Quote
"maujud hain kitne hi tujh se bhi hasin kar ke jhuTlaa diyaa aankhon ko main dil pe yaqin kar ke jis chashm se rindon mein hu-haq hai usi ne to zaahid ko bhi rakkhaa hai mehraab-nashin kar ke kyaa us ki lataafat kaa ahvaal bayaan kijiye jo dil pe huaa zaahir aankhon ko nahin kar ke kuchh kam thaa balaa-e-jaan pe chehra ki uupar se aankhein bhi banaa laae ghaarat-gar-e-din kar ke aaine ke aage se ab uTh bhi chuko saahab kyaa kijiyegaa khud ko itnaa bhi hasin kar ke sau daagh hain siine mein vo daagh-e-judaai bhi dekho to zaraa hogaa un mein hi kahin kar ke is dil kaa to naqsha hi duniyaa ne badal Daalaa kuchh yaad hai rahtaa thaa vo bhi to yahin kar ke 'jaaved' vahaan tak to mushkil hai koi pahunche mangvaaiye qaasid bhi jibril-e-amin kar ke"
