SHAWORDS

haae kis darja be-makaan huun main — Aarif Akhtar Naqvi

"haae kis darja be-makaan huun main do zamaanon ke darmiyaan huun main jo likhi jaa rahi hai kal ke liye vo adhuri si daastaan huun main jis ki qimat nahin hai ab koi us rivaayat kaa paasbaan huun main aaina dekh kar ye sochtaa huun kuchh haqiqat huun ki gumaan huun main zindagi ab to mujh ko jaane de kab se masruf-e-imtihaan huun main giit gaaye the jis ki ulfat ke usi nagri mein be-amaan huun main jiit aakhir mein haq ki honaa hai haan abhi itnaa khush-gumaan huun main"
Urdu

ہائے کس درجہ بے مکان ہوں میں دو زمانوں کے درمیان ہوں میں جو لکھی جا رہی ہے کل کے لئے وہ ادھوری سی داستان ہوں میں جس کی قیمت نہیں ہے اب کوئی اس روایت کا پاسبان ہوں میں آئینہ دیکھ کر یہ سوچتا ہوں کچھ حقیقت ہوں کہ گمان ہوں میں زندگی اب تو مجھ کو جانے دے کب سے مصروف امتحان ہوں میں گیت گائے تھے جس کی الفت کے اسی نگری میں بے امان ہوں میں جیت آخر میں حق کی ہونا ہے ہاں ابھی اتنا خوش گمان ہوں میں

Hindi

हाए किस दर्जा बे-मकान हूँ मैं दो ज़मानों के दरमियान हूँ मैं जो लिखी जा रही है कल के लिए वो अधूरी सी दास्तान हूँ मैं जिस की क़ीमत नहीं है अब कोई उस रिवायत का पासबान हूँ मैं आईना देख कर ये सोचता हूँ कुछ हक़ीक़त हूँ कि गुमान हूँ मैं ज़िंदगी अब तो मुझ को जाने दे कब से मसरूफ़-ए-इम्तिहान हूँ मैं गीत गाए थे जिस की उल्फ़त के उसी नगरी में बे-अमान हूँ मैं जीत आख़िर में हक़ की होना है हाँ अभी इतना ख़ुश-गुमान हूँ मैं

haa.e kis darja be-makān huuñ maiñ
Aarif Akhtar Naqvi
Aarif Akhtar Naqvi
Aarif Akhtar Naqvi
poet6 quotes

More by Aarif Akhtar Naqvi

View all →

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi