaarte ho ye kis kis ko nim-vaa ho kar paraae des mein kaisi ye aas darvaaze hinaai haath ke vo lams chhin gae jin se bane hue hain saraapaa sipaas darvaaze makin makaan mein na hogaa to phir kahaan hogaa yahin kahin hai tire aas-paas darvaaze libaas aur hai lekin main koi aur nahin mujhe tu bhuul gayaa ru-shanaas darvaaze mujhe bhi hairat-o-'hasrat' ne but banaa Daalaa tujhe bhi zindagi aai na raas darvaaze"
Ajeet Singh HasratAjeet Singh Hasrat

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil