SHAWORDS

hai yaad josh ye jis vaqt ashk-baari thi — Javed Lakhnvi

HomeJaved LakhnviGhazal
"hai yaad josh ye jis vaqt ashk-baari thi to ek nahr usi aastin se jaari thi zamin-e-baagh pe girte hain TuuT kar taare sitaara-daar qabaa us ne kyuun utaari thi main aankhein band kiye thaa vo dekhte idhar jise vo samjhe the ghaflat vo hoshyaari thi lahu ke ashk jo Tapke to khul gayaa ye raaz nigah thi dil mein ki utri hui kaTaari thi mili hai dekhiye ye subh-e-hashr se jaa kar lahad ki raat na thi shaam-e-gham hamaari thi nahin hain ham to chamaktaa hai subh kaa taaraa ye raat vo thi jo bimaar-e-gham pe bhaari thi"
Urdu

ہے یاد جوش یہ جس وقت اشک باری تھی تو ایک نہر اسی آستیں سے جاری تھی زمین باغ پہ گرتے ہیں ٹوٹ کر تارے ستارہ دار قبا اس نے کیوں اتاری تھی میں آنکھیں بند کئے تھا وہ دیکھتے ایدھر جسے وہ سمجھے تھے غفلت وہ ہوشیاری تھی لہو کے اشک جو ٹپکے تو کھل گیا یہ راز نگہ تھی دل میں کہ اتری ہوئی کٹاری تھی ملی ہے دیکھیے یہ صبح حشر سے جا کر لحد کی رات نہ تھی شام غم ہماری تھی نہیں ہیں ہم تو چمکتا ہے صبح کا تارا یہ رات وہ تھی جو بیمار غم پہ بھاری تھی

Hindi

है याद जोश ये जिस वक़्त अश्क-बारी थी तो एक नहर उसी आस्तीं से जारी थी ज़मीन-ए-बाग़ पे गिरते हैं टूट कर तारे सितारा-दार क़बा उस ने क्यूँ उतारी थी मैं आँखें बंद किए था वो देखते ईधर जिसे वो समझे थे ग़फ़लत वो होश्यारी थी लहू के अश्क जो टपके तो खुल गया ये राज़ निगह थी दिल में कि उतरी हुई कटारी थी मिली है देखिए ये सुब्ह-ए-हश्र से जा कर लहद की रात न थी शाम-ए-ग़म हमारी थी नहीं हैं हम तो चमकता है सुब्ह का तारा ये रात वो थी जो बीमार-ए-ग़म पे भारी थी

hai yaad josh ye jis vaqt ashk-bārī thī
J
Javed Lakhnvi
Javed Lakhnvi
poet30 quotes

More by Javed Lakhnvi

View all →
Quote
"gardish mein aaina ho na kyuun rozgaar kaa chullu mein khuun liye huun dil-e-be-qaraar kaa bhaDki hui thi surkh gulon se chaman mein aag daaman na jal gayaa ho nasim-e-bahaar kaa aae hain le ke ghair ko vo puchhne mizaaj tum ne gila kiyaa thaa dil-e-be-qaraar kaa mahshar ki bhi umiid pe be car jaan di kyaa e'tibaar vaada-e-be-e'tibaar kaa itni to aarzu hai kabhi yaad kar lein dost shaayad kabhi phir aae zamaana bahaar kaa saaghar ubal rahe hain to shishon mein josh hai niklaa hai khich ke dam jo kisi baada-khvaar kaa tum aae kyaa ki rang-e-zamaana badal gayaa gul ho gayaa charaagh hamaare mazaar kaa tasvir ki ragon mein lahu dauDne lagaa kyaa aa gayaa jahaan mein mausam bahaar kaa"
J
Javed Lakhnvi
Quote
"dil-e-sozaan-e-aashiq makhzan-e-rang-e-vafaa hogaa vo hissa qadr ke qaabil hai jitnaa jal gayaa hogaa chale the dard ko sun kar thame ye kah ke raste mein na jaanaa ab munaasib hai vo kab kaa mar gayaa hogaa ye ik bose pe itni bahs ye zebaa nahin tum ko nahin hai yaad mujh ko khair achchhaa le liyaa hogaa chhiDi thiin husn ki bahsein idhar chaand aur idhar tum the kisi ko dekh kar be-parda koi chhup gayaa hogaa andhere ghar ki kuchh parvaa nahin hai tira-bakhton ko tum aao qabr par raushan charaagh-e-naqsh-e-paa hogaa muravvat ki to surat bhi nahin dekhi un aankhon ne agar dhamkaaun marne par to kah degaa ki kyaa hogaa tamaashaa jaankani kaa kyuun na dekhaa dekh to lete ragein jitni khichi thiin dam bhi utnaa hi khichaa hogaa tum aao dekhne vaalaa nahin koi sar-e-madfan charaagh-e-qabr afsurda thaa kab kaa bujh gayaa hogaa abhi to aag siine mein kahin kam hai kahin zaaid agar mil jaaeinge aapas mein sab chhaale to kyaa hogaa chamak uTThi jo mere zakhm-e-dil mein kyaa qayaamat hai falak par chaand niklaa hogaa yaa koi hinsaa hogaa hamin se puchh lo kaise ho tum aur husn kaisaa hai agar aaine ko dam bhar na dekhoge to kyaa hogaa gham-e-furqat kaa kyaa shikva qayaamat aane vaali hai khudaa ke saamne aakhir to ik din saamnaa hogaa yahi 'jaaved' behtar hai ki ab tauba se kar tauba vahi chhup kar piyegaa mai jo tum saa paarsaa hogaa"
J
Javed Lakhnvi
Quote
"ab tak to kami kuchh na hui daagh-e-jigar mein barson se charaagh ek hi jaltaa rahaa ghar mein zaahir mein hanse vo magar aansu nikal aae thaa koi asar bhi mire marne ki khabar mein rang uDne na dungaa tiri tasvir ke rukh se baaqi abhi kuchh khuun ke khatre hain jigar mein tausi-e-khayaalaat ki had mil nahin sakti chhoTaa saa bayaabaan nazar aa jaataa hai ghar mein ab baDh nahin saktaa gham-e-duniyaa ye khushi hai zakhmon ki jagah tak nahin baaqi hai jigar mein in ankhDiyon ke surkh main Dore nahin bhulaa ye bijliyaan aisi hain jo ab tak hain nazar mein naa-vaaqif-e-anjaam kaa dil hotaa hai kitnaa khud ro diyaa dekhe jo kabhi zakhm jigar mein us daur mein aap aae the ai hazrat-e-'jaaved' jis ahd mein kuchh farq na thaa aib-o-hunar mein"
J
Javed Lakhnvi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari