SHAWORDS

hamaari tishna-labi ab subu se khelegi — Afeef Siraj

HomeAfeef SirajGhazal
"hamaari tishna-labi ab subu se khelegi fughaan-e-dil rag-e-jaan-o-gulu se khelegi sambhal ke rahnaa ki is baar saiqal-e-abru koi baiid nahin aabru se khelegi karegaa sail har ik lahr ko buland apni har ek mauj faqat aabju se khelegi jasaarat-e-rah-e-pur-khaar dekhiye to sahi ye kah rahi hai miri justuju se khelegi bahut shagufta-o-rangin guftugu hai 'siraaj' chaman mein baat tiri rang-o-bu se khelegi"
Urdu

ہماری تشنہ لبی اب سبو سے کھیلے گی فغان دل رگ جان و گلو سے کھیلے گی سنبھل کے رہنا کہ اس بار صیقل ابرو کوئی بعید نہیں آبرو سے کھیلے گی کرے گا سیل ہر اک لہر کو بلند اپنی ہر ایک موج فقط آب جو سے کھیلے گی جسارت رہ پرخار دیکھیے تو سہی یہ کہہ رہی ہے مری جستجو سے کھیلے گی بہت شگفتہ و رنگین گفتگو ہے سراجؔ چمن میں بات تری رنگ و بو سے کھیلے گی

Hindi

हमारी तिश्ना-लबी अब सुबू से खेलेगी फ़ुग़ान-ए-दिल रग-ए-जान-ओ-गुलू से खेलेगी सँभल के रहना कि इस बार सैक़ल-ए-अबरू कोई बईद नहीं आबरू से खेलेगी करेगा सैल हर इक लहर को बुलंद अपनी हर एक मौज फ़क़त आबजू से खेलेगी जसारत-ए-रह-ए-पुर-ख़ार देखिए तो सही ये कह रही है मिरी जुस्तुजू से खेलेगी बहुत शगुफ़्ता-ओ-रंगीन गुफ़्तुगू है 'सिराज' चमन में बात तिरी रंग-ओ-बू से खेलेगी

hamārī tishna-labī ab subū se khelegī
Afeef Siraj
Afeef Siraj
Afeef Siraj
poet36 quotes

More by Afeef Siraj

View all →
Quote
"tire shahr-e-amn kaa kyaa kahein ki har ik makaan judaa saa hai hain daron pe qufl lage hue sar-e-taaq diip bujhaa saa hai tiraa dasht bhi to hai be-karaan miri vahshaton ki bhi had nahin mire jurm-e-khaana-kharaab ko to ye rahguzar bhi dilaasaa hai tiri yaad aai to kis tarah main pukaartaa hi chalaa gayaa koi dam rukaa to khabar hui ki ye koh koh-e-nidaa saa hai miri ghairat-e-hama-gir ne mujhe tere dar se uThaa diyaa kuchh anaa kaa zor jo kam huaa to khabar hui tu khudaa saa hai abhi laa ki manzil-e-sakht mein huun fareb-o-vahm-o-gumaan liye mire dil mein phir bhi basaa huaa tiraa naam radd-e-balaa saa hai ye masaafatein shab-e-taar ki ye na khatm hone ke silsile abhi faasla rag-e-jaan se hai to hanuz garche zaraa saa hai tire khatt-e-husn-e-jamaal ko mire harf-e-aaina-saaz ne kai rang de diye pur-kashish magar ab bhi ek khalaa saa hai"
Afeef SirajAfeef Siraj
Quote
"shauq-e-vaarafta chalaa shahr-e-tamaashaa ki taraf baDh gae ham bhi hisaar-e-husn-e-lailaa ki taraf ham se maujein kah rahi thiin aa miri aaghosh mein ham kahaan yuun jaa rahe the mauj-e-dariyaa ki taraf is qadar Duube gunaah-e-ishq mein tere habib sochte hain jaaeinge kis munh se tauba ki taraf kyaa zaruri hai ki hirs-e-jalva-e-sad-rang mein har nazar bhaTke kisi bhi husn-aaraa ki taraf aayat-e-husn-o-mohabbat se hai bas do hi muraad ek hai meri taraf ik maah-paara ki taraf shahr-e-dil viraana kardam paa-ba-jaulaan mi-kuni ji khinchaa jaataa hai apnaa ab to sahraa ki taraf saari duniyaa dushman-e-jaan ban gai hai ai 'siraaj' koi patthar bhi na aayaa tere shaidaa ki taraf"
Afeef SirajAfeef Siraj
Quote
"harim-e-dil se nikal aankh ke saraab mein aa miri tarah kabhi maidaan-e-iztiraab mein aa payambaron ki zabaani kahi suni ham ne vo kah rahaa thaa ki mere bhi intikhaab mein aa sunaa hai aaj amaari falak se utregi mujhe bhi niind gar aae to mere khvaab mein aa tujhe khudaai kaa daavaa hai gar to kam se kam zamin par koi din rang-e-bu-turaab mein aa abhi hain saare savaalaat tishna-kaam mire uThaa ke kaandhe pe miinaa mire javaab mein aa utaar di hain bhanvar mein bhi kashtiyaan ham ne samundaron mein agar hai to is habaab mein aa"
Afeef SirajAfeef Siraj
Quote
"vo jo husn-e-kul ki dalil thaa vo khayaal aa ke sajaa gayaa laDin yuun nigaah se bijliyaan koi jaise parde uThaa gayaa main hikaayat-e-dil-e-be-navaa mein ishaarat-e-gham-e-jaavidaan main vo harf-e-aakhir-e-motabar jo likhaa gayaa na paDhaa gayaa main charaagh-e-hasrat-e-nim-shab mein sharaar-e-aatish-e-jaan-ba-lab dil-e-pur-umid ki lau thaa main mujhe khud vo aa ke bujhaa gayaa main ghubaar-e-raah-e-talab rahaa huaa dar-ba-dar jo chali havaa main ujaD ke jab huaa mutmain to vo mujh ko dil mein basaa gayaa pas-e-parda dil kaa rafiq thaa sar-e-parda meraa raqib thaa main miyaan-e-radd-o-qubul thaa ki vo aa ke parda haTaa gayaa mujhe fikr thi miri zaat par koi rang bhi na chaDhe magar vo kamaal-e-ghairat-e-aaina miraa aks mujh ko dikhaa gayaa miraa dil amiin thaa nigaah kaa thi nigaah mahram-e-tajraba vo fusun-e-jalvaa ki aabru mire tajrabon ko miTaa gayaa"
Afeef SirajAfeef Siraj

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil