SHAWORDS

hamaare paas hai hikmat na raaz kyaa kiije — Akhtar Saeed

HomeAkhtar SaeedGhazal
"hamaare paas hai hikmat na raaz kyaa kiije sivaae dard-e-dil-e-jaan-gudaaz kyaa kiije inaayatein hain agarche hazaar-haa lekin bane na baat to banda-navaaz kyaa kiije na zarb-o-taar se rishta na dil-fareb-e-dam mire khayaal ko aalam hai saaz kyaa kiije ze-ru-e-fiqh jo sab se ziyaada hai maatub hamaari us se bhi hai saaz-baaz kyaa kiije jo jaante hain nahin jaante na jaane hain jo hai ayaan yahaan vo bhi hai raaz kyaa kiije jahaan guzaarish-e-ahvaal par hon taazirein sivaae jurat-e-arz-e-niyaaz kyaa kiije khulaa ik umr ki koshish se ye ki likkhaa hai hamaare naam nasheb-o-faraaz kyaa kiije buraa ho lazzat-e-takhil kaa ki rahti hai haqiqaton mein talaash-e-majaaz kyaa kiije hazaar dard hai aur jaan-e-naa-tavaan meri ilaaj hai na gale kaa javaaz kyaa kiije"
Urdu

ہمارے پاس ہے حکمت نہ راز کیا کیجے سوائے درد دل جاں گداز کیا کیجے عنایتیں ہیں اگرچہ ہزار ہا لیکن بنے نہ بات تو بندہ نواز کیا کیجے نہ ضرب و تار سے رشتہ نہ دل فریبئ دم مرے خیال کو عالم ہے ساز کیا کیجے ز روئے فقہ جو سب سے زیادہ ہے معتوب ہماری اس سے بھی ہے ساز باز کیا کیجے جو جانتے ہیں نہیں جانتے نہ جانے ہیں جو ہے عیاں یہاں وہ بھی ہے راز کیا کیجے جہاں گزارش احوال پر ہوں تعزیریں سوائے جرأت عرض نیاز کیا کیجے کھلا اک عمر کی کوشش سے یہ کہ لکھا ہے ہمارے نام نشیب و فراز کیا کیجے برا ہو لذت تخیل کا کہ رہتی ہے حقیقتوں میں تلاش مجاز کیا کیجے ہزار درد ہے اور جان ناتواں میری علاج ہے نہ گلے کا جواز کیا کیجے

Hindi

हमारे पास है हिकमत न राज़ क्या कीजे सिवाए दर्द-ए-दिल-ए-जाँ-गुदाज़ क्या कीजे इनायतें हैं अगरचे हज़ार-हा लेकिन बने न बात तो बंदा-नवाज़ क्या कीजे न ज़र्ब-ओ-तार से रिश्ता न दिल-फ़रेबी-ए-दम मिरे ख़याल को आलम है साज़ क्या कीजे ज़े-रू-ए-फ़िक़्ह जो सब से ज़ियादा है मा'तूब हमारी उस से भी है साज़-बाज़ क्या कीजे जो जानते हैं नहीं जानते न जाने हैं जो है अयाँ यहाँ वो भी है राज़ क्या कीजे जहाँ गुज़ारिश-ए-अहवाल पर हों ताज़ीरें सिवाए जुरअत-ए-अर्ज़-ए-नियाज़ क्या कीजे खुला इक उम्र की कोशिश से ये कि लिक्खा है हमारे नाम नशेब-ओ-फ़राज़ क्या कीजे बुरा हो लज़्ज़त-ए-तख़ईल का कि रहती है हक़ीक़तों में तलाश-ए-मजाज़ क्या कीजे हज़ार दर्द है और जान-ए-ना-तवाँ मेरी इलाज है न गले का जवाज़ क्या कीजे

hamāre paas hai hikmat na raaz kyā kiije
Akhtar Saeed
Akhtar Saeed
Akhtar Saeed
poet20 quotes

More by Akhtar Saeed

View all →
Quote
"juun fauj ki maftuh ho zanjir mein aave alfaaz kaa lashkar miri tahrir mein aave ik khaas inaayat hai ki dete nahin mujh ko vo dard ki jo panja-e-tadbir mein aave yaksar rag-e-mansur ki himmat se pare hai vo ilm ki ik arsa-e-taqtir mein aave jo chaahe bhare main ne musavvir se kahaa thaa kuchh rang-e-mohabbat miri tasvir mein aave vo baat khushaa detaa hai dil jis ki gavaahi ye kyaa ki kaho agli asaatir mein aave jo hukm tumhaaraa hai vo vaajib hai bilaa-shak jo arz hamaari hai vo taazir mein aave hai garche bahut mere liye khvaab ki duniyaa kuchh aur maza khvaab ki taabir mein aave jis paas mudaavaa nahin kuchh aab-o-havaa kaa laazim hai mire halqa-e-taqrir mein aave mumkin nahin aadam ke liye shaan-e-khudaai haan yuun ki magar aaya-e-tathir mein aave"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"khubi-e-tarz-e-maqaalaat se kyaa hotaa hai baat karte rahe ham baat se kyaa hotaa hai raat kaT jaae to phir raat chali aaegi raat kaT jaaegi ik raat se kyaa hotaa hai kisi jaanib se javaab aae to kuchh baat chale kaavish-e-husn-e-savaalaat se kyaa hotaa hai jab ki taqtir-e-rag-e-jaan se bandhi hai taqdir be-khabar zikr-o-munaajaat se kyaa hotaa hai daan diije ki mire gham kaa mudaavaa hove ranj hotaa hai hisaabaat se kyaa hotaa hai dil ki vusat se hai aasaani-e-anfaas vale vusat-e-sahn-e-mahallaat se kyaa hotaa hai saamne aao kisi roz to kuchh baat karein umr-bhar hall-e-muammaat se kyaa hotaa hai zaat hi mazhar-e-meaar-e-haq-o-baatil hai vo ghalat kahte hain ki zaat se kyaa hotaa hai jaan nikal jaaegi to faisla deinge che khuub saahibo aisi mukaafaat se kyaa hotaa hai"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"daanaa hue buzurg hue rahnumaa hue vo din ki ham the sham-e-majaalis havaa hue un ko nahin dimaagh-e-talazzuz jahaan mein jo ibtidaa se vaqf-e-gham-e-intihaa hue khurshed ki nigaah se shabnam hai mushtahar vo aashnaa hue hain to sab aashnaa hue manzil hai shahryaari-e-aalam to dekhnaa is raah mein hazaaron qabile fanaa hue had se ziyaada ham ne khushaamad buton ki ki ye log baDhte baDhte bil-aakhir khudaa hue is kaa bhi kuchh hisaab kareinge ba-roz-e-hashr naale azal se kitne sipurd-e-sabaa hue karte rahe huzur pe takiya akhir tak ham aasare ke hone se be-aasraa hue kis din hamaaraa hirs-o-havaa se bari thaa dil kis roz ham se apne farize adaa hue"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"be-chaargi-e-dosh hai aur baar-e-garaan hai izhaar pe paabandi hai aur munh mein zabaan hai hotaa hai yahaan roz mire dard kaa saudaa ai tegh-ba-kaf roz-e-mukaafaat kahaan hai aazaad karo khuun ko baazaar mein laao sadiyon se ye mahkum ragon hi mein ravaan hai haan rang-e-bahaaraan hai magar us ke lahu se jo dast-ba-dil mohr-ba-lab dard-ba-jaan hai har samt hai baazaar khulaa hirs-o-havas kaa har shahr mein har kuche mein vaaiz ki dukaan hai kal kis ko zabaan band karoge zaraa socho kal dekhoge ham ko ki zabaan hai na dahaan hai kis shahr-e-khamoshaan mein chale aae hain ham log ne zor-e-sinaan hai na kahin shor-e-fughaan hai har dard ki had hoti hai yuun lagtaa hai jaise is dard kaa koi na zamaan hai na makaan hai"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"dil se armaan nikal rahe hain mere bhi din badal rahe hain varna ghar mein hai ghup andheraa yaadon ke charaagh jal rahe hain ye ajab log hain ki un ke paanv nahin pe chal rahe hain ham dar-e-shaah par savaali aaj hain aur na kal rahe hain vo hi pahuncheinge yaar tak jo girte girte sambhal rahe hain ham niko naam to hue par dil pe aare se chal rahe hain un ko aazaad kar jo ab tak zer-e-habs-e-ilal rahe hain un ko mahbus kar jo kab se qaaede sab kuchal rahe hain kah na karb-o-balaa kaa qissa lafzon ke dil dahal rahe hain"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed
Quote
"miri nigaah mein hai khaak sim-o-zar kaa fusun subut-e-moajiza-e-raftagaan-e-aalam huun diyaa hai mujh ko magar be-surur hangaama milaa hai mujh ko magar vaqf-e-iztiraab-e-sukun na chaand mein hai chamak apni aur na shabnam mein karun to kis kaa zamaane mein e'tibaar karun jo dil mein baat hai alfaaz mein nahin aati so ek baat hai dil ki lagi kahun na kahun sazaa hai meri raho us dayaar mein ki jahaan garaan hai aab-e-musaffaa magar hai arzaan khuun savaal-e-aql vahi hai javaab-e-jehl vahi hazaar baar karun das hazaar baar sunun khafaa hai rang-e-gul-o-mauja-e-sabaa mujh se ki baandhtaa huun dil-e-be-qaraar kaa mazmun mujhe to apne pe ik lamha e'tibaar nahin nigaar-e-dahr tujhe garche baa-vafaa samjhun hazaar raaste pinhaan hain reg-e-sahraa mein jo dam mein dam ho to is dasht ki havaa dekhun khulaa hai aal-e-mohammad ke faiz se mujh par ki aadmi ko bhi hai ikhtiyaar-e-kun-fayakun buland baad-e-shahaadat bhi hai ye nok-e-sinaan sar-e-imaam kisi haal bhi nahin hai nigun"
Akhtar SaeedAkhtar Saeed

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari