SHAWORDS

hamein yunhi na sar-e-aab-o-gil banaayaa jaae — Zulfiqar Aadil

HomeZulfiqar AadilGhazal
"hamein yunhi na sar-e-aab-o-gil banaayaa jaae hamaare khvaab diye jaaein dil banaayaa jaae dikhaai detaa hai tasvir-e-jaan mein donon taraf hamaaraa zakhm zaraa mundamil banaayaa jaae agar jalaayaa gayaa hai kahin diye se diyaa to kyaa ajab ki kabhi dil se dil banaayaa jaae shadid-tar hai tasalsul mein hijr kaa mausam kabhi milo ki use mo'tadil banaayaa jaae ye naqsh ban nahin saktaa to kyaa zaruri hai kharaab-o-khasta o khvaar-o-khajil banaayaa jaae"
Urdu

ہمیں یوں ہی نہ سر آب و گل بنایا جائے ہمارے خواب دئے جائیں دل بنایا جائے دکھائی دیتا ہے تصویر جاں میں دونوں طرف ہمارا زخم ذرا مندمل بنایا جائے اگر جلایا گیا ہے کہیں دیے سے دیا تو کیا عجب کہ کبھی دل سے دل بنایا جائے شدید تر ہے تسلسل میں ہجر کا موسم کبھی ملو کہ اسے معتدل بنایا جائے یہ نقش بن نہیں سکتا تو کیا ضروری ہے خراب و خستہ و خوار و خجل بنایا جائے

Hindi

हमें यूँही न सर-ए-आब-ओ-गिल बनाया जाए हमारे ख़्वाब दिए जाएँ दिल बनाया जाए दिखाई देता है तस्वीर-ए-जाँ में दोनों तरफ़ हमारा ज़ख़्म ज़रा मुंदमिल बनाया जाए अगर जलाया गया है कहीं दिए से दिया तो क्या अजब कि कभी दिल से दिल बनाया जाए शदीद-तर है तसलसुल में हिज्र का मौसम कभी मिलो कि उसे मो'तदिल बनाया जाए ये नक़्श बन नहीं सकता तो क्या ज़रूरी है ख़राब-ओ-ख़स्ता ओ ख़्वार-ओ-ख़जिल बनाया जाए

hameñ yūñhī na sar-e-āb-o-gil banāyā jaa.e
Zulfiqar Aadil
Zulfiqar Aadil
Zulfiqar Aadil
poet35 quotes

More by Zulfiqar Aadil

View all →
Quote
"ik nafas naabud se baahar zaraa rahtaa huun main gum-shuda chizon ke andar laapata rahtaa huun main jitni baatein yaad aati hain vo likh letaa huun sab aur phir ek ek kar ke bhultaa rahtaa huun main garm-joshi ne mujhe jhulsaa diyaa thaa ek din andarun ke sard-khaane mein paDaa rahtaa huun main kharch kar detaa huun sab maujud apne haath se aur naa-maujud ki dhan mein lagaa rahtaa huun main jitni gahraai hai 'aadil' utni hi tanhaai hai bas ki sath-e-zindagi par tairtaa rahtaa huun main"
Zulfiqar AadilZulfiqar Aadil
Quote
"main jahaan thaa vahin rah gayaa maazarat ai zamin maazarat ai khudaa maazarat kuchh bataate hue kuchh chhupaate hue main hansaa maazarat ro diyaa maazarat khud tumhaari jagah jaa ke dekhaa hai aur khud se ki hai tumhaari jagah maazarat jo huaa jaane kaise huaa kyaa khabar jo kiyaa vo nahin ho sakaa maazarat main ki khud ko bachaane ki koshish mein thaa ek din main ne khud se kahaa maazarat mujh se girya mukammal nahin ho sakaa main ne divaar par likh diyaa maazarat main bahut duur huun shaam nazdik hai shaam ko do sadaa shukriya maazarat"
Zulfiqar AadilZulfiqar Aadil

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil