SHAWORDS

haath se ret si phisalti hai — Prem Dhingra Bhatneri

"haath se ret si phisalti hai zindagi jab zaraa si milti hai khaaksaari ho jis ki fitrat mein us ko shohrat bhi khuub milti hai qurbaton faaslon mein gum ho kar zindagi phir kahaan sanbhalti hai aaj be-shak khizaan ke jalve hon baagh mein phir kali bhi khilti hai raat kahiye ki shama kahiye use rafta rafta ye umr Dhalti hai log naadaan hain kyaa samajhte hain kyaa vabaa chaar din mein Talti hai"
Urdu

ہاتھ سے ریت سی پھسلتی ہے زندگی جب ذرا سی ملتی ہے خاکساری ہو جس کی فطرت میں اس کو شہرت بھی خوب ملتی ہے قربتوں فاصلوں میں گم ہو کر زندگی پھر کہاں سنبھلتی ہے آج بے شک خزاں کے جلوہ ہوں باغ میں پھر کلی بھی کھلتی ہے رات کہیے کہ شمع کہیے اسے رفتہ رفتہ یہ عمر ڈھلتی ہے لوگ ناداں ہیں کیا سمجھتے ہیں کیا وبا چار دن میں ٹلتی ہے

Hindi

हाथ से रेत सी फिसलती है ज़िंदगी जब ज़रा सी मिलती है ख़ाकसारी हो जिस की फ़ितरत में उस को शोहरत भी ख़ूब मिलती है क़ुर्बतों फ़ासलों में गुम हो कर ज़िंदगी फिर कहाँ सँभलती है आज बे-शक ख़िज़ाँ के जल्वे हों बाग़ में फिर कली भी खिलती है रात कहिए कि शम्अ' कहिए उसे रफ़्ता रफ़्ता ये उम्र ढलती है लोग नादाँ हैं क्या समझते हैं क्या वबा चार दिन में टलती है

haath se ret sī phisaltī hai
Prem Dhingra Bhatneri
Prem Dhingra Bhatneri
Prem Dhingra Bhatneri
poet1 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb