SHAWORDS

hai kitnaa saliqa tiri guftaar ke andar — Dr. Yasin Aatir

"hai kitnaa saliqa tiri guftaar ke andar inkaar bhi poshida hai iqraar ke andar sachchaai bhi kahne ke tariqe hain bahut se par khaana-kharaabi mire izhaar ke andar us tarah se mastur mohabbat mire dil mein jaise ho koi daaera parkaar ke andar yaaro mujhe izzat mire allaah ne di hai tum khaamiyaan DhunDo mire kirdaar ke andar ye tamkanat-o-mansab-o-pindaar-o-raunat sab chhoD diyaa kucha-e-dildaar ke andar ab apne masihaa ko vo kis tarah bataae jo dard chhupaa hai kisi bimaar ke andar"
Urdu

ہے کتنا سلیقہ تری گفتار کے اندر انکار بھی پوشیدہ ہے اقرار کے اندر سچائی بھی کہنے کے طریقے ہیں بہت سے پر خانہ خرابی مرے اظہار کے اندر اس طرح سے مستور محبت مرے دل میں جیسے ہو کوئی دائرہ پرکار کے اندر یارو مجھے عزت مرے اللہ نے دی ہے تم خامیاں ڈھونڈو مرے کردار کے اندر یہ تمکنت و منصب و پندار و رعونت سب چھوڑ دیا کوچۂ دل دار کے اندر اب اپنے مسیحا کو وہ کس طرح بتائے جو درد چھپا ہے کسی بیمار کے اندر

Hindi

है कितना सलीक़ा तिरी गुफ़्तार के अंदर इंकार भी पोशीदा है इक़रार के अंदर सच्चाई भी कहने के तरीक़े हैं बहुत से पर ख़ाना-ख़राबी मिरे इज़हार के अंदर उस तरह से मस्तूर मोहब्बत मिरे दिल में जैसे हो कोई दायरा परकार के अंदर यारो मुझे इज़्ज़त मिरे अल्लाह ने दी है तुम ख़ामियाँ ढूँडो मिरे किरदार के अन्दर ये तमकनत-ओ-मंसब-ओ-पिंदार-ओ-रऊनत सब छोड़ दिया कूचा-ए-दिलदार के अंदर अब अपने मसीहा को वो किस तरह बताए जो दर्द छुपा है किसी बीमार के अंदर

hai kitnā salīqa tirī guftār ke andar
Dr. Yasin Aatir
Dr. Yasin Aatir
Dr. Yasin Aatir
poet62 quotes

More by Dr. Yasin Aatir

View all →
Quote
"koi ho dard musalsal to niind aati hai badan mein ho koi halchal to niind aati hai hamein sukun mayassar nahin hai ik pal bhi tumhaari yaad ho pal pal to niind aati hai talab nahin hai kisi aur khush-badan ki hamein tumhaaraa paas ho aanchal to niind aati hai kabhi na tum se rahi guftugu adhuri si ghazal ho jab bhi mukammal to niind aati hai ajiib khauf saa laahaq hai bastiyon se hamein qarib ho koi jangal to niind aati hai pasand hai hamein shorish fasaad-e-gird-o-navaah agar ho shahr moattal to niind aati hai badal diyaa hai zamaane ne yuun hamaaraa mizaaj sajaa huaa ho jo maqtal to niind aati hai kaDak rahi ho jo bijli to Dar nahin lagtaa garaj rahe hon jo baadal to niind aati hai koi bhi khvaab Daraataa nahin hai ab 'aatir' dikhaai de hamein daldal to niind aati hai"
Dr. Yasin AatirDr. Yasin Aatir
Quote
"koi ho dard-e-musalsal to niind aati hai badan mein ho koi halchal to niind aati hai hamein sukun mayassar nahin hai ik pal bhi tumhaari yaad ho pal-pal to niind aati hai talab nahin hai kisi aur khush-badan ki hamein tumhaaraa paas ho aanchal to niind aati hai kabhi na tum se rahi guftugu adhuri si ghazal ho jab bhi mukammal to niind aati hai ajiib khauf saa laahaq hai bastiyon se hamein qarib ho koi jangal to niind aati hai pasand hai hamein shorish fasaad gird-o-navaah agar ho shahr moattal to niind aati hai badal diyaa hai zamaane ne yuun hamaaraa mizaaj sajaa huaa ho jo maqtal to niind aati hai kaDak rahi ho jo bijli to Dar nahin lagtaa garaj rahe hon jo baadal to niind aati hai koi bhi khvaab Daraataa nahin hai ab 'aatir' dikhaai de hamein daldal to niind aati hai"
Dr. Yasin AatirDr. Yasin Aatir

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil