"basit-e-dasht ki hurmat ko baam-o-dar de de mire khudaayaa mujhe bhi to ek ghar de de bashaaraton ke sahife utaar aankhon par tilsim-e-shab ke kalas toD kar sahar de de main teraa naam likhungaa ridaa-e-kaaba par qalam nasib hai, alfaaz mo'tabar de de ruke hue hain khule paaniyon pe barson se havaaein khol de aur taaqat-e-safar de de har ek shakhs ki patthar uThaae phirtaa hai ik aaina hi mire shahar ko agar de de bikhar gayaa huun bichhaD ke khalaaon mein 'ashraf' ab aae, vo mujhe mujh ko sameT kar de de"
gul-e-khurshid khilaaungaa chalaa jaaungaa — Ashraf Javed
"gul-e-khurshid khilaaungaa chalaa jaaungaa subh se haath milaaungaa chalaa jaaungaa ab to chalnaa hai kisi aur hi raftaar ke saath jism bistar pe giraaungaa chalaa jaaungaa aabla-paai hai rusvaai hai raat aai hai daaman ek ik se chhuDaaungaa chalaa jaaungaa hijr sadiyon ke tahayyur ki girah kholegaa ik zamaane ko rulaaungaa chalaa jaaungaa bas tujhe dekhungaa aate hue apni jaanib phuul qadmon mein bichhaaungaa chalaa jaaungaa ishq bhi husn mein zam hotaa dikhaaungaa tujhe jab diyaa raqs mein laaungaa chalaa jaaungaa jis taraf bhuul ke bhi dekhaa nahin aaj talak qadam us samt baDhaaungaa chalaa jaaungaa"
گل خورشید کھلاؤں گا چلا جاؤں گا صبح سے ہاتھ ملاؤں گا چلا جاؤں گا اب تو چلنا ہے کسی اور ہی رفتار کے ساتھ جسم بستر پہ گراؤں گا چلا جاؤں گا آبلہ پائی ہے رسوائی ہے رات آئی ہے دامن ایک اک سے چھڑاؤں گا چلا جاؤں گا ہجر صدیوں کے تحیر کی گرہ کھولے گا اک زمانے کو رلاؤں گا چلا جاؤں گا بس تجھے دیکھوں گا آتے ہوئے اپنی جانب پھول قدموں میں بچھاؤں گا چلا جاؤں گا عشق بھی حسن میں ضم ہوتا دکھاؤں گا تجھے جب دیا رقص میں لاؤں گا چلا جاؤں گا جس طرف بھول کے بھی دیکھا نہیں آج تلک قدم اس سمت بڑھاؤں گا چلا جاؤں گا
गुल-ए-ख़ुर्शीद खिलाऊँगा चला जाऊँगा सुब्ह से हाथ मिलाऊँगा चला जाऊँगा अब तो चलना है किसी और ही रफ़्तार के साथ जिस्म बिस्तर पे गिराऊँगा चला जाऊँगा आबला-पाई है रुस्वाई है रात आई है दामन एक इक से छुड़ाऊँगा चला जाऊँगा हिज्र सदियों के तहय्युर की गिरह खोलेगा इक ज़माने को रुलाऊँगा चला जाऊँगा बस तुझे देखूँगा आते हुए अपनी जानिब फूल क़दमों में बिछाऊँगा चला जाऊँगा इश्क़ भी हुस्न में ज़म होता दिखाऊँगा तुझे जब दिया रक़्स में लाऊँगा चला जाऊँगा जिस तरफ़ भूल के भी देखा नहीं आज तलक क़दम उस सम्त बढ़ाऊँगा चला जाऊँगा

More by Ashraf Javed
View all →"badal ke dekh liye zaaviye uDaanon ke khirad se tai na hue faasle zamaanon ke samundaron ke tamavvuj, nahang, vusatein, khauf kahaan pe hausle TuuTe hain baadbaanon ke falak se roz utarte hain raushni ke khutut magar na chamke muqaddar gharib-khaanon ke khizaan kaa zahr saraayat huaa hai rag rag mein gulaab-chehre hue zard gulsitaanon ke tulu-e-subh ke aasaar ufuq pe hain shaayad charaagh bujhne lage hain itaab-khaanon ke kiran kaa neza liye haath mein chalo 'ashraf' hain dev raaste mein barf ki chaTaanon ke"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"